Showing posts with label Ahmad Fraz. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Fraz. Show all posts

Sunday, 28 June 2015

Aaye Saqi Sun Faryad Meri Kabhi Dunia Thi Aabad Meri

Poet Ahmad Faraz

Type By
    *.___HIJAR___.*

Aye Saqi Suno Faryad Meri,

Kabhi Dunia Thi Aabad Meri,

Main Praim Nagar Ka Baasi Tha,

Aur Pyar Ka Itna Aadi Tha,

Saans Bhi Pyar Se Chalti Thi,

Dharkan Bhi Geet Sunati Thi,

Na Khana Peena Yar Siwa,

Na Chalna Phirna Yar Bina,

Jiwan Mein Har Soo Rang Hi Rang,

Har Pal Mein Jeene Ki Tarang,

Phir Sapna Mera Toot Gia,

Wo Yar Bhi Mujh Se Choot Gia,

Ab Maara Maara Ghomta Hon,

Main To Ab Jeene Ka Sahara Dhoondta Hon........!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

Saturday, 7 March 2015

Ye Soch Kat Gham K Khareedar Aa Gaye Hum Khawab Bechne Ko

Poet Ahmad Faraz

Type By
    *.___HIJAR___.*

Ye Soch Kar K Gham K Khareedar Aa Gaye,

Hum Khawab Bechne Ko Sar-E-Bazar Aa Gaye,

Awaz De K Chup Gai Har Bar Zindagi,

Hum Aise Sada Dil Thay K Har Bar Aa Gaye,

Raahon Ko Chor Kar Sar-E-Deewar Aa Gaye,

Sooraj Ki Roshni Pe Jinhain Naz Tha,

              FARAZ

Wo Bhi To Tere Saya-E-Deewar Aa Gay.....................!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

Monday, 1 December 2014

Itne Bhi To Wo Khafa Nahi Thay

Poet Ahmad Faraz

 

Type By


    *.___HIJAR___.*

 

Itne Bhi To Wo Khafa Nahi Thay

Jaise Kabhi Aashna Nahi Thay,

Mana K Baham Kahan Thay Aise,

Par Youn Bhi Juda Juda Nahi Thay,

Thi Jitni Basat Ki Purastish,

Tum Bhi To Wo Koi Khuda Nahi Thay,

Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir,

Hum Tere Nahi Thay Ja Nahi Thay,

Kis Kis Se Nibhate Rafaqat,

Hum Log K Bewafa Nahi Thay,

Rukhsat Howa Wo To Main Ne Dekha,

Phool Itne Bhi Khush Numa Nahi Thay,

Thay Youn To Hum Us Ki Anjuman Mein,

Koi Humain Dekhta" Nahi Thay,

Jab Us Ko Tha MaaaN Khud Pe Kia Kia,

Tab Hum Bhi Faraz Kia Nahi Thay................!

Zindagi Se Yehi Gila Hai Mujhe

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*._Ayaz_Khan_.* 

 

Zindagi Se Yehi Gila Hai Mujhe

Too Bari Dair Se Mila Hai Mujhe

Too Mohabbat Se Koi Chaal To Chal,

Haar Jane Ka Hosla Hai Mujhe,

Dil Dharakta Nahi Tapakta Hai,

Kal Jo Khawahish Thi Aabla Hai Mujhe,

Humsafar Chahiye Hajoom Nahi,

Ek Musafir Bhi Qafla Hai Mujhe,

Kohkan Ho Ke Qais Ho Ke FARAZ,

Sab Mein Ek Shakhs Hi Mila Hai Mujhe.....!

Book: Pass Andaaz Musam

Naye Safar Mein Abhi Aik Nuqs Baqi Hai

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.__Ayaz_Khan__.* 

 

Naye Safar Mein Abhi Aik Nuqs Baqi Hai

Jo Shakhs Sath Nahi Us Ka Aks Baki Hai,

Utha Ke Le Gaye

Dazdan Shab Charag Talak,

So Kor Chacham Patangon Ka Raqs Baqi Hai,

Ghata Uthi Hai Magar Tout Kar Nahi Barsi,

Hawa Chali Hai Magar Phir Bhi Habs Baqi Hai,

Ulat Pulat Gi Dunia Woh Zalzale Aaye,

Magar Kharab Dil Mein Woh Shakhs Baqi Hai,

FARAZ Aaye Ho Tum Ab Rafiq-E-Shab Ko Liye,

Ke Dor-E-Jam Na Hangma-E-Raqs Baqi Hai.........!

