Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Saturday, 12 December 2015

Dunia Ko To Halaat Se Umeed Barri Thi

Poetess Parveen Shakir

Type By
   *.___HIJAR___.*

Dunia Ko To Haalaat Se Umeed Barri Thi,

Par Chaahne Walon Ko Judaai Ki Parri Thi,

Kis Jaan-E-Gulstaan Se Ye Milne Ki Gharri Thi,

Khushboo Mein Nahaai Hui Ik Sham Kharri Thi,

Main Us Se Mili Thi Keh Khud Apne Se Mili Thi ?

Wo Jese Meri Zaat Ki Gum Gashta Karri Thi,

Youn Dekhna Us Ko Keh Koi Aur Na Dekhe,

Inaam To Ach'ha Tha Mgar Shart Karri Thi,

Kam Maya To Hum The Mgar Ahsaas Nahi Tha,

Aamd Teri Is Ghar K Muqdar Se Barri Thi,

Main Dhal Liye Simat-E-Addu Dekh Rahi Thi,

Palti To Meri Pushat Pe Talwaar Garri Thi..........!

Monday, 31 August 2015

Bad Muddat Usay Dekha Logo Wo Zara Nahi Badla Logo

Poetess Parveen Shakir

Type By
    *.___HIJAR___.*

Baad Muddat Usay Dekha, Logo,

Wo Zara Bhi Nahi Badla Logo,

Khush Na Tha Mujh Se Bhichar Kar Wo Bhi,

Us K Chehre Par Likha Tha Logo,

Us Ki Aankhein Bhi Keh Deti Thein,

Rat Bhar Wo Bhi Nahi Soya Logo,

Ajnabi Ban K Jo Guzra Hai Abhi Tha Kisi Waqt Wo Apna Logo,

Dost To Khair Koi Kis Ka Hai,

Us Ne Dushman Bhi Na Samjha Logo,

Rat Wo Dard Mere Dil Mein Utha Subha Tak,

Mujhe Chain Na Aaya Logo,

Pyas Sehraon Ki Phir Teiz Hoi,

Abar Phir Toot K Barsa Logo.........!

Mazeed Poetry Collections K Liye

Follow HIJJAR
Send 8001

Monday, 6 April 2015

Shehr Ko Teri Justajoo Hai Bahut

Poetess Parveen Shakir

Type By
    *.___HIJAR___.*

Shehr Ko Teri Justajoo Hai Bahut,

In Dino Hum Pe Guftagoo Hai Bahut,

Jab Se Parwaz K Shareek Mile,

Ghar Banane Ki Aarzoo Hai Bahut,

Dard Rah Rah K Sar Uthata Hai,

Kabho Kam Ho Gia Kabho Hai Bahut,

Kuch To Wo Yad Bhi Bahut Aaya,

Kuch Un Aankhon Mein Bhi Lahoo Hai Bahut,

Peene Wali Nigah Hai Darkar,

Aankh Ko Chand Ka Saboo Hai Bahut..............!

Page 67

Mazeed Poetry Lene K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

Thursday, 12 December 2013

Hijar Ki Shab Ka Kisi Isam Se Katna Mushkil


Poetess Parveen Shakir
 Type By *.___HIJAR___.*

Hijar Ki Shab Ka Kisi Isam Se Katna Mushkil,

Chand Poora Hai To Phir Dard Ka Ghatna Mushkil
,
Moja-E-Khawab Hai Wo Us K Thikane Maloom,

Ab Gia Hai To Ye Samjho K Palatna Hai Mushkil,

Follow Nice_Rosee
And send to 40404

Wo Pyar Bhi Karta Hai Aur Azhar Bhi Nahi Karta

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Wo Pyar Bhi Karta Hai Aur Azhar Bhi
Nahi Karta,

Jo Pooch Le Koi Us Se To Iqrar Bhi Nahi Karta,

Wo Aisa Sada Dil Hai K Mujhe Dekene Ki Duain Mange,

Jab Samne Aa Jaon To Deedar Bhi Nahi Karta,

Gar Us Se Door Jaon Main To Sans Us Ki Rukh Jaye,

Koi Mang Le Mujhe Us Se To Inkar Bhi Nahi Karta,

Apne Qareeb Aane Se Rok Deta Hai Mujh Ko,

Aur Rah Mein Hail Koi Deewar Bhi Nahi Karta,

Mere Dil K Darwaze Pe Dastak Bhi Deta Hai Wo,

Aur Darwaza Khul Jane Ka Intizar Bhi Nahi Karta...............!

