Showing posts with label Noshi Gilani. Show all posts
Showing posts with label Noshi Gilani. Show all posts

Tuesday 4 August 2015

Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De Mere Bazoo Meri Aankhein

Poettess Noshi Gilani

Type By

*_FAROOQI.54_*

Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De,

Mere Baazoo,
Meri Aankhein
Mera Chehra La De,

Aisa Darya Jo Kisi Aur Samndar Mein Gire,

Us Se Behtar Hai Keh Mujh Ko Mera Sehra La De,

Kuch Nahi Chaaiye Tujh Se Ay Meri Umar-E-Rawaan,

Mera Bechpan Mere Jugnoo Meri Gurriya La De,

Naya Muasam Meri Beenaai Ko Tasleem Nahi,

Meri Aankhon Ko Wohi Khawaab Purana La De,

Jis Ki Aankhein Mujhe Andar Se Bhi Parrh Sakti Hon,

Koi Chehra To Mere Shehar Mein Aisa La De,

Kasti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hai Kai Barsoon Se,

Ay KHUDA Ab To Dubo De Ya Kinara La De.....................*
.
Page Num 48

Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De Mere Bazoo Meri Aankhein

Poettess Noshi Gilani

Type By

*_FAROOQI.54_*

Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De,

Mere Baazoo,
Meri Aankhein
Mera Chehra La De,

Aisa Darya Jo Kisi Aur Samndar Mein Gire,

Us Se Behtar Hai Keh Mujh Ko Mera Sehra La De,

Kuch Nahi Chaaiye Tujh Se Ay Meri Umar-E-Rawaan,

Mera Bechpan Mere Jugnoo Meri Gurriya La De,

Naya Muasam Meri Beenaai Ko Tasleem Nahi,

Meri Aankhon Ko Wohi Khawaab Purana La De,

Jis Ki Aankhein Mujhe Andar Se Bhi Parrh Sakti Hon,

Koi Chehra To Mere Shehar Mein Aisa La De,

Kasti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hai Kai Barsoon Se,

Ay KHUDA Ab To Dubo De Ya Kinara La De.....................*
.
Page Num 48

Monday 3 August 2015

Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishein Bhi Shumar Karna

Poettes Noshi Gilani

Type

            By

*_FAROOQI.54_*

Mohabbtein Jab Shumaar Karna,
To Shaazshein Bhi Shumaar Karna,

Jo Mere Hise Mein Aai Hain,
Wo Azeeyetein Bhi Shumaar Karna,

Jalaye Rakhon Gi Subah Tak Main Tumhare Raston Mein Apni Aankhein,

Magar Kahein Zabbt Toot Jaye To Baarishein Bhi Shumaar Karna,

Jo Huraf Loh-E-Wafa Pe Likhe Huye Hain Un Ko Bhi Dekh Lena,

Jo Raaegaan Ho Gai Wo Sari Ibaartein Bhi Shumaar Karna,

Ye Sardiyon Ka Udas Muasam Keh Dharraknein Baraf Ho Gai Hain,

Jab In Ki Yakh Bastgi Parkhna Tamaaztein Bhi Shumaar Karna,

Tum Apni Majbooriyon K Qise Zaroor Likhna Wazaahiton Se,

Jo Meri Aankhon Mein Jal Bujhi Hai Wo Khawahishein Bhi Shumaar Karna..............*
.
Page Num 239

Tittian Jugnoo Sabhi Hon Gay Magar Dekhe Ga Kon?

Poettes Noshi Gilani

Type By
*_FAROOQI.54_*

Tatilyaan Jugnu Sabhi Ho Ge,
Magar Dekhe Ga Kon ?

Hum Saja Bhi Lein Agar Deewar-O-Dar Dekhe Ga Kon ?

Ab To Hum Hain Jagne Wale Teri Khatir Yahan,

Hum Na Hon Ge To Teri Sham-O-Sehar Dekhe Ga Kon ?

Jis Ki Khatir Hum Sukhan Sachaai K Raste Chale,

Jab Wohi Us Ko Na Dekhe,
To Hunar Dekhe Ga Kon?

Sub Ne Apni Apni Aankhon Par Naqaabein Daal Li,

Jo Likha Hai Shehar Ki Deewar Par Dekhe Ga Kon ?