Book:

Khawab e Gul Parishan Hai

Jab Tujhe Yad Karein Kaar-E-Jahan Khainchta Hai

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.*

Jab Tujhe Yad Karein Kaar-E-Jahan Khainchta Hai

Aur Phir Ishq Wohi Koh-E-Giraan Kheinchta Hai,

Kisi Dushman Ka Koi Teer Na Pohncha Mujh Tak,

Dekhna Ab K Mera Dost Kamaan Kheinchta Hai,

Ehd-E-Fursat Mein Kisi Yar-E-Yar Guzashta Ka Khayal,

Jab Bhi Aata Hai To Jaise Rag-E-Jaan Kheichta Hai,

Dil K Tukron Ko Kahan Jorr Saka Hai Koi,

Phir Wo Awaz-E-Aaina Giraan Kheichta Hai,

Intaha Ishq Ki Koi Na Hawas Ki Koi,

Dekhna Ye Hai K Had Kon Kahan Kheinchta Hai,

Kheinchte Jate Hain Rasan Basta Ghulamo Ki Tarha,

Jis Taraf Qafla-E-Umar-E-Rawaan Kheinchta Hai,

Hum To Rahwar-E-Zaboon Hai Wo Muqadar Ka Sawar,

Khud Hi Mehmeez Kare Khud Hi Anaan Kheinchta Hai,

Rishta-E-Teigh-O-Guloo Ab Bhi Salamat Hai,

FARAZ

Ab Bhi Maqtal Ki Taraf Dil Sa Jawaan Kheinchta Hai.........!

Arz-E-Gham Kabhi Us K Roo Ba Roo Bhi Ho Jaye

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.*

Arz-E-Gham Kabhi Us K Roo Ba Roo Bhi Ho Jaye

Shairy To Hoti Hai Guftagoo Bhi Ho Jaye

Zakham-E-Hijar Bharne Se Yad To Nahi Jati,

Kuch Nishaan To Rehte Hain Dil Rafoo Bhi Ho Jaye,

Rind Hain Bhare Bethe Aur Maye Kada Khali,

Kia Bane Jo Aise Mein Aik Hoo Bhi Ho Jaye,

Main Idhar Tan-E-Tanha Aur Udhar Zamana Hai,

Wa-E-Gur Zamane K Sath Too Bhi Ho Jaye,

Pehli Na Muradi Ka Dukh Kahein Basarta Hai,

Bad Mein Agar Koi Surkh Roo Bhi Ho Jaye,

Deen-O-Dil To Kho Bethe Ab FARAZ Kia Gham Hai,

Koo-E-Yar Mein Gharat Aabro Bhi Ho Jaye..............!

Kabhi Jo Rahat Jan Tha Usay Bhula Bhi Dia

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.*

Kabhi Jo Rahat Jan Tha Usay Bhula Bhi Dia

Agar Che Dil Ne Humain Tana Wafa Bhi Dia

Nahi K Hum Safron K Liye Bane Deewar,

Jo Barq Pa Thay Unhain Hum Ne Rasta Bhi Dia,

Magar Khuda Ki Sab Bakhishein Anokhi Hain,

Wafa K Sath Humain Yar Bewafa Bhi Dia,

Main Butt Usay Dekha Kia To Usay Ne Kaha,

Guzar Chuki Bahut Rat Ab Bujha Bhi Dia,

FARAZ

Jis Ne Dilon Udasian Bakhshein,

Usi Ne Zakham Chupane Ka Hosla Bhi Dia..............!

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.__HIJJAR__.*

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein,

Jis Tarah Sookhe Howay Phool Kitabon Mein Milein,

Dhoond Ujre Howay Logon Mein,

Wafa K Moti Ye Khazane Tujhe,

Mumkin Hai Kharabon Mein Milain,

Gham-e-Dunia Bhi Gham-e-Yar Mein Shamil Kar Lo,

Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain,

Too KHUDA Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa,

Dono Insan Hain To Kion Hijabon Mein Milain?

Aaj Hum Dar Pe Khainche Gaye Jin Baton Par,

Kia Ajab Kal Wo Zamane Ko Nasabon Mein Milain,

Ab Na Wo Main Hon Na Too Hai Na Wo Mazi Hai,

FARAZ

Jaise Do Shakhs Tamana K Sarabon Mein Milain............!