Wo Mujh Se Meri Udasion Ki Wajha Pochta Hai

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Wo Mujh Se Meri Udasion Ki Wajha
Pochta Hai,

Kitna Pagal Hai Rat K Sanate Ki Wajha Pochta Hai,

Wo Mujh Se Mere Aanson Ki Wajha
Pochta Hai,

Kitna Pagal Hai Barish K Barsne Ki Wajha Pochta Hai,

Wo Mujh Se Meri Pasand K Bare Mein Pochta Hai,

Kitna Pagal Hai Khud Apne Hi Bare Mein Pochta Hai,

Wo Mujh Se Meri Wafa Ki Intiha Pochta Hai,

Kitna Pagal Hai Sahil Par Khare
Samander Ki Gehrai Pochta
Hai...............!

Main Apni Dosti Ko Shehr Mein Ruswa Nahi Karti

Poetess Parveen Shakir
Type By
*.___HIJAR___.*

Main Apni Dosti Ko Shehr Mein Ruswa Nahi Karti,
Mohabbat Mein Bhi Karti Hon Magar Charcha Nahi Karti,
Jo Mujh Se Milne Aa Jaye Main Us Ki Dil Se Khadim Hon,
Jo Utth K Jana Chahe Main Usay Roka Nahi Karti,
Jisay Main Chor Deti Hon Usay Phir Bhool Jati Hon,
Phir Us Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahi Karti,
Tera Israr Sir Aankhon Pe K Tum Ko Bhool Jaon Main,
Main Koshish Kar K Dekhon Gi Magar Wada Nahi Karti........................!

Follow Nice_Rosee
Send to 40404
And get poetry and much more

Wednesday, 11 December 2013

Main Apni Dosti Ko Shehr Mein Ruswa Nahi Karti

Poetess Parveen Shakir
Type By
*.___HIJAR___.*
Main Apni Dosti Ko Shehr Mein Ruswa Nahi Karti,
Mohabbat Mein Bhi Karti Hon Magar Charcha Nahi Karti,
Jo Mujh Se Milne Aa Jaye Main Us Ki Dil Se Khadim Hon,
Jo Utth K Jana Chahe Main Usay Roka Nahi Karti,
Jisay Main Chor Deti Hon Usay Phir Bhool Jati Hon,
Phir Us Hasti Ki Janib Main Kabhi Dekha Nahi Karti,
Tera Israr Sir Aankhon Pe K Tum Ko Bhool Jaon Main,
Main Koshish Kar K Dekhon Gi Magar Wada Nahi Karti........................!
Type on your mobile message screen

Follow Nice_Rosee
And get poetry and much more on your mobile

Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mohaal Kar Dia

Poetess Parveen Shakir
Type By
* .___HIJAR___.*
Chalne Ka Hosla Nahi Rukna Mohaal Kar Dia
Ishq K Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhal Kar Dia
Aye Meri Gul Zameen Tujhe Chah Thi Ek Kitab ki
Ehl-e-Kitab Ne Magar Kia Tera Haal Kar Dia
Milte Howe Dilon K Beech Aur The Faisla Koi
Us Ne Magar Bicharte Waqt Aur Sawal Kar Dia
Ab K Hawa K Sath Hai Daman-E-Yar Muntazir
Bano-E-Shab K Hath Mein Rakhna Sanmbhal Kar Dia
Mumkina Faislon Mein Ek Hijar Ka Faisla Bhi Tha
Hum Ne To Ek Bat Ki Us Ne Kamal Kar Dia
Mere Labon Pe Mohar Thi Par Mere Sheesha Roo Ne To
Shehr K Shehr Ko Mera Waqif-E-Haal Kar Dia
Chehra-O-Naam Ek Sath Aaj Na Yad Aa Sake
Waqt Ne Kis Shabeeh Ko Khawab-O-Khayal Kar diya
Muddaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila Kia
Mansab-E-Dilbari Pe Kia Mujh Ko Bahal Kar Dia..............!
Follow Nice_Rosee
Send 40404