Be Sitaarah Zindagi K Ghar Mein Ab Bhi Raat Ko,

Ik Kiran Tere Khayaalon Ki,
Magar Dekhe Ga Kon....................?
.
Page Number 238

Tuesday 12 May 2015

Hijar Ki Shab Mein Qaid Kare Ya Subha Visal Mein Rakhe

Poetess Noshi Gilani

Type By
  *.___HIJAR___.*

Hijar Ki Shab Mein Qaid Kare Ya Subha Visal Mein Rakhe,

Acha Mola ! Teri Marzi Too Jis Haal Mein Rakhe,

Khail Ye Kaisa Khail Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat,

Ek Pal Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe,

Main Ne Sari Khushboain Aanchal Se Bandh K Rakhein,

Shayad In Ka Zikar To Apne Kisi Sawaal Mein Rakhe,

Kisi Se Tere Aane Ki Sargoshi Ko,

Sunte Hi Main Ne Kitne Phool Chune,

Aur Apni Shaal Mein Rakhe,

Mushkil Ban Kar Toot Pari Hai Dil Par,

Ye Tanhai Ab Jane Ye Khawab Tak,

Is Ko Apne Jaal Mein Rakhe..........!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Tum Ne To Keh Dia K Mohabbat Nahi Mili

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Tum Ne To Keh Dia K Mohabbat Nahi Mili,

Mujh Ko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili,

Neendon K Deis Jate Koi Khawab Dekhte,

Lekin Dia Jalane Se Fursat Nahi Mili,

Tujh Ko To Khair Shehr K Logon Ka Khof Tha,

Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili,

Phir Ikhtalaf-E-Raye Ki Sorat Nikal Pari,

Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili,

Be Zaar Youn Howe K Tere Ehd Mein Humain,

Sab Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahi Mili................!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Naat Likhne Ka Agar Mujh Ko Qareena Aa Jaye


Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

======
NAAT
======

Naat Likhne Ka Agar Mujh Ko Qareena Aa Jaye,

Jitna Dushwar Ho Jeena Mujhe Jeena Aa Jaye,

Us Safar Mein Kabhi Thakte Nahi Dil Aur Paon,

Jis Safar Mein Kahein Ahsas-E-Madeena Aa Jaye,

Doobne Walo Kabhi Dil Se Pukaro To Unhain,

Khud Bhanwar Le K Kinare Pe Safeena Aa Jaye,

Aisi Rehmat Ki Ghari Bhi Koi Aa Sakti Hai,

Main Madeene Mein Rahon Mujh Mein Madina Aa Jaye,

Mujh Gunah Gaar Bhikaran Ki Yehi Janat Hai,

Un (S.A.W.W) Ki Nisbat Ka Mere Hath Ka Khazeena Aa Jaye,

Ho To Sakta Hai Agar Aap (S.A.W.W) Karam Farma Dein,

Meri Aankhon Se Mere Dil Mein Madeena Aa Jaye......!

Book
Pehla Lafz Mohabbat Likha

Page 12

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Dil Ko Dard Zakhmon Ko Ghehraai De Gaya


Poet Ayaz Khan

Type By

  *.__Ayaz_Khan__.*

Dil Ko Dard Zakhmon Ko Ghehraai De Gaya,

Aik Be Wafa Mujh Ko Tanhaai De Gaya,

Jo Zakham Rah-E-Mohabbat Mein Dil Par Lage,

Zakham Judaai Ka Un Ko Binaai De Gaya,

Khona To Tha  Hi Us Ko Aik Na Aik Din Magar,

Jate Jate Wo Mujhe Ko Ruswaai De Gaya,

Duaain To Mangi Ke Dard-E-Dil Mein Shafa Ho,

Magar Wo Mujhe Zehir-E-Masihaai De Gaya,

Kis Qadar Naam Tha Ehl-E-Wafa Mein Mera,

Magar Wo Mujhe AYAZ, Naam Harjaai De Gaya.

