Showing posts with label Sahir Ludhianvi. Show all posts
Showing posts with label Sahir Ludhianvi. Show all posts

Friday, 28 February 2014

Main Pal Do Pal Ka Shair Hon

Pal Do Pal Meri Kahani Hai

Poet Sahir Ludhianvi

Type By
*.___HIJAR___.*

Main Pal Do Pal Ka Shair Hon

Pal Do Pal Meri Kahani Hai,

Pal Do Pal Meri Hasti Hai Pal Do Pal Meri Jawani Hai,

Mujh Se Pehle Kitne Shair Aaye Aur Aa Kar Chale Gaye,

Kuch Aahein Bhar Kar Lout Gaye,

Kuch Naghme Ga Kar Chale Gaye,

Wo Bhi Ek Pal Ka Qisa Thay,

Main Bhi Ek Pal Ka Qissa Hon,

Kal Tum Se Juda Ho Jaon Ga,

Go Aaj Tumhara Hissa Hon,

Pal Do Pal Mein Kuch Paya Itni Hi Sa'adat Kafi Hai,

Pal Do Pal Tum Ne Mujh Suna Itni Hi Anayat Kafi Hai,

Kal Aur Aain Gay Naghmon Ki,

Khilti Kalian Chunne Wale,

Mujh Se Behtar Kehne Wale,

Tum Se Behtar Sunne Wale,

Har Nasal Ek Fasal Hai Dharti Ki,

Aaj Ugti Hai Kal Katti Hai,

Jeewan Wo Mehngi Madar Hai,

Jo Qatra Qatra Batti Hai,

Sagar Se Ubhri Lehar Hon Main,

Sagar Mein Phir Kho Jaon Ga,

Matti Ki Rooh Ka Sapna Hon,

Matti Mein Phir So Jaon Ga,

Kal Koi Mujh Ko Yad Kare Kion Mujh Ko Yad Kare,

Masroof Zamana Mere Liye,

Kion Waqt Apna Barbad Kare..................!

Page 246 To 247

Mazeed Poetry Rcv Karne K Type Kijiye

Follow *.___HIJAR___.*
Send to 8002

Tuesday, 18 February 2014

Tor Lein Gay Har Ek Shaye Se Rishta Tor Dene Ki Nobat To Aaye

Poet Sahar Ludhianvi

Type By
*.___HIJAR___.*

Tor Lein Gay Har Ek Shaye Se Rishta,

Tor Dene Ki Nobat To Aaye,

Hum QaYamat K Khud Muntazir Hai,

Par Kisi Din QaYamat To Aaye,

Hum Bhi Saqrat Hain Ehd-E-Nao K,

Tishna Lab Hi Na Mar Jain Yaro,

Zehr Ho Ya Maye Aatishein Ho,

Koi Jaam-E-Shahadat To Aaye,

Aik Tehzeeb Hai Dosti Ki,

Aik MaYar Hai Dushmani Ka,

Doston Ne Murawat Na Seekhi,

Dushmano Ko Adawat To Aaye,

Rimz Raste Mein Aankhain Bichain,

Jo Kahe Bin Sune Maan Jain,

Na Seh Neik Tuniat Kisi Shab,

Soo-E-Koo-E-Mulamat To Aaye,

Ilm-O-Tehzeeb Tareekh-O-Mantaq,

Log Sochein Gay In Maslon Par,

Zindagi K Mushaqat Kadde Mein,

Koi Ehd-E-Faraghat To Aaye,

Kanp Uthein Qasar-E-Shahi K Gunbad,

Thar Tharaye Zameen Ma'abdon Ki,

Koocha-E-Gardon Ki Wehshat,

To Jage Ghamzadon Ko Baghawat To Aaye.........!

Page 245,46

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002

Wednesday, 12 February 2014

Har Tarha K Jazbat Ka Ilan Hain Aankhain

Poet Sahar Ludhianvi

Type By
*.___HIJAR___.*

Har Tarha K Jazbat Ka Ilan Hain Aankhein,

Shabnam Kabhi Shola Kabhi Toofan Hain Aankhein,

Aankhon Se Bari Koi Tarazo Nahi Hoti,

Tulta Hai Bashar Jis Mein Wo Meezan Hain Aankhein,

Aankhein Hi Milati Hain Zamane Mein Dilon Ko,

Anjan Hain Hum Tum Agar Anjan Hain Aankhain,

Lab Kuch Bhi Kahein Is Se Haqeeqat Nahi Khulti,

Insan K Sach Jhoot Ki Pehchan Hain Aankhain,

Aankhain Na Jhukein Teri Kisi Ghair K Aage,

Dunia Mein Bari Cheez Meri Jan Hain Aankhain................!

Page 382

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002

Tuesday, 11 February 2014

Main Ye Kehti Hon K Kis Roz Hazoor Aain Gay

Dil Ye Kehta Hai K Wo Ek Din Zaroor Aain Gay

Poet Sahar Ludhianvi

Type By
*.___HIJAR___.*

Main Ye Kehti Hon K Kis Roz Hazoor Aain Gay,

Dil Ye Kehta Hai K Wo Ek Din Zaroor Aain Gay,

Intazar Aur Abhi,

Aur Abhi,

Aur Abhi,

Sans Ki Lali Sulag Sulag Kar Ban Gai Kali Dhool,

Aaye Na Ba Lam Be Dardi Mein Chunti Rah Gai Phool,

Intazar Aur Abhi Aur Abhi Aur Abhi,

Reen Gai Bojhal Akhein Mein Chubne La Gay Tare,

Deis Mein Main Pardeisan Ho Gai Jab Se PiYa Sudhare,

Intazar Aur Abhi,

Aur Abhi Aur Abhi,

Bhoor Bai Par Koi Na Aaya Sooni Seij Sajane,

Tare Doobe Deepak Bujh Gaye Raakh Howay Parwane,

Intazar Aur Abhi,
Aur Abhi,
Aur Abhi...............!

Page 402

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002

Aaj Rona Para To Samjhe

Hansne Ka Mol Kia Hai Apna

Sapna Khona Para To Samjhe

Poet Sahar Ludhianvi

Type By
*.___HIJAR___.*

Aaj Rona Para To Samjhe,

Hansne Ka Mol Kia Hai Apna,

Sapna Khona Para To Samjhe,

Khawabon Ki Haqeeqat Kia Thi,

Armano Ki Qeemat Kia Thi,

Apno Ki Mohabbat Kia Thi,

Ghair Hona Para To Samjhe,

Sukh Milta Hai Kis Mushkil Se,

Kia Kehti Hai Dunia Dil Se,

Is Rang Bhari Mehfil Se,

Door Hona Para To Samjhe,

Nikle Thay Jinhein Apnane,

Wo Log Thay Sab Begane,

Is Bat Ko Hum Deewane,

Chain Khona Para To Samjhe,

Aaj Rona Para To Samjhe,

Hansne Ka Mol Kia Hai Apna,

Sapna Khona Para To Samjhe..................!

Page 303,304

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002