Showing posts with label Ayaz Khan. Show all posts
Showing posts with label Ayaz Khan. Show all posts

Thursday 21 January 2016

Ye Tum Kaisa Jadoo Karti Ho Jab Tum Dheere Dheere Hansti Ho

Poet Ayaz Khan

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho

Typed By
       *.__Zulmi__.*

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Dhire Dhire Hansti Ho,

Phir Sare Manzar Ache Lagte Hain,

Chaand Sitare Apne Lagte Hain,

Neele Peele Laal Gulab Rang Jo Hote Hain,

Sab Rang Hi Ache Lagte Hain,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Aankh Utha Ke Dekhti Ho,

Phir Main Sapno Main Kho Jata Hon,

Aur Paas Tumhare Hota Hon,

Aur Tum Ko Hath Laga Ke Choota Hon,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Paaon Utha Kar Chalti Ho,

Phir Mast Tum Hum Ko Karti Ho,

Payal Tumhare Paaon Main Sajti Hai,

Aawaaz Humare Dil Se Aati Hai,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Zulfen Tum Lehrati Ho,

Aur Mast Hawa Main Aati Ho,

Phir Dhaire Dhaire Gungunati Ho,

Aur Phir Piyaar Ke Geet Gati Ho,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Lab Tumare Halte Hain,

Lafz Khushboo Se Tar Hote Hain,

Phir Hum Par Jadoo Karte Hain,

Aur Dil Ke Andar Utar Jate Hain,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Barish Main Tum Bheegti Ho,

Phir Hum Par Tum Barasti Ho,

Har Qatre Main Tum Tum Hoti Ho,

Har Bondh Main Tum Melti Ho,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Khirrki Main Tum Ati Ho,

Phir Aankhon Tum Hoti Ho,

Khabon Main Tum Aati Ho,

Aur Sath Humare Rehti Ho,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Sath Tum Mere Hoti Ho,

Phir Main Jo Bhi Mesra Lekhta Hon,

Is Main Zikar Tumara Hota Hai,

Is Main Naam Tumara Hota Hai,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Mefil Main Tum Aati Ho,

Alfaaz Humare Hote Hain,

Phir Baat Tumari Hoti Hai,

Aur Tareef Tumari Hoti Hai,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Shaam Dhale Tum Chhat Par Aati Ho,

Ham Door Se Tum Ko Takte Hain,

Ham Tum Ko Sochte Rete Hain,

Hum Khod Se Baten Karte Hain,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Tum Naam Humara Leti Ho,

Phir Tum Apni Apni Lagti Ho,

Phir Naam Hum Ko Apna Acha Lagta Hai,

Aur Piyaar Tumara Sacha Lagta Hai,

Ye Tum Kisa Jadoo Karti Ho,

Jab Tum Dhire Dhire Hansti Ho......!

       ..... THE END .....

Mazeed Poetry Ke Liye,

Follow Khan61 send 8001

Thursday 8 October 2015

Toota Jo Phool Shakh Se Fiza Ro Rahi Hai,

Poet Ayaz Khan

Type By
  *.__Ayaz_Khan__.*

Toota Jo Phool Shakh Se Fiza Ro Rahi Hai,

Bikhar Gai Khushboo Hawa Ro Rahi Hai,

Ay Chorr Ke Jane Wale Dil Torr Ke Jane Wale,

Teri Wafaa Par Tou Aaj Wafaa Ro Rahi Hai,

Ashkon K Samandar Mein Dobi Jafa Ki Kashti,

Jafa Ka Sahil Door Bahut Jafa Ro Rahi Hai,

Bajh Rahi Hai Shehnai Gonj Rahe Hain Naghme,

Labon Pe Talay Pare Howe Sada Ro Rahi Hai,

Qismat Ka Sitam Tou Dekho Tum AYAZ,

Bani Mohabbat Saza Aur Saza Ro Rahi Hai....!

Toota Jo Phool Shakh Se Fiza Ro Rahi Hai,

Poet Ayaz Khan

Type By
  *.__Ayaz_Khan__.*

Toota Jo Phool Shakh Se Fiza Ro Rahi Hai,

Bikhar Gai Khushboo Hawa Ro Rahi Hai,

Ay Chorr Ke Jane Wale Dil Torr Ke Jane Wale,

Teri Wafaa Par Tou Aaj Wafaa Ro Rahi Hai,

Ashkon K Samandar Mein Dobi Jafa Ki Kashti,

Jafa Ka Sahil Door Bahut Jafa Ro Rahi Hai,

Bajh Rahi Hai Shehnai Gonj Rahe Hain Naghme,

Labon Pe Talay Pare Howe Sada Ro Rahi Hai,

Qismat Ka Sitam Tou Dekho Tum AYAZ,

Bani Mohabbat Saza Aur Saza Ro Rahi Hai....!

