Showing posts with label Umar Raahi. Show all posts
Showing posts with label Umar Raahi. Show all posts

Wednesday 15 July 2015

Aaj Kafi Arse Baad Main Ne Cigarett Honton Se Lagai Hai Kisi Ki Awaz

Poet Umar Raahi

Type By

       *_FAROOQI.54_*

Aaj Kafi Arse Bad Main Ne,

Cigarett Honton Se Lagai To,

Kisi Ki Aawaz Kaanon Mein Goonjne Lagi,

Tumhein Meri Qasam Hai,

Aaj Say Cigarette Na Peo Ge Tum,

Ik Pal Ko Socha Dil Hi Dil Mein,

Jab Us Ne Sare Wa'ade,

Sari Qasmein Torr Di Hai To,

Main Kion Wada Nibhaon Apna ?

Main Kion Qasamon Ki,

Zanjeer Mein Qaid Rahon ?

Mgar Phir Socha Dil Mein,

Wo To Tha Hi Har Jurra Nata Torrne Wala,

Main To Apne Wa'ade Nibha Kar,

Us Ko Dikha Doon Ye,

Keh Mujhe Us Say Mohabbat Hai,

Main Apne Wa'ade,
Apni Qasmein Nibhaaon Raha,

Ye Soch Kar Main Ne,

Cigarette Chhorr Di Main Ne,

Lo Phir Aaj Cigarett Torr Di Main Me.....................*

Saturday 4 July 2015

Hum Bhi Kaise Deewane Thay Apni Batein Ab Tak Hum Ne

Poet Aetbaar Sajid

Type By

*_FAROOQI.54_*

Hum Bhi Kese Deewane Thay,

Apni Baatein Ab Tak Hum Ne,

Unhein Sunaai Jin K Pas,

Khud Apne Laakhon Afsane Thay,

Ab Socha Hai,

Apni Baatein Unhein Sunaein,

Jin K Pas Na Ho Apna Afsana Koi,

Hai Hum Sa Deewana Koi....................?
.
Page Num 30

Main Apne Sar-E-Khawabon Ki Tokri Sar Pe Utha Kar

Poet Umar Raahi

Type By
     *_FAROOQI.54_*

Main Apne Sare Khawabon Ki,

Tokri Sar Pe Utha Kar,

Sar-E-Bazaar Bechne Aaya Hoon,

Koi Khareedar Hai Khawabon Ka ?

To Aaye Main Apne Bhawab Bech Raha,

Mazi K Hain Khawab To Haal K Bhi Hain,

Aur Aane Wale Waqat K Bhi Hain,

Kuch Talakh Hain Khawab To,

Kuch Sunhri Khawab Hain,

Aur Sub Se Barra To Mera Wo Khawab Hai,

Jis Mein Ik Pyara Ghar Hai,

Jo Hum Donoon Ne,

Tinka Tinka Jorr Kar Banaya Hai,

Jis Mein Har Taraf Phool Khilein Hain,

Lehrata Ik Gulshan Hai,

Jo Pyar Ka Mera Suhnri Khawab Hai,

Jo Sub Se Barrh Kar Mera Apna Hai,

Ye Khawab Bhi Mera Le Lo O Lene Walo,

Is Khawab K Badle Mujhe,

Wo Ik Lamha Lota Do,

Jab Koi Mera Apna Tha,

Ye Haqeeqat Thi Na Sapna Tha,

Mere Sare Khawab Le Lo,

Bas Mujhe Mera Mazi Ka Ik Khawab Lota Do.....................*