Poet Kashif Nadeem
Type By
*.__Ayaz_Khan__.*
Mohabbat Hath Mein Pehni Chori Ki Tarha Hai
Khanakti Hai Sanwarti Hai Aur Aakhir Toot Jati Hai
Mohabbat Nadan Na Samjh Masoom Bache Ki Tarha Hai,
Hansati Hai Rulati Hai Aur Aakhir Rooth Jati Hai,
Mohabbat Lazawal Anmol Khazane Ki Tarha Hai,
Mil Jaye To Ameer Na Mile To Faqeer Bana Jati Hai,
Mohabbat Pal Pal Rang Badalte Mosam Ki Tarha Hai,
Khizan Ho Ya Ho Bahar Apna Aseer Bana Jati Hai,
Mohabbat Nazuk Khush Rang Phool Ki Tarha Hai,
Mehkati Hai Aur Aakhir Bikhar Jati Hai,
Mohabbat Tand-O-Teiz Aandhi Ki Tarah Hai,
Aabad Karti Hai Barbad Karti Hai Aur Aakhir Guzar Jati Hai........!
Mazeed Poetry K Liye,
Follow khan61 send 8001
Showing posts with label kashif nadeem. Show all posts
Showing posts with label kashif nadeem. Show all posts
Wednesday, 22 October 2014
Thursday, 17 July 2014
Mujh Se Door Ho Kar Ek Gaon Ki Larki Is Bar Eid Par Apne Hont Laho Se Lal Kare Gi
Poet Kashif Nadeem
Type By
*.___HIJAR___.*
Bikhri Bikhri Zulfon K Sath,
Wo Albeli Kia Eid Kare Gi,
Roti Aankhain Liye Wo Haseena,
Kia Khushi Manaye Gi,
Piyase Sehra Se Hain Jis K Rukhsar,
Wo Kia Hans K Eid Mubark Kahe Gi?
Mujh Se Door Ho Kar Ek Gaon Ki Larki,
Is Bar Eid Par Apne Hont Laho Se Lal Kare Gi,
Kaan K Bunde Naak Ki Nathli,
Kaise Wo Seengar Kare Gi?
Sooni Kalai Rang-E-Hina Ko KASHIF,
Tarste Hath Liye Wo Gori Bhala Kia Eid Kare Gi............!
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
Send 8002
Type By
*.___HIJAR___.*
Bikhri Bikhri Zulfon K Sath,
Wo Albeli Kia Eid Kare Gi,
Roti Aankhain Liye Wo Haseena,
Kia Khushi Manaye Gi,
Piyase Sehra Se Hain Jis K Rukhsar,
Wo Kia Hans K Eid Mubark Kahe Gi?
Mujh Se Door Ho Kar Ek Gaon Ki Larki,
Is Bar Eid Par Apne Hont Laho Se Lal Kare Gi,
Kaan K Bunde Naak Ki Nathli,
Kaise Wo Seengar Kare Gi?
Sooni Kalai Rang-E-Hina Ko KASHIF,
Tarste Hath Liye Wo Gori Bhala Kia Eid Kare Gi............!
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
Send 8002
Friday, 4 July 2014
Hosh Walon Se Kahan Tarz-e-Ada Pao Gay
Poet Kashif Nadeem
Type By
*.___HIJAR___.*
Hosh Walon Se Kahan Tarz-e-Ada Pao Gay
Ishq Ka Jam Pio Hosh Mein Kia Pao Gay
Kuch To Barh Jaye Gi Ye Be Khudi Qatra Qatra,
Jism Mein Khoon Ki Har Boond Wafa Pao Gay,
Apni Hasti Ko Mitane Ki Tamanna To Karo,
Kabhi Har Shaye Mein Kabhi Khud Mein Khuda Pao Gay,
Apne Maathe Pe Saja Lo Har Aik Pathar Ki Zarb,
Ishq Kar Baithe Ho Lazim Hai Saza Pao Gay,
Us Se Har Saans Ki Wabastagi Rakh Lo,
KASHIF
Saans Rukne Ka Kuch Aur Maza Pao Gay.....................!
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
send 8002
Type By
*.___HIJAR___.*
Hosh Walon Se Kahan Tarz-e-Ada Pao Gay
Ishq Ka Jam Pio Hosh Mein Kia Pao Gay
Kuch To Barh Jaye Gi Ye Be Khudi Qatra Qatra,
Jism Mein Khoon Ki Har Boond Wafa Pao Gay,
Apni Hasti Ko Mitane Ki Tamanna To Karo,
Kabhi Har Shaye Mein Kabhi Khud Mein Khuda Pao Gay,
Apne Maathe Pe Saja Lo Har Aik Pathar Ki Zarb,
Ishq Kar Baithe Ho Lazim Hai Saza Pao Gay,
Us Se Har Saans Ki Wabastagi Rakh Lo,
KASHIF
Saans Rukne Ka Kuch Aur Maza Pao Gay.....................!
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
send 8002
Wednesday, 18 June 2014
Hijar Ne Aisa Rishta Jora Astaghfar
Poet Kashif Nadeem
Type By
*.___HIJAR___.*
Hijar Ne Aisa Rishta Jora Astaghfar,
Qatra Qatra Khoon Nichora Astaghfar,
Marna Tha Ghurbat Ne Maara Theek Kia,
Lekin Mara Thora Thora Astaghfar,
Dil Toota Tha Toota
Hi Rehta Acha Tha,
Jor K Zalim Ne Phir Tora Astaghfar,
Aankh Ne Pala Aur Sanbhala Khoob Magar,
Nikla Har Ek Ashk Bhagora Astaghfar,
Shab Khoon Mare Roz Meri In Aankhon Par,
Teri Yad Ka Sanki Ghora Astaghfar,
Bhook Utari Zilat Orhi Jeewan Ne,
Aur Na Koi Rasta Chora Astaghfar,
Aik Zara Si Laghzish Par Is Dil NE Aameen,
Mujh Ko Sari Rat Jhanjhora Astaghfar............!
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
send 8002
Type By
*.___HIJAR___.*
Hijar Ne Aisa Rishta Jora Astaghfar,
Qatra Qatra Khoon Nichora Astaghfar,
Marna Tha Ghurbat Ne Maara Theek Kia,
Lekin Mara Thora Thora Astaghfar,
Dil Toota Tha Toota
Hi Rehta Acha Tha,
Jor K Zalim Ne Phir Tora Astaghfar,
Aankh Ne Pala Aur Sanbhala Khoob Magar,
Nikla Har Ek Ashk Bhagora Astaghfar,
Shab Khoon Mare Roz Meri In Aankhon Par,
Teri Yad Ka Sanki Ghora Astaghfar,
Bhook Utari Zilat Orhi Jeewan Ne,
Aur Na Koi Rasta Chora Astaghfar,
Aik Zara Si Laghzish Par Is Dil NE Aameen,
Mujh Ko Sari Rat Jhanjhora Astaghfar............!
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
send 8002
Subscribe to:
Posts (Atom)