Saturday 14 March 2015

Sari Dunia So Rahi Hai Chupke Chupke Batain Ho Rahi Hain

Poet Ayaz Khan

              Pagali

Type By
  *.__Ayaz_Khan__.*

Sari Dunia  So Rahi Hai,

Chupke Chupke Batein Ho Rahi Hain,

Jag Rahi Hai Pagli,

Kuch Sapne Hain Kuch Khawab Hain,

Chand Se Baten Ho Rahi Hain,

Jaag Rahi Hai Pagli,

Aasmaan Par Thore Thore Badal Hain,

Chalte Chalte Baten Ho Rahi Hain,

Jaag Rahi Hai Pagli,

Kuch Shekwe Hain Kuch Waday Hain,

Dhere Dhere Baten Ho Rahi Hain,

Jaag Rahi Hai Pagli,

Kuch Guria Se Kuch Takiye Se,

Sargoshi Mein Baten Ho Rahi Hain,

Jaag Rahi Hai Pagli,

Sapno Ki Is Duniaa Mein Gham Bhi Hain,

Dil Hi Dil Mein Baten Ho Rahi Hain,

Jaag Rahi Hai Pagli,

Qatra Qatra Ro Rahi Hai,

Tasveer Se Baten Ho Rahi Hain,

Jaag Rahi Hai Pagali,

Saari Duniaa So Rahi Hai,

Chupke Chupke Baten Ho Rahi Hain,

Jaag Rahi Hai Pagli........!

Mazeed Poetry Ke Liye,

Follow khan61 send 8001

Join khan.gzl .

Sunday 8 March 2015

Kash Tere Labon Se Koi Shararat Ho Mera Chain Mera Sakoon Gharat Ho

Poet Ayaz Khan

Type By
  *.__Ayaz_Khan__.*

Kash Tere Labon Se Koi Shararat Ho,

Mera Chain Mera Sakoon Gharat Ho,

Ho Shab-E-Tanhai Zulfon K Saye Mein,

Phir Tere Nazuk Badan Ki Ziarat Ho,

Chalein Ek Bosa Idhar Se Ek Bosa Udhar Se,

Qaim Tere Mere Beech Boson Ki Safarat Ho,

Ho Shab-E-Wasal W Shab Itni Taweel K

Baqi Na Koi Phir Mere Dil Mein Hasrat Ho,

Sada Mehke Teri Khushbo Se Mera Ghar,

AYAZ Dil Kash Mohabbat Ki Ye Imarat Ho.......!

Monday 2 March 2015

Sab Ka Anjam Hai Fana Ho Jana Ho Shama Ya Phir Koi Parwana

Poet Ayaz Khan

Type By
    *.__Ayaz_Khan__.*

Sab Ka Anjaam Hai Fana Ho Jaana,

Ho Shama Ya Phir Koi Parwana,

Khud Ko Aashna Kar Raaz-E-Ishq Se,

Ye Raaz Shama Jane Ya Phir Koi Parwan,

Ishq Karna Hai  To Jaan Ishq-E-Haqeeqi Ko, 

Yon Na Bhatak Sehra Mein Ho Ke Diwana,

Saqi Too Ne Pela Kar Bar Baad Kar Dia,

Ab Na Zulf-E-Yaar Mein Maza Na Lutf-E-Mekhana,

Dil Ke Sumnaat Pe Qabza Hai Haseeno Ka,

AYAZ, Tour De Ab Dil Ka Ye But Khana.......!