Ye Soch Kar K Gham K Khareedar Aa Gaye

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.*

Ye Soch Kar K Gham K Khareedar Aa Gaye,

Hum Khawab Bechne Ko Sar-E-Bazar Aa Gaye,

Awaz De K Chup Gai Har Bar Zindagi,

Hum Aise Sada Dil Thay K Har Bar Aa Gaye,

Raahon Ko Chor Kar Sar-E-Deewar Aa Gaye,

Sooraj Ki Roshni Pe Jinhain Naz Tha,

FARAZ

Wo Bhi To Tere Saya-E-Deewar Aa Gay.....................!

Har Aashna Main Kahan Khoo-E-Mehrmana Wo

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.* 

 

Har Aashna Main Kahan Khoo-E-Mehrmana Wo,

K Bewafa Magar Dost Tha Purana Wo,

Kahan Se Lain Ab Aankhain Usay K Rakhta Tha,

Adawaton Mein Bhi Andaz Maukhlisana Wo,

Jo Abar Tha To Usay Toot K Barasna Tha,

Ye Kia K Aag Laga Kar Howa Rawana Wo,

Pukarte Hain Mah-O-Saal Manzlon Ki Tarha,

Laga Hai To San-E-Hasti Ko TazYana Wo,

Humain Bhi Zulm Talbi Ka Nahi Raha Yara,

Tere Bhi Rang Nahi Gardish-E-Zamana Wo,

Ab Apni Khawahishein Kia Kia Usay Rulati Hain,

Ye Bat Hum Ne Kahi Thi Magar Na Mana Wo,

Yehi Kahein Gay K Bas Soorat Aashnai Thi,

Jo Ehad Toot Gia Yad Kia Dilana Wo,

Us Aik Shakal Mein Kia Kia Na Sortein Dekhein,

Nigar Tha Nazar Aaya Nigar Khana Wo,

FARAZ Khawab Si Dunia Dekhai Deti Hai,

Jo Log Jan-E-Jahan Thay Howay Fasana Wo...........!

Dolat-E-Dard Ko Dunia Se Chupa Kar Rakhna

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.* 

 

Dolat-E-Dard Ko Dunia Se Chupa Kar Rakhna

Aankh Mein Boond Na Ho Dil Mein Samandar Rakhna

Kal Gaye Guzre Zamano Ka Khayal Aaye Ga,

Aaj Itna Bhi Na Raton Ko Munawar Rakhna,

Apni Aashufta Mizaji Pe Hansi Aati Hai,

Dushmani Sang Se Aur Kaanch Ka Paikar Rakhna,

Aas Kab Dil Ko Nahi Thi Tere Aa Jane Ki,

Par Na Aisi K Qadam Ghar Se Na Bahir Rakhna,

Zikar Us Ka Hi Sahi Bazm Mein Bethe Ho,

FARAZ

Dard Kaisa Hi Uthe Hath Na Dil Par Rakhna..............!

Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.*

Laga K Zakham Badan Par Qabain Deta Hai

Ye Shehr-E-Yar Bhi Kia Kia Sazain Deta Hai

Tamam Shehr Hai Maqtal Usi K Hathon Se,

Tamam Shehr Usi Ki Duain Deta Hai,

Kabhi To Hum Ko Bhi Bakhshe Wo Abar Ka Tukra,

Jo Aasman Ko Neeli Ridain Deta Hai,

Judaion K Zamane Se Phir Aa Gaye Shaid,

K Dil Abhi Se Kisi Ko Sadain Deta Hai.................!

Dil Munafik Tha Shab-E-Hijar Mein Soya Kesa

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*

Dil Munafik Tha Shab-E-Hijar Mein Soya Kesa.

Aur Jab Tujh Se Mela Toot K Roya Kesa.

Zindagi Mein Bhi Ghazal Hi Ka Qareena Rakha.

Khawab Dar Khawab Tere Gham Ko Paroya Kesa.

Ab To Chehron Pe Bhi Katboon Ka Gumaan Hota Hai.

Aankhen Phatrai Hoi Hain Lab Goya Kesa.

Dekh Ab Qarb Ka Musam Bhi Na Sar-Sabz Lage.

Hijar Hi Hijar Marasam Mein Samaoya Kesa.

Aik Aansu Tha K Daria-E-Nadamat Tha FARAZ.

Dil Se Bibaak Shanawar Ko Daboya Kesa...........!

