Tuesday, 28 June 2016

Gham-E-Hayaat Mein Eid Aane Se, Mera Dill Sulagta Hai

=¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤=
Eid Collection-2015
=¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤=

Poet Ayaz Khan

Type By
*._Ayaz_Khan_.*

Gham-E-Hayaat Mein Eid Aane Se, Mera Dill Sulagta Hai,

Tera Aur Ki Bahoon
Mein Eid Manane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Jab Kabhi Mein Teri Tasveer Ko Seene Se Lagta Hoon,

Youn Tarp Tarp Kar Aashk Bhaane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Too Ne Mujhe Chor Dia Aur Phir Mera Dill Tor Dia,

Tanhaai Mein Janaa Ye Khayal Aane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Too Ne Jo Waade Kiye Mujh Se Sub Ke Sub Jhothe The.

Ab To Kisi Aur Ko Jaana Aazmane Se,

Mera Dill Sulagta Hai

Pardees Mein Betha Hoon Tere Sheher Se Door,

Ab To Eid Par Tere Sheher Aane Se,

Mera Dill Sulagta Hai,

Ab Zullmi Ke Labon Par Muskorahat Nahi Aati Hai,

Shagofe Apne Honton Par Sajane Se,

Mera Dill Sulagta Hai.......!

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim Rasm-e-Dunia Bhi Hai Moqa Bhi Hai

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim,

Rasm-e-Dunia Bhi Hai,

Moqa Bhi Hai,

Dastoor Bhi Hai,

Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare,

Husn Mastoor Bhi,
Majboor Bhi,

Maghroor Bhi Hai,

Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte,

Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte,

Ye Mana Tum Haseen Ho Aur,

Tumhain Haq Hai Shararat Ka,

Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte,

Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka,

Adaab Lazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte,

Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain,

Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte,

Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain,

Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karte,

Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka,

Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte,

Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi,

Mera Kehna Bhi Bura Nahi,

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim..............!

Eid To Ab Khawab Lagti Hai Har Khushi Ab Azab Lagti Hai

==============
Eid Collection.16
==============

Poet Ayaz Khan

Type By
*.__Ayaz_Khan__.*

Eid To Ab Khawaab Lagti Hai,

Har Khushi Ab Azaab Lagti Hai,

Jab Se Gira Hoon Shakh-E-Mohabbat Se,

Zindagi To Toota Howa Gulab Lagti Hai,

Dar Lagta Hai Apne Saye Se Bhi Mujhe,

Apni Hasti To Ab Saraab Lagti Hai,

Zindagi Ke Har Warq Par Gham Lekha Hai,

Zindagi To Bikhri Hoi Kitaab Lagti Hai,

Mela Hi Nahi Koi Wafa Shanas Kabhi Mujhe,

AYAZ Apni To Qismat Hi Kharab Lagti Hai......!

Kia Sunain Kis Haal Mein Aati Hai Pardes Mein Eid

==============
Eid Collection-16
==============

Poet Kashif Nadeem

Type By
    *.___HIJAR___.*

Kia Sunain Kis Haal Mein Aati Hai Pardais Mein Eid,

Nikal Aate Hain Aansoo Jab Yad Aati Hai Dais Ki Eid,

Rahain Wo Khush-o-Khuram Ghar Mein Apne,

Jin K Liye Hum Ko Rulati Hai Pardais Ki Eid,

Aate Hain Yad Jab Wo Phool Se Chehre,

Us Lamhe Hum Ko Kitna Tarpati Hai Pardais Ki Eid,

Kis Se Galay Milein,
Kise Kahein Gay Apna Hum,

Bas Youn Hi Tanhai Mein Guzar Jati Hai Pardais Ki Eid,

Kehte Hain Har Bar Bas Pardais Ki Hai Ye Akhri Eid,

Agle Saal Phir Aa Jati Hai Pardais Ki Eid.......!

Monday, 27 June 2016

Tum Eid Manao Saj Dhaj K Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi

============
Eid Collection
============

POET ZAAHID MEHMOOD

Tum Eid Manao Saj Dhaj K Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,

Jis Haal Mein Hon Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,

Tum Singaar Karo Jo Tumhara Haq Hai,

Mera Kia Hai Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,

Log To Tera Dam Bharte Hain Husan Daikh K,

Mera Kon Mujhe Kon Janta Hai Mein Aise Hi Sahi,

Ye Eid Tum Ko Khoshian Naseeb Kare,

Main Bad Naseeb Hon To Aisa Hi Sahi,

Tum Ko To Ko Har Eid Pe Saj Dajh K Raha Karo,

Main Haal Se Behaal Hon To Aisa Hi Sahi........!

Wednesday, 27 April 2016

Ashkh Apna K Tumhara Nahi Dekha Jata

Poet Mohsin Naqvi

Ashkh Apna K Tumhara Nahi Dekha Jata,
Abar Ki Zad Mein Sitara Nahi Dekha Jata,
Apni Shah Rag Ka Lahoo Tan Mein Rawan Hai Ab Tak,
Zair-E-Khanjar Koi Pyara Nahi Dekha Jata,
Moj Dar Moj Ulajhne Ki Hawas Be Mani,
Doobna Ho To Kinara Nahi Dekha Jata,
Tere Chehre Ki Kashish Thi K Palat Kar Dekha,
Warna Sooraj To Dobara Nahi Dekha Jata,
Aag Ki Zid Pe Na Ja Phir Se Bharrak Sakti Hai,
Raakh Ki Teh Mein Sehrah Nahi Dekha Jata,
Zakhm Aankhon K Bhi Sehte Thay Kabhi Dil Wale,
Ab To Aabroo Ka Ishara Nahi Dekha Jata,
Kia Qayamat Hai K Dil Jis Ka Nagar Hai,
MOHSIN
Dil Pe Us Ka Bhi Azara Nahi Dekha Jata...................!

