Showing posts with label Faiz Ahmad Faiz. Show all posts
Showing posts with label Faiz Ahmad Faiz. Show all posts

Thursday, 5 March 2015

Mera Dard-E-Naghma-E-Besada Be Nishaan

Poet Faiz Ahmad Faiz

    Mere Dard Ko Jo
       Zubaan Mele

Type By
  *.__Ayaz_Khan__.*

Mera Dard Naghma-E-Be Sada,

Meri Zaat Zara-E-Be Nishan,

Mere Dard Ko Jo Zubaan Mele,

Mujhe Apna Naam-O-Nishaan Mele,

Meri Zaat Ka Jo Nishaan Mele,

Mujhe Raaz-E-Nazam-E-Jahaan Mele,

Jo Mujhe Ye Raaz-E-Nihaan Mele,

Meri Khamoshi Ko Bayaan Mele,

Mujhe Kainaat Ki Sarwari,

Mujhe Dulat-E-Do Jahaan Mele.......!

Book,
Shaam e Shehr e Yaraan

Page, 40

Wednesday, 11 February 2015

Lazim Hai K Hum Bhi Dekhein Gay Wo Din K Jis Ka Wada Hai

Poet Faiz Ahmad Faid

Type By
    *.___HIJAR___.*

Hum Dekhein Gay,

Lazim Hai K Hum Bhi Dekhain Gay

Wo Din K Jis Ka Wada Hai,

Jo Loh-E-Azal Pe Likha Hai,

Jab Zulmo-O-Sitam K Kooh-E-Garaan,

Roi Ki Tarha Urr Jain Gay,

Hum Mehkamon K Paon Tale,

Ye Dharti Dharr Dharr Dharke Gi,

Aur Ehl-E-Hukam K Upar Jab Bijli Karr Karr Karke Gi,

Jab Arz-E-Khuda K Kabe Se,

Sab But Uthwaye Jain Gay,

Hum Ehl-E-Safa Mardood-E-Haram,

Masnad Pe Bithaye Jain Gay,

Sab Taaj Uchale Jain Gay,

Sab Takhat Giraye Jain Gay,

Bas Nam Rahe Ga ALLAH Ka,

Jo Ghaib Bhi Hai Hazir Bhi,

Jo Nazeer Bhi Hai Manzar Bhi,

Uthay Ga ANAL HAQ Ka Nara,

Jo Main Bhi Hon Aur Tum Bhi Ho,

Aur Raj Kare Gi Khalq-E-Khuda,

Jo Main Bhi Ho Aur Tum Bhi Ho,

Hum Bhi Dekhein Gay,

Lazim Hai K Hum Bhi Dekhain Gay..............!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002