Khushi Ki Bat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hon

Poetess Parveen Shakir
Type By
*.___HIJAR___.*

Khushi Ki Bat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hon,
Teri Awaz Ka Chehra Main Choo K Dek Sakti Hon,
Abhi Tere Labon Pe Zikar Fasl-e-Gul Ka Nahi Aaya,
Magar Ek Phool Khilte Apne Andar Dekh Sakti Hon,
Mujhe Teri Mohabbat Ne Ajab Ek Roshni Bakshi,
Mein Is Dunia Ko Ab Pehle Se Behtar Dekh Sakti Hon,
Kinara Dundhne Ki Chah Tak Mujh Mein Nahi Ho Gi,
Mai Apne Gird Ek Aisa Samandar Dekh Sakti Hon,
Khayal Aata Hai Aadhi Rat Ko Jab Bhi Tera Dil Mein,
Utarata Ek Saheefa Apne Opar Dekh Sakti Hon,
Wisal-o-Hijar Ab Yaksan Hain,
Wo Manzil Hai Ulfat Mein Main Aankhain Ban Kar K,
Tujh Ko Aksar Dekhti Hon..........!
Type on your mobile message screen
Follow Nice_Rosee
And send to 40404
Get poetry and much more free of cost

Khushi Ki Bat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hon

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Khushi Ki Bat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hon,

Teri Awaz Ka Chehra Main Choo K Dekh Sakti Hon,

Abhi Tere Labon Pe Zikar Fasl-e-Gul Ka Nahi Aaya,

Magar Ek Phool Khilte Apne Andar Dekh Sakti Hon,

Mujhe Teri Mohabbat Ne Ajab Ek Roshni Bakshi,

Mein Is Dunia Ko Ab Pehle Se Behtar Dekh Sakti Hon,

Kinara Dundhne Ki Chah Tak Mujh Mein Nahi Ho Gi,

Mai Apne Gird Ek Aisa Samandar Dekh Sakti Hon,

Khayal Aata Hai Aadhi Rat Ko Jab Bhi Tera Dil Mein,

Utarata Ek Saheefa Apne Opar Dekh Sakti Hon,

Wisal-o-Hijar Ab Yaksan Hain,

Wo Manzil Hai Ulfat Mein Main Aankhain Ban Kar K,

Tujh Ko Aksar Dekhti Hon..........!

Type on your mobile message screen

Follow Nice_Rose2
And send to 40404

Get poetry and much more free of cost

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hon

Poetess Parveen Shakirf

Type By
*.___HIJAR___.

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hon,

Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hon,

Ye To Hai K Mera Weham Hai,

Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hon,

Jaise K Kabhi Na Tha Taaruf,

Youn Milte Howe Jhijak Rahi Hon,

Pehchan Main Teri Roshni Hon,

Aur Teri Palak Palak Rahi Hon,

Kia Chain Mila Hai Sar Jo Us K,

Shano Pe Rakhe Sisak Rahi Hon,

Pathar Pe Khili K Chasham Gul Mein,

Kante Ki Tarah Khatak Rahi Hon,

Jugno Kahein Thak K Gir Chuka Hai,

Jangal Mein Kahan Bhatak Rahi Hon,

Guria Meri Soch Ki Channi Kia,

Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hon,

Ek Umar Hoi Khud Se Larte,

Andar Se Tamam Thak Rahi Hon,

Rass Phir Se Joron Mein Ja Raha Hai,

Mein Shak Pe Kab Se Pak Rahi Hon,

Takhleeq-e-Jamal-e-Fun Ka Lamha,!

Kalyon Ki Tarah Chatakh Rahi
Hon........................!

Type on your mobile message screen

Follow Nice_Rose2

And send to 40404
Get poetry free of cost

Mohabbat Tum Se Hai Ye Manti Hon Main

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Mohabbat Tum Se Hai Ye Manti Hon
Main,

Chahat Bas Tumhari Hai Ye Janti Hon Main,

Aao Apni Zaat K Us Pehlo Se Milaon
Tumhain,

Main Kia Hon Aur Kon Hon Ye Bataon Tumhain,

Mein Apni Maaan Ki Tarbiyat Mein
Dhalla Ek Sancha Hon,

Apne Baba Ki Umeedon Se Pur Aik Khaka Hon Main,

Apne Bhai Ki Ghairat Hon,

Ye Janti Hon Main Is Ghar Ki Izat Hon Ye Manti Hon Main,

To Phir Behak Jaon Phir Maiin Ye
Mumkin Hi Nahi,

Rishte Aur Bhi To Hain Sirf Tum Hi To Nahi,

Mohbabbat Unhai Bhi Hai Sirf Tum Ko To
Nahi.............
Type on your mobile screen
Follow Nice_Rose2
and send to 40404
Get updates free of cost
about poetry and much more free o