Mazeed Poetry K Liye,

Follow khan61 send 8001

Band Kitabon Mein Urti Hoi Titlian Daal Den

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Band Kitabon Mein Urti Hoi Titlian Daal Den,

Kis Ne Rasmon Ki Jalti Hoi Aag Mein Larkian Daal Den,

Khof Kaisa Hai Ye Naam Us Ka Zer-E- Lab Bhi Nahi,

Jis Ne Hathon Mein Mere Kanch Ki Chorian Dal Den,

Hont Piyase Rahe Hosle Thak Gaye,

Umar Sehra Hoi Hum Ne Pani K Dhoke Mein,

Phir Reit Par Kashtian Dal Dein.............!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

Friday 1 May 2015

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai Ye Dil K Tere Bad Sambhalta Bhi Nahi Hai

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai,

Ye Dil K Tere Bad Sambhalta Bhi Nahi Hai,

Ye Shehr Kisi Aina Kirdar Badan Par,

Ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai,

Ek Umar Se Hum Is Ki Tamanna Mein Hain Bekhawab,

Wo Chand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai,

Phir Dil Mein Teri Yad K Manzar Hain Firozaan,

Aise Mein Koi Dekhne Wala Bhi Nahi Hai,

Is Umar K Sehra Mein Teri Yad Ka Badal,

Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai,

Humra Bhi khawahish Se Nahi Rehta Humare,

Aur Baam-e-Rafaqat Se Utarta Bhi Nahi Hai..........!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana, Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana,

Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana,

Main Likh Rahi Hon Kahani Teri Rafaqat Ki,

Jo Ho Sake To Koi Harf Motabar Lana,

Yehi Na Ho K Musalsal Wafa Thaka Dale,

Mohabbaton Mein Naya Pan Talash Kar Lana,

Jo Koh-E-Qaf Chale Ho To Chand Chehron Ka,

Mujasma Koi Acha Tarash Kar Lana,

Safar K Shoq Mein Chal To Pare Ho Tum Ghar Se,

Dukhon K Gird Se Daman Na Apna Bhar Lana,

Ajab Fiza Hai Jahan Sans Le Rahe Hain Hum,

Gharon Ko Lout K Aana To Chashm-E- Tar Lana.........!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana, Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana,

Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana,

Main Likh Rahi Hon Kahani Teri Rafaqat Ki,

Jo Ho Sake To Koi Harf Motabar Lana,

Yehi Na Ho K Musalsal Wafa Thaka Dale,

Mohabbaton Mein Naya Pan Talash Kar Lana,

Jo Koh-E-Qaf Chale Ho To Chand Chehron Ka,

Mujasma Koi Acha Tarash Kar Lana,

Safar K Shoq Mein Chal To Pare Ho Tum Ghar Se,

Dukhon K Gird Se Daman Na Apna Bhar Lana,

Ajab Fiza Hai Jahan Sans Le Rahe Hain Hum,

Gharon Ko Lout K Aana To Chashm-E- Tar Lana.........!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

Shaam Ko Sogwaar Karte Rahe Hum Tera Intezar Karte Rahe

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Shaam Ko Sogwaar Karte Rahe,

Hum Tera Intezar Karte Rahe,

Too To Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof,

Aur Hum Tujh Se Pyar Karte Rahe,

Kis Liye Vasl Ki Kahani Mein Hijar Ko Hisse Daar Karte Rahe,

Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha,

Wehshaton Ka Shumar Kartay Rahay..........!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

Thursday 16 April 2015

Hai Mohabbat Azab Barbadi Dil Ko Ye Bat Kis Ne Samjha Di

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Hai Mohabbat Azab Barbadi,

Dil Ko Ye Bat Kis Ne Samjha Di,

Bewafai Ne Khaak Kar Daali Chahaton Ki Haari,

Bhari Daali Ek Shab Vasl Ki Guzarish Thi Us Ne,

Tasveer Apni Bhijva Di Tere Gham Ki Jazeera-e-Dil Mein,

Phelti Ja Rahi Hai Aabadi Kis Qadar Banjh Hoti Jati Hai,

Takht-e-Ikhlas Teri Shehzadi Waqt Zalim Tha,

Meri Har Khawahish Us Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di..........!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Soch Lo Chalne Se Pehle Rasta Dushwar Hai

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Soch Lo Chalne Se Pehle Rasta Dushwar Hai

Ishq Darwaza Nahi Hai HIJAR Ki Deewar Hai,

Phir Fareib-E-Roz-O-Shab Ki Dosti Mumkin Nahi,

Kar Dia Inkar So Inkar Hai Inkar Hai,

Itna Khush Hon Nahi Acha Ab Us K Qurb Mein,

HIJAR Bhi In Wasl K Lamhon Ka Hisa Daar Hai,

Is Taraf To Raston Mein Dhool Si Urne Lagi,

Ab To Ja K Dekhna Hai Jo Samandar Paar Hai,

Phir Hawa-E-Shehr Mujh Se Munharif Hone Lagi,

Phir Mere Honton Pe Tere Naam Ki Takraar Hai,

Ab Kahan Chooye Gi Us K Dil K Sach Ki Roshni,

Jis K Hathon Mein Abhi Tak Jhoot Ki Talwar Hai........!