Mazeed Poetry K Liye,

Follow khan61 send 8001

Thursday 19 February 2015

Main Dulhan Aik Rat Ki Hon Makeen Aanson Ki Barsat Ki Hon

Poet Ayaz Khan

  Aik Rat Ki Dulhan

Type By
  *.__Ayaz_Khan__.*

Mein Dulhan Aik Raat Ki Hon....*

Makeen Aanson Ki Barsaat Ki Hon....*

Mein Udasi Ki Chadar Mein Lipti Hoi....*

Tanha Gungi Wihshtaon Mein Simti Hoi....*

Apni Qismat Par Aanso Bhati Hon....*

Ghar Ki Diwaron Ko Siskiyaan Sunati Hon....*

Mein Andhere Se Atte Kone Mein Pari....*

Aati Hai Yaad Us Ke Hanste Howe Labon Ki Lari....*

Kabhi Mein Ne Bhi Dekhe The Sapne Dulhan Ke....*

Laal Jora Choriyaan Pehne Howe Shadi Ke Din Ke....*

Mehndi Se Saje Howe Hathon Ke....*

Wisal Mein Dobi Hoi Anmool Raaton Ke....*

Mujhe Par Muhabbat Ki Thandi Barsat Ho....*

Mera Piya Har Dam Har Waqat Mere Saat Ho....*

Mein Jo Rothon To Wo Manaye Kare Mujhe....*

Phir Wo Apne Hathon Se Sataye Kare Mujhe,

Khush Libasi Ho Qarina Mera....*

Mera Piyaa Ho Aaina Mera....*

Meri Har Ada Par Woh Fida Ho....*

Mujh Se Kabhi Na Woh Juda Ho....*

Mere Labon Par Sirf Us Ka Hi Naam Ho....*

Us Ki Bahon Mein Hi Subh Ho Shaam Ho....*

Woh Jab Bhi Kaam Par Jaye....*

Bar Bar Mere Liye Us Ka Phon Aaye....*

Woh Mere Bina Ek Pal Bhi Jee Na Sake....*

Mein Pas Na Hon To Meri Tasveer Ko Take....*

Jab Kabhi Meri Aankh Mein Aanso Aaye....*

Jaldi Se Wo Apne Dono Hath Aage Laye....*

Phir Wo Mujhe Apni Bahon Mein Le Le....*

Har Waqt Wo Meri Zulfon Se Khele,

Ye Mere Sapne The Mere Khawaab The....*

Meri Hasraton Ke Surkh Gulaab The....*

Meri Aarzo Mere Armano Ki Tasveer Hai Ye....*

Mere Khawabon Ki Kitaab Ki Thereer Hai Ye....*

Par Ye Sab Mera Muqadar Mera Naseeb Na Tha....*

Khushiyon Ka Ye Hawa Ka Jhunka Qareeb Na Tha....*

Mein Ne Jo Sapne Jo Khawaab Dekhe Jhote The....*

Meri Rah Guzar Se Khushiyon Ke Qafle Rothe The....*

Mein Dulhan To Bani Par Aik Raat Ki....*

Aanson Mein Dubi Kashti Meri Zaat Ki....*

Wo Meri Zindagi Mere Khawabon Ka Shezada....*

Shadi Ke Dosre Din Hi Mujhe Chor Gaya Ghamzada,

Wo Ghar Se Gia Tha Mere Liye Lene Phool....*

Zindagi Dagha Deti Hai Gia Tha Bhool....*

Halaat Ki Be Reham Aur Safaak Mujon Ne....*

Dehshat Ki Dunia Ki  Is Manfi Sochon Ne....*

Safaak Qatilon Ne Us Ko Bhi Maar Dala....*

Barood Ki Aag Mein Us Ke Badan Ko Jala Dala....*

Phir Meri Zindagi Mein Andhera Chaya....*

Khushiyon Se Phele Mere Ghar Gham Aaya....*

Meri Udasi Ka Ye Zard Musam....*

Na Jane Kab Ho Ga Ab Ye Kam....*

Meri Bujhi Hoi Aankhon Ke Diye....*

Us Ki Suhani Dil Kash Yaadon Ko Liye....*

Apne Ujre Lute Pute Howe Ghar Mein....*

Mehromi Bewgi Ki Safid Chadar Mein,

Ab Mere Hunton Par Saji Hain  Siskiyaan....*

Band Kamre Mein Gunjti Hain Hichkiyaan....*

Apne Dil Mein Ghop Andhere Liye....*

Sochti Hon Kab Aaye Gi Mout Mere Liye....*

Jam Gaye Hain Mere Khawaab Chehre Par....*

Jhulas Gia Hasraton Ke Gulaab Chehre Par....*

Ye Saniha Meri Zindagi Ke Dariche Muqfal Kar Gia....*

Ye Hadsa Mujhe Aik Raat Ki Dulhan Kar Gia........!

        ...THE AND...

Mazeed Poetry K Liye,

Follow khan61 send 8001

Wednesday 22 October 2014

Ishq Hara hai to dil thaam k kion bethe ho Ayaz

Ishq Hara hai to dil thaam k kion bethe ho Ayaz

Poet Ayaz Khan

Type By

*.__Ayaz_Khan__.*

Dil Tarapta Hai Ke Ab Tujhe Se Koi Mulaqaat Nahi,

Dard Ke Tufe Jo Tu Ne Diye Wo Kante Hain Koi Soghaat Nahi,

Mein To Diwana Hon Tera Khud Ko Jala Don Ga,

Mein Mar Bhi Gaya Tere Gham Mein To Ye Koi Maat Nahi,

Ye Jo Sawan Ki Tarah Ashkon Ka Ek Daria Nazar Aata Hai,

Ye Mere Aansoo Hain Zalim Koi Barsaat Nahi,

Aaj Mein Tanha Hon Tujh Ko Ye Raaz Kise Bataon,

Teri Yaadain Teri Baatain Hain Aur Koi Sath Nahi,

Ishq Hara Hai To Dil Thaam Ke Kion Bethe Ho AYAZ,

Tum To Har Baat Par Kehte The Koi Baat Nahi, Koi Baat Nahi..........!

Mazeed Poetry K Liye,

Follow khan61 send 8001