Bahut Roya Wo Hum Ko Yad Kar K

Poetess Parveen Shakir

Bahut Roya Wo Hum Ko Yad Kar K

,
Humari Zindagi Barbad Kar K,

Palat Kar Phir Yehien Aa Jain Gay Hum,

Wo Dekhe To Humain Azad Kar K,
Rehai Ki Koi Sorat Nahi,

Magar Haan! MiNnat-E-Saiyad Kar K,

Badan Mera Choowa Tha Us Ne Lekin,

Gia Hai Rooh Ko Aabad Kar K,

Har Amar Toul Dena Chahta Hai,

Muqarar Zulam Ki Miaad Kar
K................!
             

              ===============
               Typed Arosa Eman
               ===============
Follow Nice_Rose2
Send 40404

Door Reh Kar Kareeb Kitne Hain

            ========
                        SHIKWAY
                               ========

Poetess : Parveen Shakir

Door Reh Kar Kareeb Kitne Hain,

Ye Fasle Bhi Ajeeb Kitne Hain,

Dard-E-Dil Ki Dawa Nahi Warna,

Is Jahan Mein Tabeeb Kitne Hain,

Umar Bhar Jo Sath Rahe Tere,

Us K Ache Naseeb Kitne Hain,

Kion Nahi Aati Mein Tere Sapno Mein,

Mere Shikwe Bhi Ajeeb Kitne
Hain...........!

               ===============
               Typed Arosa Eman
               ===============

Aata Hai Wo Khayal Mein Kuch Bolta Nai

Poetess : Parveen Shakir

Aata Hai Wo Khayal Mein Kuch Bolta
Nai..*

Takta Hai Mujh Ko Pyar Se Lab Khoulta Nahi..*

Sar Tapaa Hai Wo Husan Ka Ek Bemisal Bahut..* 

Urna Bhi Chahata Hai Wo Par Toulta
Nahi..*

Aayna Jamal Mein Jis Ki Shabeeh Hai..*

Wo Mere Dil Ko Muthi Mein To Rolta
Nahi..*

Ek Umar Se Ho Apne Hi Dam-3-Faraib Mein..*

Aksar Mein Dol Jati Hon Wo Dolta
Nahi..*

Wo Koi Ayina Hai K Koi Mujasma..*
Mein Us Se Bat Karti Hon Wo Bolta
Nahi..*

Us Ki Tasaworaat Se Hai Bahut Khush Dua..*

Ek Dil Mein Us Ka Aks Hai Jo Dolta
Nahi.....................!

Tuesday, 10 December 2013

Phool Pe Aa K Jo Baithi Khud Pe Itrana Bhool Gai

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Phool Pe Aa K Jo Baithi Khud Pe Itrana Bhool Gai,

Aysi Mast Hoi Wo Titli K Par Phailana Bhool Gai,

Ayse Khila Wo Phool Sa Chehra,

Phaili Sare Ghar Mein Khushbo,

Khat Ko Chupa Kar Parhne Wali

Raaz Chupana Bhool Gai,

Apne Purane Khat Lene Wo Aai Thi Mere Kamre Mein,

Maiz Pe Do Tasveerain Dekhi Khat Le
Jana Bhool Gai,

Barson Baad Mile To Aysi Piyas Bhari Thi In Honton Mein,

Bhool Gia Main Bat Batana
Aur Wo Sharmana Bhool
Gai...................!

Sunday, 8 December 2013

Agar Sehra Se Guzro To Mere Sahir Se Keh Dena

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Agar Sehra Se Guzro To Mere Sahir Se Keh Dena,