Page 51,52

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain K Jaise Khawab Marte Ja Rahe Hain

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain,

K Jaise Khawab Marte Ja Rahe Hain,

Koi Din K Liye Dil K Makeen Ko,

Nazar Andaz Karte Ja Rahe Hain,

Jo Dil Ka Haal Hai Dil Janta Hai,

Ba Zahir To Sambhalte Ja Rahe Hain,

Chale To Hain Tumhare Shehr Se Hum,

Kaf-E-Afsos Milte Ja Rahe Hain,

Kabhi Jin Mein Gharoor-E-Tazgi Tha,

Wo Khuddo Khal Dhalte Ja Rahe Hain................!

Page 23 To 24

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Hashar Ka Samaan Rehta Hai Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Hashar Ka Samaan Rehta Hai,

Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai,

Is Raste Se Us Ki Gali Tak,

Aik Charaghan Rehta Hai,

Barf Pe Dhoop Ka Jism Bhi Dekho,

Din Bhar Raqsan Rehta Hai,

Khaima-E-Sham Saja Lete Hain,

Jashan Ka Samaan Rehta Hai,

Dil K Liye To Harf-E-Dua Mein,

Dard Ka Darmaan Rehta Hai,

Jane Ki Ki Khoj Mein Tera,

Deeda-E-Hairaan Rehta Hai,

Rat Dhale Ek Khawab Ka Chehra,

Roz Paishmaan Rehta Hai.........!

Page 21 To 22

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna,

Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna,

Zara Sa Ishq Kar Lena Zara Si Aankh Bhar Lena,

Phir Us K Bab Mein Sari Khudai Mangte Rehna,

Kabhi Mehroom Honton Par Dua Ka Harf Rakh Dena,

Kabhi Wehshat Mein Us Ki Narsai Mangte Rehna,

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jati Hai,

Kahani Mein Zara Si Bewafai Mangte Rehna,

Ajab Hai Wehshat-E-Jan Bhi K Aadat Ho Gai Dil Ki,

Sakoot-E-Sham-E-Gham Se Hum Nawai Mangte Rehna,

Kabhi Bache Ka Nanhe Hath Par Tittli K Par Rakhna,

Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna.........!

Page 19,20

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Monday 13 April 2015

Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain, Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain,

Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain,

Humain Bhi Rukhsat Ki Rasam Kuch To Banana Thi,

Tumhari Aankhon Mein Aaye Pani Se Dar Gaye Hain,

Ye Tere Jitne Fiza Mein Aa Kar Tehr Gaye Hain,

Kisi Parinde Ki Be Zabani Se Dar Gaye Hain,

Unhein Bhi Daria Mein Apni Kashti Utarna Thi,

Jo Log Lehron Ki Sar Garani Se Dar Gaye Hain,

Ye Hum Jo Shehr-E-Wafa Mein Gum Sum Khare Howay Hain,

Phir Aik Taza Ghalat Biyani Se Dar Gaye Hain,

Abhi To Dil Ko Udas Karti Nahi Hain Shaamein,

Humain Bhi Sahil Pe Geet Likhna Thay Sipion Se,

Magar Hawaon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain...........!

Page 17 To 18

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Gar Nahi Jashn-E-Wafa Jashn-E-Gham- E-Jan Hona

Poetess Noshi Gilani

Type By
    *.___HIJAR___.*

Gar Nahi Jashn-E-Wafa Jashn-E-Gham- E-Jan Hona,

Hum Ne Seekha Hi Kahan Be Sar-O- Samaan Hona,

Ye Ajab Kaifiat-E-Ajaz-O-Riya Kaari Hai,

Phir Usi Halqa-E-Yaraan Pe Mehrbaan Hona,

Ab To Hathon Mein Koi Faisla-E-Ishq Nahi,

Kaisi Tasleem-O-Raza Kaisa Gurezaan Hona,

Raah Mein Sang-E-Mulamat Hai To Hairat Kia Hai,

Aap K Shehr Mein Kia In Se Pareshaan Hona,

Roshni Ki Koi Tasveer Saja Deta Hai,

Aik Azad Parinde Ka Ghazal Khawaan Hona.....!

Page 29,30

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002