Showing posts with label Wasif Ali Wasif. Show all posts
Showing posts with label Wasif Ali Wasif. Show all posts

Wednesday 12 February 2014

Zahir Mein Gar Cheh Jism Mera Be Kharash Hai

Poet Wasif Ali Wasif

Type By
*.___HIJAR___.*

Zahir Mein Gar Cheh Jism Mera Be Kharash Hai,

Ahsas Ka Wajood Magar Qaash Qaash Hai,

Teri Nazar Hai Matla-E-Anwaar-E-Subha Par,

Meri Nazar Mein Doobte Soraj Ki Lash Hai,

Aawaz De K Aap To Khamosh Ho Gaye,

Mere Laho Mein Ab Bhi Wohi Irta'ash Hai,

Tehre Samandron Ki Tarha Tum Ho Be Talab,

Aab-E-Rawaan Hon Mujh Ko Tumhari Talash Hai,

Sang-E-Khizan Se Dast-E-Saba Ne Lia Hai Kaam,

Aaina-E-Jamal-E-Paash Paash Hai,

Insaniat Ki Mout Hai Wo Dor-E-Iqtadar,

Jis Dor Mein Saheefa-E-Fitrat Narash Hai,

WASIF Ye Kis Maqam Pe LaYa Hai Mujhe Janoon,

Ab Un Ki Justajoo Hai Na Apni Talash Hai.................!

Page 128

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002

Tuesday 11 February 2014

Main Jhoom K Utha Ho

Tarpa Hon K Girja Hon

Har Kheit Pe Barsa Hon

Main Kon Hon Badal Hon

Poet Wasif Ali Wasif

Type By
*.___HIJAR___.*

Main Jhoom K Utha Ho,

Tarpa Hon K Girja Hon,

Har Kheit Pe Barsa Hon,

Main Kon Hon Badal Hon,

Hai Zulf Ghata Meri,

Har Barq Adaa Meri,

Hasti Hai Waraa Meri,

Main Kon Hon Badal Hon,

Main Door Se Aaya Hon,

Main Dhar Pe Chaya Hon,

Rahman Ka Saya Hon,

Main Kon Hon,

Badal Hon,

Main Pee K Samandar Ko,

Le Aaya Hon Gohar Ko,

Simte Howay Johar Ko,

Main Kon Hon,

Badal Hon,

Main Hamil-E-Masti Hon,

Main Ba'ais-E-Hasti Hon,

Aflak Ki Basti Hon,

Main Kon Hon Badal Ho,

Main Jaam Hon Main Saqi,

Faani Hon Na Main Baqi,

Manzal Meri Aafaqi,

Main Kon Hon Badal Hon,

Phailon To Qayamat Hon,

Simton To Nadamat Hon,

Main Soz-E-Mohabbat Hon,

Main Kon Hon Badal Hon,

Phoolon Ki Qabaa Mujh Se,

Main Us Se,

Saba Mujh Se,

Ho Poochte Kia Mujh Se,

Main Kon Hon Badal Hon,

Sarmad Ki Adaa Laya,

Mansoor Ka Dil PaYa,

SarmaYa Giraan Maya,

Main Kon Hon Badal Hon,

Geh Arsh-E-Nasheen Hona,

K Zeir-E-Zameen Hona,

Main Kon Hon Badal Hon,

Har Simt Ko Jata Hon,

Har Rang Mein Aata Hon,

Rota Hon Romata Hon,

Main Kon Ho Badal Hon,

Masti Mein Aagar Aaon,

Maiye Khane Basa Jaon,

Khud Ro K Rula Jaon,

Main Kon Hon Badal Hon,

Toofan Hon Sahil Hon,

Rasta Hon Manzal Hon,

Main WASIF-E-Badal Hon,

Main Kon Hon Badal Hon.........!

Page 75 to 78

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002