Tumhari Besabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai,

Mere Sahir Se Keh Dena Musafir Aaj Tak Chup Hai,

K Us K Hath Mein Tum Ne Jo Apna Hath Rakha Tha,

Wo Ab Tak Yad Karta Hai,

Mere Sahir Se Keh Dena K Sadion Ki Musafat Ne,

Mere Pairon Se Bandhi Hai

Thakan Ab K Baras Itni,

K Apni Doobti Nabzon Se

Main Khaif Sa Rehta Hon,

Na Jane Kab Kahan Pe

Umar Ki Ye Dor Kat Jaye,

Main Apne Aur Tumhare Beech K In
Fasloon Ko,

Chand Sanson Ki Kami Se Haar Na Jaon,

Bisat-E-Jan Par Phaili Doorion K,

Bojh Ko Le Kar Yonhi Mar Jaon,

Mere Sahir Se Keh Dena K Us K Ishq K Tilsam Se,

Ab Tak Vo Nahi Nikle K Jin Ko Us Ki
Aankhon Ne,

Faqat Ek Bar Dekha Tha Mere Sahir Se Keh Dena,

K Sare Shehar Ko Mere Youn Hi Pathar Na Rehne De,

Mere Tilsam Kadon Mein Lout Kar Aaye,

K Wo Pathar Taraste Hain

Tumhari Chashm Ki Jumbish,

Unhain Ek Bar Phir Kar De

Kisi Zee Rooh Ki Manind,

Mere Sahir Se Keh Dena Bichar Kar Tum Jo Milte Thay,

To Youn Mehsoos Hota Tha K Jaise Marg K,

Dhundle Kinaron Tak Pahunchate Hi,

Adhoora Kaam Koi Zindagi Ko Yad Aa Jaye,

Mere Sahir Se Kaho Phir Se Chala Aaye,

K Us K Lout Aane Se Humari Doobti
Nabzoo Ko,

Phir Se Sans Aa Jaye,

Agar Sehra Se Guzro To

Mere Sahir Se Keh Dena,

Agar Jangle Se Guzro To

Mery Jugno Se Keh Dena,

Tumhari Be Sabab Doori

Mujhe Aksar Rulati Hai,

Meri Shamain Andheri Hain,

Meri Ratain Bhi Teri Hain,

Mere Sab Taaq Khali Hain,

Meri Aankhain Sawali Hain,

Mere Jugno Se Keh Dena

Mohabbat Aaj Tak Chup Hai,

K Is K Hath Mein Us Ne Jo Dehka Dagh Rakha Tha,

Wo Ab Tak Bat Karta Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Mere Jazbon Ne Rahon Mein,

Mohrain Rook Rakhi Hain,

Inhain Izn-E-Safar De Do,

Inhain Dil Se Guzarne Do,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Meri Aankhon Ko Qum Keh Do,

Ye Umron Se Youn Hi Bejan Hain,

Khawabon K Madfan Mein,

Inhain Phir Se Jila De Do,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Ghamon Ne Raag Charha Hai,

Aziyat Raqs Karti Hai,

Meri Tanhai Ka Charcha

Daron-E-Zaat Phaila Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena

Faqat Us Ki Kami Ne,

Zindagi Mein Sog Rakha Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Kion Jungle Mein Bhatakta Hai,

Kion Khud Ko Rok Rakha Hai,

Tumhari Be Sabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai,

Agar Jungle Se Guzro To,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Agar Sehra Se Guzro To,

Mere Sahir Se Keh Dena,
Mere Sahir Se Keh Dena...........!'

Apne Saye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Kar Rona

Poetess Parven Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Apne Saye Se Bhi Ashkon Ko Chupa Kar Rona,

Jab Bhi Rona Ho To Charaghon Ko Bhuja Kar Rona,

Log Parh Lete Hain Chehre Pe Likhi Sab Batain,

Bara Mushkil Hai Logon Se Chupa Kar Rona,

Hath Bhi To Wo Shakhs Mila Kar Na
Gaya,

Jis Ko Chaha Tha Seene Se Laga Kar
Rona,

Yad Aata Hai To Tanhai Mein Ro Deti
Hon,

Apni Ye Aadat Nahi Logon Ko Dekha Kar Rona,

Aik Aadat Nahi Aaj Tak Badli Meri,

Us Ki Tasveer Ko Seene Se Laga Kar
Sona...................!!!!

Wo Ojhal Meri Nigahon Se Kahan Rehta Hai

Poet Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Wo Ojhal Meri Nigahon Se Kahan Rehta Hai,

Wo Ashk Ban Kar Ankhon Se Rawan
Rehta Hai,

Kisi Lamhe Tanha Nai Hone Deti Uski Yadain,

Mere Aangan Main Mele Ka Samaa Rehta Hai,

Har Ghari Dil Daricha Khula Rakhte Hain,

Har Ghari Uske Aane Ka Gumaan Rehta Hai,

Log Kehte Hain K Zakham Bhar Jate Hain Aakhir,

Zakham To Bhar Jate Hain Par Nishan Rehta Hai,

Wo Mile To Sirf Itna Bata Dena Us
Ko...................!