Showing posts with label Yasir Aftab. Show all posts
Showing posts with label Yasir Aftab. Show all posts

Wednesday 9 July 2014

Is Eid Par Surakh Choorian La Dena

Phir Apne Hathon Se Mujhe Tum Pehna Dena

============
Eid Poetry -1
============

Poet Yasir Aftab

Type By
*.___HIJAR___.*

Is Eid Par Surakh Choorian La Dena

Phir Apne Hathon Se Mujhe Tum Pehna Dena

Is Eid Par Surakh Choorian La Dena,

Main Khushi Se Jhoom Uthon Gi,

Tum Bhi Ye Dekh Kar Muskara Dena,

Is Eid Par Surakh Choorian La Dena,

Wa Basta Hai Meri Zindagi Tujh Sy,

Phir Ye Tum Bare Pyar Se Mujhe Bata Dena,

Is Eid Par Surakh Choorian La Dena,

Kia Nahi Hota Is Mohabbat Mein Rakh Rakhao?

Ye Keh Kar Tum, Nazrarn Mujq Se Chura Lena,

Is Eid Par Surakh Choorian La Dena,

Mein Karon Shikwa Tujh Se Tere Dair Se Aane Ka,

AFTAB

Tum Gale Mein Dale Baahain,

Choom Kar Mujhe Manaa Lena,

Is Eid Par Surakh Choorian La Dena,

Phir Apne Hathon Se Mujhe Tum Pehna Dena,

Is Eid Par Surakh Choorian La Dena................!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
send 8002

Wednesday 20 November 2013

Mohabbat

Nahen Chahye Mujy Bheek Men Mili Mohabbat Aftab

Maana Ky Men Ghareeb Hun, Par Bhikaari Nahen

Monday 11 November 2013

Maana K Teri Mehfil Mein Anjan Hon Main

Poet Yasir Aftab Yasir
Type By
*.___HIJAR___.*
Lekin Kai Mehfilon Ki Jan Hon Main,
Nahi Tere Laiq Main Ye To Sochti Hai,
Kisi Dil Ki Dharkan To Kisi Chehre Ki Muskan
Hon Main,
Sada Salamat Rahe Wo Yar-E-Dil,
Jis Dil Ki Dharkano Mein Subh-O-Sham Hon
Main,
Kia Socha Tum Ne Jo Azeeatain Dete Ho Mujh
Ko,
Kabhi Parda Kabhi Jalwa, Kia Bejan Hon Main!
Aksar Logon Ko Ye Kehte Suna Hai Main Ne,
A F T A B
Socho To Chand,
Dekho To Gulab,
Uthao To Jaam Hon Main................!

Ay khuda Kaisa ajeeb dor aya hy

Poet Yasir Aftab Yasir
Type By
*Red.Rose*
Ay khuda ! Kaisa ajeeb d0r aya hy
K0i kisi ki yaad men r0 kr b muskraya hy
Jb b jhanka yaad k jhar0nk0n sy
Chaand sa mehbo0b ka chehra hi nazr aaya
hy
Mujy malo0m hy k nahen h0n men yaad k
qabil
Par etna t0 btaye k aaj apki aankh0n me pani
ki0 aya hy?
Bula bethy kis daraja e na laiq thy hum bi
Bala k0i kisi k0 rula kr b muskra paya hy?
Dekha hy kai bar ye manzar b en aankh0n ny
Aftaab
J0 hansti rahen din bhar, un ankh0n me raat
k0 selaab aya hy.

Kisi Ko Dukh Apne Suna Kar Milta Kuch Bhi Nahi

Poet Yasir Aftab Yasir
Type By
*.___HIJAR___.*
Kisi Ko Dukh Apne Suna Kar Milta Kuch Bhi
Nahi,
Ye Sab Naam K Rishte Hain,
Kisi Ka Koi Lagta Kuch Bhi Nahi,
Kai Bar Kia Un Se Iqrar-E-Mohabbat Andaz-E-
Shairana,
Wah Kar K Chup Ho Gaye Goya Hum Ne Kaha
Kuch Bhi Nahi,
Kaha Us Ne Ruko Zara Kuch Kehna Hai Tum
Se,
Jo Ruka Sunne Ko To Us Ne Kaha Kuch Bhi
Nahi,
Bazar-E-Ishq Mein Sab Soda Hi Nuqsan Ka
Hai,
Mila Kisi Ko Yahan Barbadi K Siwa Kuch Bhi
Nahi,
Darte Thay K Un Se Bichar K Mar Na Jain
Hum, Aftab
Aray Dekho To Howa Humain Kuch Bhi
Nahi..................!

Thursday 31 October 2013

Ek Kanwal Murjhaya Murjhaya Lagta Tha

Poet Yasir Aftab Yasir Type By
*.___HIJAR___.*
Ek Kanwal Murjhaya Murjhaya Lagta Tha,
Gulab Bhi Churaya Churaya Lagta Tha,
Chanbaili Ki Bheeni Bheeni Khusbo To Thi
Lekin,
Na Jane Kion Sab Kuch Paraya Paraya Lagta
Tha,
Dia-E-Umeed Rakha To Tha Sada Roshan,
Dil Ko Phir Bhi Bujhaya Bujhaya Lagta Tha,
Mahtab Bhi Aaj Kuch Udas Udas Tha,
AFTAB Bhi Shrmaya Shrmaya Lagta Tha,
Sabab-E-Weerani-E-Gulshan Jo Poocha Main
Ne,
AFTAB
Baghban Kuch Na Bola Gabraya Gabraya
Lagta Tha................!