Showing posts with label Habib Jalib. Show all posts
Showing posts with label Habib Jalib. Show all posts

Sunday 15 March 2015

Agar Daman Nahi Un Ka Moyasar Kisi Deewar Hi Se Lag K

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Agar Daman Nahi Un Ka Moyasar,

Kisi Deewar Hi Se Lag K Ro Lein,

Mile Rone Se Fursat To Kisi Shab,

Sitaron Ki Haseen Chaon Mein So Lein,

Nighaon Ki Zaban Ko Koi Jo Samjhe,

Sar Mehfil Kabhi Hum Lab Na Kholen,

Bahut Aasan Ho Jaye Gi Manzil,

Chalo Hum Hi Kisi K Sath Ho Lein,

Koi Jo Aa Base Dil Mein To JALIB,

Kabhi Is Ghar K Darwaze Na Kholein...............!

Page 39

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Saturday 14 March 2015

Chor Tha Zakhmon Se Dil Zakhmi Jigar Bhi Ho Gia Us Ko Rote Thay K Soona Ye Nagar Bhi Gia

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Chor Tha Zakhmon Se Dil Zakhmi Jigar Bhi Ho Gia

Us Ko Rote Thay K Soona Ye Nagar Bhi Gia

Log Esi Soorat Pareshan Hain Jidhar Bhi Dekhiye,

Aur Wo Kehte Hain Koo-E-Gham To Sar Bhi Ho Gia,

Baam-O-Dar Par Hai Musalat Aaj Bhi Sham-E-Alam,

Youn To In Galion Se Khursheed-E-Sahar Bhi Ho Gia,

Us Sitamgar Ki Haqeeqat Hum Pe Zahir Ho Gai,

Khatam Khush Fehmi Ki Manzil Ka Safar Bhi Ho Gia...........!

Page 255

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Wednesday 11 March 2015

Choor Tha Zakhmon Se Dil Zakhmi, Jigar Bhi Ho Gia Us Ko Rote Thay K Soona Ye Nagar

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Chor Tha Zakhmon Se Dil Zakhmi Jigar Bhi Ho Gia,

Us Ko Rote Thay K Soona Ye Nagar Bhi Gia,

Log Esi Soorat Pareshan Hain Jidhar Bhi Dekhiye,

Aur Wo Kehte Hain Koo-E-Gham To Sar Bhi Ho Gia,

Baam-O-Dar Par Hai Musalat Aaj Bhi Sham-E-Alam,

Youn To In Galion Se Khursheed-E-Sahar Bhi Ho Gia,

Us Sitamgar Ki Haqeeqat Hum Pe Zahir Ho Gai,

Khatam Khush Fehmi Ki Manzil Ka Safar Bhi Ho Gia...........!

Page 255

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Sunday 22 February 2015

Jagne Walo Jago Magar Khamosh Raho Kal Kia Ho Ga Kis Ko Khabar

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Jagne Walo Jago Magar Khamosh Raho,

Kal Kia Ho Ga Kis Ko Khabar Khamosh Raho,

Kis Ne Suni Hai Is Nagri Mein Dil Ki Bat,

Kis Pe Howa Aahon Ka Asar Khamosh Raho,

Rat K Bad Ek Rat Nai Aa Jaye Gi,

Is Ghar Mein Ho Gi Na Sahar Khamosh Raho,

Zulam K Pehre Khof K Saye Sar Pe Rahein,

Ho Jaye Gi Umar Basar Khosh Raho............!

Page 457

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Paise Ki Ye Dunia Hai Pyare Gaate Hain Usi K Gunn Sare

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Paise Ki Ye Dunia Hai Pyare,

Gaate Hain Esi K Gun Sare,

Hai Tamana Is Jahan Mein,

Koi Dil Se Humain Pukare,

Ye Jang Ye Fasad Hai,

Paise K Waste,

Ye Zinda Murda Bad Hai,

Paise K Waste,

Subha Hai Fareib Ki,

Munafqat Ki Sham,

Lab Pe Dosti Ka Naam.........!

Page 468

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Ye Bhi Waqt Guzar Jaye Ga Rat Agar Gham Ki Aai Hai

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Ye Bhi Waqt Guzar Jaye Ga,

Rat Agar Gham Ki Aai Hai,

Din Khushion Ka Bhi Aaye Ga,

Ye Bhi Waqt Guzar Jaye Ga,

Gham Se Mat Ghabrana Sathi,

Himat Haar Na Jana Sathi,

Mile Gi Manzal Katte Gi Mushkil,

Har Dukhiara Sukh Paye Ga,

Ye Bhi Waqt Guzar Jaye Ga,

Jan Hai Kia Shaye Aan K Aage,

Insaan Kia Jo Gham Se Bhage,

Har Dukh Seh Ja Dil Ki Keh Ja,

Geet Ye Jag Tere Gaaye Ga,

Ye Bhi Waqt Guzar Jaye Ga,

Aankh Khuli To Hum Thay Qafas Mein,

Ab Bhi Hai Sab Kuch Ghair K Bas Mein,

Sog Hai Ghar Ghar Guband-E-Be Dar,

Aur Alam Kia Dikhlaye Ga,

Ye Bhi Waqt Guzar Jaye Ga,

Khul Jain Gay Dar Zindaan K,

Jag Uthein Gay Bhag Insaan K,

Deeda-E-Purnam Pyar Ka Parcham,

Charon Janib Lehraye Ga,

Ye Bhi Waqt Guzar Ga........
..!

