Poet Mohsin Naqvi
Ashkh Apna K Tumhara Nahi Dekha Jata,
Abar Ki Zad Mein Sitara Nahi Dekha Jata,
Apni Shah Rag Ka Lahoo Tan Mein Rawan Hai Ab Tak,
Zair-E-Khanjar Koi Pyara Nahi Dekha Jata,
Moj Dar Moj Ulajhne Ki Hawas Be Mani,
Doobna Ho To Kinara Nahi Dekha Jata,
Tere Chehre Ki Kashish Thi K Palat Kar Dekha,
Warna Sooraj To Dobara Nahi Dekha Jata,
Aag Ki Zid Pe Na Ja Phir Se Bharrak Sakti Hai,
Raakh Ki Teh Mein Sehrah Nahi Dekha Jata,
Zakhm Aankhon K Bhi Sehte Thay Kabhi Dil Wale,
Ab To Aabroo Ka Ishara Nahi Dekha Jata,
Kia Qayamat Hai K Dil Jis Ka Nagar Hai,
MOHSIN
Dil Pe Us Ka Bhi Azara Nahi Dekha Jata...................!
Wednesday, 27 April 2016
Ashkh Apna K Tumhara Nahi Dekha Jata
Monday, 3 August 2015
Mujhe Aik Gali Mein Para Howa Kisi Bad Naseeb Ka Khat Mila Kahein Khoon-E-Dil Se Likha Howa
Poet Mohsin Naqvi
Type By
*.__HIJJAR__.*
Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha,
Sar-e-Bazm Rat Ye Kia Howa,
Meri Aankh Kaise Chalak Gai,
Mujhe Ye Ranj Hi Ye Bura Howa,
Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jan Mila,
Wo Pukhta Kar K Jafa Mila,
Na Kisi Ki Zarb Ghalat Pari,
Na Kisi Ka Teer Khata Howa,
Mujhe Aap Kion Na Samjh Sake,
Ye Khud Apne Dil Hi Se Poochiye,
Meri Dastan-e-Hayat Ka To,
Wo Warq Warq Hai Khula Howa,
Mujhe Aik Gali Mein Para Howa,
Kis Bad Naseeb Ka Khat Mila,
Kahein Khoon-e-Dil Se Likha Howa,
Kahein Aanso'on Se Mita Howa,
Mujhe Humsafar Bhi Mila To,
Shikasta Haal Meri Tarha,
Koi Manzalon Ka Thaka Howa
Kahein Raste Mein Loota Howa,
Humain Apne Ghar Se Chale Howe Sar-e-Umar Guzar Gai,
Na Kisi Ki Justojo Ka Sila Mila,
Na Safar Ka Hai Haq Ada Howa................!
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
send 8002
Wednesday, 11 March 2015
Nai Tarha Se Nibhane Se Ki Dil Ne Thaani Hai Wagarna Us Se Mohabbat Purani Hai
Poet Mohsin Naqvi
Type By
*.___HIJAR___.*
Nahi Tarha Se Nibhane Ki Dil Ne Thaani Hai,
Wargar Na Us Se Mohabbat Purani Hai,
Khuda Wo Din Na Dekhaye K Main Kisi Se Suno,
K Too Ne Bhi Gham-E-Dunia Se Haar Maani Hai,
Zameen Pe Rah K Sitare Shikar Karte Hain,
Mizaj Ehl-E-Mohabbat Ka Aasmani Hai,
Humain Aziz Ho Kion Kar Na Sham-E-Gham K Yehi,
Bichrne Wale Teri Aakhri Nishani Hai,
Utar Parre Ho To Daria Se Poochna Kaisa,
K Sahilon Se Udhar Kitna Teiz Pani Hai,
Bahut Dino Mein Teri Yad Urh Kar Utri,
Ye Sham Kitni Sunheri Hai Kia Suhani Hai,
Main Kitni Deir Usay Sochta Rahon,
MOHSIN
K Jaise Us Ka Badan Bhi Koi Kahani Hai...............!
Page 162 (R)
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
send 8002
Nafs Ko Dard Se Hasil Faragh Hona Tha Ubalti Maye Thi Shikasta
Poet Mohsin Naqvi
Type By
*.___HIJAR___.*
Nafas Ko Dard Se Hasil Faragh Hona Tha,
Ubalti Maye Thi Shikasta Ayagh Hona Tha,
Jahan Jahan Se Guzarna Tha Teri Khushbo Ko,
Ravish Ravish Ko Wahan Bagh Bagh Hona Tha,
Mile Thay Sham-E-Safar Mein To Phir Ba Waqt-E-Firaq,
Tujhe Hawa Mujhe Aakhir Charagh Hona Tha,
Wahan To Rasam Thi Khanjar Ko Saf Rakhne Ki,
Meri Qabaa Ko Wahan Dagh Dagh Hona Tha,
Wo Ashk Sham-E-Ghareeban Mein Bujh Gia Jis Ko,
Khat-E-Musafat-E-Shab Ka Suragh Hona Tha,
Tumhari Soch Bhi Aakhir Behak Gai MOHSIN,
Tumhain To Shehr Mein Roshan Demagh Hona Tha.............!