Tuesday, 5 April 2016

Bahut Khas Ho

============
Bahut Khas Ho
============

Type By
    *.___HIJAR___.*

Chalo Main Bataon Kaise Dost Ho Tum,

Mere Liye...!

Meri Dunia Ho Tum,

Choo K Jo Guzri Wo Hawa Ho Tum,

Main ne Jo Mangi Wo Dua Ho Tum,

Kare Mujhe Jo Roshan
Wo Diya Ho Tum,

Mere intizar Ki Rahat
Ho Tum,

Mere Dil Ki Chahat Ho Tum,

Tum Ho To Ye Dunia Hai Meri,

Kaise Kahon! k Meri Zindagi Ho Tum,

Kar Sako Yaqeen To Bataon Tumhain...?

Bahut Khas,

Bahut Khas,

Bahut Khas,

Ho Tum..................!

Thursday, 21 January 2016

Ye Tum Kaisa Jadoo Karti Ho Jab Tum Dheere Dheere Hansti Ho

Poet Ayaz Khan

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho

Typed By
       *.__Zulmi__.*

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Dhire Dhire Hansti Ho,

Phir Sare Manzar Ache Lagte Hain,

Chaand Sitare Apne Lagte Hain,

Neele Peele Laal Gulab Rang Jo Hote Hain,

Sab Rang Hi Ache Lagte Hain,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Aankh Utha Ke Dekhti Ho,

Phir Main Sapno Main Kho Jata Hon,

Aur Paas Tumhare Hota Hon,

Aur Tum Ko Hath Laga Ke Choota Hon,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Paaon Utha Kar Chalti Ho,

Phir Mast Tum Hum Ko Karti Ho,

Payal Tumhare Paaon Main Sajti Hai,

Aawaaz Humare Dil Se Aati Hai,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Zulfen Tum Lehrati Ho,

Aur Mast Hawa Main Aati Ho,

Phir Dhaire Dhaire Gungunati Ho,

Aur Phir Piyaar Ke Geet Gati Ho,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Lab Tumare Halte Hain,

Lafz Khushboo Se Tar Hote Hain,

Phir Hum Par Jadoo Karte Hain,

Aur Dil Ke Andar Utar Jate Hain,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Barish Main Tum Bheegti Ho,

Phir Hum Par Tum Barasti Ho,

Har Qatre Main Tum Tum Hoti Ho,

Har Bondh Main Tum Melti Ho,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Khirrki Main Tum Ati Ho,

Phir Aankhon Tum Hoti Ho,

Khabon Main Tum Aati Ho,

Aur Sath Humare Rehti Ho,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Sath Tum Mere Hoti Ho,

Phir Main Jo Bhi Mesra Lekhta Hon,

Is Main Zikar Tumara Hota Hai,

Is Main Naam Tumara Hota Hai,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Mefil Main Tum Aati Ho,

Alfaaz Humare Hote Hain,

Phir Baat Tumari Hoti Hai,

Aur Tareef Tumari Hoti Hai,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Shaam Dhale Tum Chhat Par Aati Ho,

Ham Door Se Tum Ko Takte Hain,

Ham Tum Ko Sochte Rete Hain,

Hum Khod Se Baten Karte Hain,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Tum Naam Humara Leti Ho,

Phir Tum Apni Apni Lagti Ho,

Phir Naam Hum Ko Apna Acha Lagta Hai,

Aur Piyaar Tumara Sacha Lagta Hai,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Tum Dhire Dhire Hansti Ho......!

       ..... THE END .....

Mazeed Poetry Ke Liye,

Follow Khan61 send 8001

Saturday, 12 December 2015

Dunia Ko To Halaat Se Umeed Barri Thi

Poetess Parveen Shakir

Type By
   *.___HIJAR___.*

Dunia Ko To Haalaat Se Umeed Barri Thi,

Par Chaahne Walon Ko Judaai Ki Parri Thi,

Kis Jaan-E-Gulstaan Se Ye Milne Ki Gharri Thi,

Khushboo Mein Nahaai Hui Ik Sham Kharri Thi,

Main Us Se Mili Thi Keh Khud Apne Se Mili Thi ?

Wo Jese Meri Zaat Ki Gum Gashta Karri Thi,

Youn Dekhna Us Ko Keh Koi Aur Na Dekhe,

Inaam To Ach'ha Tha Mgar Shart Karri Thi,

Kam Maya To Hum The Mgar Ahsaas Nahi Tha,

Aamd Teri Is Ghar K Muqdar Se Barri Thi,

Main Dhal Liye Simat-E-Addu Dekh Rahi Thi,

Palti To Meri Pushat Pe Talwaar Garri Thi..........!