Page 339

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Kitna Sakoot Hai Rasan_O_Daar Ki Taraf Aata Hai Kon Jurat_E_Izhar Ki

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Kitna Sakoot Hai Rasan-O-Daar Ki Taraf,

Aata Hai Kon Jurat-E-Izhar Ki Taraf,

Dasht-E-Wafa Mein Aabla Pa Koi Ab Nahi,

Sab Ja Rahe Hain Saya-E-Deewar Ki Taraf,

Qisar-E-Shahi Se Kehte Hain Nikle Ga Mehr-E-Nao,

Ehl-E-Khard Hain Is Liye Sarkar Ki Taraf,

Watnam-O-Koria Se Adove Ko Nikal Len,

Aain Gay Lout Kar Lab-O-Rukhsar Ki Taraf,

Baqi Jahan Mein Rah Gia GHALIB Ka Name Hi,

Har Chand Ek Hajoom Tha Aghiar Ki Taraf....................!

Page 366

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Shehr Se Basti Se Weerane Se Jee Ghabra Gia

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Shehr Se Basti Se Weerane Se Jee Ghabra Gia,

Aye Janoon Tere Har Afsane Se Jee Ghabra Gia,

Ek Mukamal Khamshi Ek Bekraan Gehra Sakoot,

Aaj Sehra Ka Bhi Deewane Se Jee Ghabra Gia,

Phir Gaye Jalib Nigahon Mein Kai Ujre Chaman,

Mosam-E-Gul Ka Khayal Aane Se Jee Ghabra Gia...........!

Page 396

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Bahut Roshan Hai Sham E Gham Humari Kisi Ki Yad Hai

Poet Habeeb Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Bahut Roshan Hai Sham-E-Gham Humari,

Kisi Ki Yad Hai Humdam Humari,

Ghalat Hai La Ta'aluq Hain Chaman Se,

Tumhare Phool Aur Shabnam Humari,

Ye Palkon Par Naye Aansoo Nahi Hain,

Azal Se Aankh Hai Purnam Humari,

Har Ek Lab Par Tabasum Dekhne Ki,

Tamana Kab Hoi Hai Kam Humari,

Kahi Hai Hum Ne Khud Se Bhi Bahut Kam,

Na Poocho Dastan-E-Gham Humari................!

Page 283

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Kaisi Hawa Gulshan Mein Chali Murjhai Aik Aik Kali

Poet Habib Jaleb

Type By
    *.___HIJAR___.*

Kaisi Hawa Gulshan Mein Chali,

Murjhai Aik Aik Kali,

Dil Ki Kahani Kia Kahe,

Apni Aag Hi Shama Jali,

Us Latt Ka Uljhao Kia,

Aik Bala To Sar Se Talli,

Dunia Ne Wo Dard Diye,

Bhool Gaye Hum Un Ki Gali,

Bol K Jalib Qadar Na Kho,

Is Mahol Mein Chup Hi Bhali.............!

Page 94

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Wednesday 18 February 2015

Kaisi Hawa Gulshan Mein Chali Murjhai Aik Aik Kali

Poet Habib Jaleb

Type By
    *.___HIJAR___.*

Kaisi Hawa Gulshan Mein Chali,

Murjhai Aik Aik Kali,

Dil Ki Kahani Kia Kahe,

Apni Aag Hi Shama Jali,

Us Latt Ka Uljhao Kia,

Aik Bala To Sar Se Talli,

Dunia Ne Wo Dard Diye,

Bhool Gaye Hum Un Ki Gali,

Bol K Jalib Qadar Na Kho,

Is Mahol Mein Chup Hi Bhali.............!

Page 94

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Na Wo Ada-E-Takalum Na Ehtiat-E-Zabaan

Poet Habib Jalib

Type By
    *.___HIJAR___.*

Na Wo Ada-E-Takalum Na Ehtiat-E-Zabaan,

Magar Ye Zid K Humain Ehl-E-Lakhnao Kahiye,

Na Dil Mein Raqs-E-Ghazal Hai Na Dharkano K Geet,

Ujar Gia Hai Jise Shehr-E-Aarzo Kahiye,

Kahan Ab Un Ko Pukarein Kahan Gaye Wo Log,

Jinhain Fasoon-E-Tarab Moj-E-Rang-O-Boo Kahiye,

Ghazal Ki Bat Jo Karta Hai Kam Nazar-O-Naqaad,

Usay Bhi Shaik Ka Andaz-E-Guftagoo Kahiye,

Adab Ka Aap Hi Tanha Na Sath Dein JALIB,

Kahe Jo Aap Ko TUM Aap Us Ko Too Kahiye...............!

Page 95

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Dil Ki Bat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hain

Poet Habib Jaleb

Type By
    *.___HIJAR___.*

Dil Ki Bat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hain,

Hum Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bhi Rehte Hain,

Beet Gia Sawan Ka Maheena Mosam Ne Nazrein Badli,

Lekin In Pyasi Aankhon Se Ab Tak Aanso Behte Hain,

Aik Humain Aawara Kehna Koi Bara Ilzam Nahi,

Dunia Wale Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehte Hain,

Jin Ki Khatir Shehr Bhi Chora Jin K Liye Badnam Howay,

Aaj Wohi Hum Se Begane Begane Se Rehte Hain,

Wo Jo Abhi Ir Rah Guzar Se Chaak Gareban Guzra Tha,

Is Aawara Deewane Ko Jaleb Jalab Kehte Hain..........!

Page 23

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002