Page 148 (R)
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
send 8002
Thursday, 13 February 2014
Hum Silsile Jo Wafa K Rakhte Hain To Hosle Bhi Intaha K Rakhte Hain
Type By
*.___HIJAR___.*
Hum Silsile Jo Wafa K Rakhte Hain,
To Hosle Bhi Intaha K Rakhte Hain,
Hum Kabhi Bad Dua Nahi Dete,
Hum Saleeqe Dua K Rakhte Hain,
Un K Daman Bhi Jalte Dekhe Hain,
Wo Jo Daman Bacha K Rakhte Hain,
Hum Nahi Hain Shikast K Qail,
Hum Safeene Jala K Rakhte Hain,
Jis Ko Jana Hai Wo Chala Jaye,
Hum Diye Sab Bujha K Rakhte Hain,
Hum Bhi Kitne Ajeeb Hain,
MOHSIN
Dard Ko Dil Main Chupa K Rakhte Hain.......................!
Mazeed Poetry K Liye
Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002
Ye Hum Ne Dekha Tha Khawab Pyare Nadi Kinare
Type By
*.___HIJAR___.*
Ye Hum Ne Dekha Tha Khawab Pyare Nadi Kinare,
Zameen Pe Utre Thay 2 Sitare Nadi Kinare,
Na Jane Guzre Hain Kitne Sawan Is Aarzo Mein,
Koi To Humain Pukare Nadi Kinare,
Kabhi Idhar Se Guzar K Dekho To Yad Aain,
Wo Qol Apne Wachan Tumhare Nadi Kinare,
Tum Ne Dekha To Raye Gaan Raye Gaan Lage Hain,
Sharab Shabnam Shafaq
Sharare Nadi Kinare,
Tum Ne Dekha To Moj Dar Moj But Gaye Hain,
Ye Shart Hum Is Tarha Se Haare Nadi Kinare,
Ye Ghar Ki Tanhaian To MOHSIN Sada Rahein Gi,
Chalo Sahar Ki Hawa Pukare Nadi Kinare..............!
Mazeed Poetry K Liye
Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002
Har Waqt Ka Hansna Tujhe Barbad Na Kar De Tanhai K Lamhon Mein Kabhi Ro Bhi Lia Kar
Type By
*.___HIJAR___.*
Ujre Howay Logon Se Gurezan Na Howa Kar,
Halaat Ki Qabron K Ye Qatbe Bhi Parha Kar,
Wo Aaj Bhi Sadion Ki Musafat Pe Khara Hai,
Dhoondha Tha Jise Waqt Ki Deewar Gira Kar,
Har Waqt Ka Hansna Tujhe Barbad Na Kar De,
Tanhai K Lamhon Mein Kabhi Ro Bhi Lia Kar,
Aye Dil Tujhe Dushman Ki Pehchan Kahan Hai,
To Halka-E-Yaran Mein Bhi Mohtat Raha Kar,
Is Shab K Muqaddar Mein Sehar Hi Nahi,
MOHSIN
Dekha Hai Kai Bar Charaghon Ko Bujha kar............!
Mazeed Poetry K Liye
Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002
Tuesday, 12 November 2013
Khatam Jab Qurbaton Ka Mela Hi
Poet Mohsin Naqvi
Type By
*.___HIJAR___.*
Khatam Jab Qurbaton Ka Mela Ho,
Kash Wo Shakhs Bhi Akela Ho,
Us Ko Lamhon Ka Taaj Mat Pehna,
Jis Ne Sadion Ka Karb Jhaila Ho,
Us Ko Samjho Suhag Sanso Ka,
Umar Bhar Mout Se Jo Khela Ho,
Be Tere Shehr Youn Laga Jaise,
Banjh Banjar Ujar Baila Ho,
Too Bhi Kache Ghare Pe Tair Jahan,
Dhun Mein Seil Fana Ka Reila Ho,
Aasmaan Waqt Ka Guroo MOHSIN,
Chand Jaise Udas Cheila Ho..................!
Palkon Se Chun
Poet Mohsin Naqvi
Type By
*.___HIJAR___.*
Palkon Se Chun,!
Khawabon Ki Dhun,!
Jhoonke Pehn,!
Khushbo Ko Sun,!!!
Nuqte Mein Chup,!
Apna Ye Gun,!!!
Arz-O-Samaa,!
Mohtaj-E-Kun,!!
Owhaam Ki,!
Roi Na Dhun,
Aiqaan Se,!
Poshak Bun,!!
Mohsin Pe Kab,?
Barse Ga Hun..........!!!