Showing posts with label Hasrat Mohani. Show all posts
Showing posts with label Hasrat Mohani. Show all posts

Sunday 26 July 2015

Wafa Tujh Se Aye Bewafa Chahta Hon Meri Sadgi Dekh KIA Chahta Hon

Poet Hasrat Mohani

Type By
        *_FAROOQI.54_*

Wafa Tujh Se Ay Be Wafa Chahta Hon,

Meri Sadgi Dekh Kia Chahta Hon,

Teri Aarzoo Hai Agar Juram Koi,

To Is Juram Ki Main Saza Chahta Hoon,

Wo Mujh Ko Bura Jante Hain To Janein,

Main Is Par Bhi Un Ka Bhala Chahta Hoon,

Tujhe Kheel-E-Khobaan Se Ay Jaan-E-Khoobi,

Juda Janta Manta Chahta Hoon,

Main Beemar-E-Gham Hoon Madawa-E-Gham Ko,

Tere Dar Ki Khak-E-Shafa Chahta Hoon,

Naseehat Garoon Ki Malaamat Se Be Gham,

Main Is Shokh Ko Barmla Chahta Hoon,

Usay Be Bataye Wo Khud Jante Hain,

Jo Main Apne Haq Mein Dua Chahta Hoon,

Tere Zullf-O-Rukh K Tasvur Ki Na'amat,

Shab-O-Roz Subha-O-Masa Chahta Hoon,

Main Is Tarah Zullf-E-Mashkeen Ko HASRAT,

Piye Ghaarat-E-Jaan Dota Chahta Hoon.................*
.
Kuliat-E-Hasrat

Page 318

Apne Aape Mein Nahi Shoq K Mare Gaisoo

Poet Hasrat Mohani

Type By
       *_FAROOQI.54_*

Apne Aape Mein Nahi Shoq K Mare Gaisoo,

Phele Jate Hain Rukh-E-Yaar Pe Sare Gaisoo,

Noor-E-Emaan K Muaawan Hain Tumhare Aarz,

Kufar Ushaaq K Hami Hain Tumhare Gaisoo,

Kaam Aaye Gi Wo Kaya Un Ki Pareshani Mein ?

Chasham-E-Beemar K Dhoondein Na Sahaare Gaisoo,

Maayel-E-Shoq Mujhe Pa K Wo Bole Hans Kar,

Dekho Tum Ne Jo Chhooye Aaj Hamare Gaisoo,

Zulmat-E-Zullf Se Noor-E-Rukh-E-Khobaan Na Daba,

Jeet Aarz Ki Hui Shart Mein Hare Gaisoo,

Falak-E-Hussan Pe Hai Naaz K Taaroon Ki Namood,

Ya Teh Zeenat Afshaan Hain Tumhare Gaisoo,

Faatiha Parrhne Chale Marqad-E-HASRAT Pe Jo Wo,

Pehale Kis Naaz Se Ro Ro K Sanwaare .......*
.
Book Kulyaat-E-Hasrat Mohani Page Number 269