 

Book: Nabina Shehr Mein Aaina

Sanam Tarash Par Aadaab-E-Kafirana Samjh

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*

Sanam Tarash Par Aadaab-E-Kafirana Samjh.

Har Aik Sang-E-Sar-E-Rah Ko Khuda Na Samjh.

Mein Tujh Ko Mang Raha Hon Qabool Kar K Na Kar.

Ye Baat Teri Meri Hai Aise Dua Na Samjh.

Palat K Aaye Ga Wo Bhi Gai Ruton Ki Tarah.

Jo Tujh Se Roth Gia Hai Uise Juda Na Samjh.

Rah-E-Wafa Mein Koi Aakhri Muqaam Nahi.

Shikast-E-Dil Ko Muhabbat Ki Intiha Na Samjh.

Har Aik Sahib-E-Manzil Ko Bamurad Na Jaan.

Har Aik Rah Nasheen Ko Shikasta Pa Na Samjh.

FARAZ Aaj Ki Dunia Mere Wajood Mein Hai.

Mere Sukhan Ko Faqat Mera Tazkara Na Samjh.........!

Book:

Nabina Shehr Mein Aaina

Shab-E-Nishat Thi Ya Subh-E-Pur-Malaal Thi Wo

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*

Shab-E-Nishat Thi Ya Subh-E-Pur-Malaal Thi Wo.

Thakan Se Choor Tha Mein Neend Se Nadhaal Thi Wo.

Mein Us Ki Humsafri Mein Bhi Dil Garfta Raha.

K Har Qadam Par Judai Ka Ehtamaal Thi Wo.

Idhar Udhar K Bhi Kirdaar Aate Jate Rahe.

Mere Sukhan Ka Magar Markazi Khayaal Thi Wo.

Wo Pairahan Thi Magar Jisam-O-Jaan Rahi Meri.

K Jo Bhi Jaisa Bhi Musam Tha Hasb-E-Haal Thi Wo.

Tamam Umer Agar Zindagi Ne Zakham Diye.

Tamam Umer K Zakhmo Ka Andmaal Thi Wo.

Ye Umer Bhar Ka Asasa Usi K Naam To Hai.

Agar Chay Meri Rafaqat Mein Chand Saal Thi Wo.

FARAZ Yaad Hai Ab Tak Supardagi Us Ki.

Ze Farq Ta Ba-Qadam-E-Khawish-E-Wasaal Thi Wo............!

Book:

Khawab e Gul Parishaan Hai

Tum Ke Sunte Rahe Auron Ki Subani Logo

Poet Ahamad Faraz

Type By 

 

*._Ayaz_Khan_.*

Tum Ke Sunte Rahe Auron Ki Subani Logo,

Hum Sunate Hain Tumhain Apni Kahani Logo,

Kon Tha Dushman-E-Jaan Wo Koi Apna Tha K Ghair,

Han Wohi Dushman-E-Jaan Dilbar Jani Logo,

Zulf Zanjeer Thi Zalium Ki To Shamsheer Badan,

Roop Sa Roop Jawani Si Jawani Logo,

Samane Us K Dekhe Nargis-E-Shela Beemar,

Roo Ba Roo Us K Bhare Saroo Bhi Pani Logo,

Us Ki Guftaar Mein Khandah Tha Shagfat-E-Gul Ka,

Us Ki Raftar Mein Chashme Ki Rawani Logo,

Us K Malboos Se Sharmindah Quba-E-Lala.

Us Ki Khushboo Se Jale Raat Ki Rani Logo,

Hum Jo Pagal Thay To Be Waja Nahi Thay Pagal,

Aik Dunia Thi Magar Us Ki Deewani Logo,

Ishq Aur Mushk Chupaye Nahi Chupte Youn Bhi,

Kab Raha Raaz Koi Raaz-E-Nihani Logo,

Aik To Ishq Kia Ishq Bhi Phir MEER Sa Ishq.

Is Pe GHALIB Ki Se Aashafta Bayani Logo,

Haila Joo Wise Bhi Hote Hain Zamane Wale,

Is Pe Aai Na Humain Baat Chupani Loogo,

Dastan Koi Bhi Ho Zikar Kisi Shakhs Ka Ho,

Hum Ne Us Naam Se Taheed Uthani Logo,

Han Wohi Naam K Jis Naam Se Wabasta Hai,

Har Mohabbat Wo Nai Ho K Purani Logo,

Hum Hi Sada Thay Kia Is Pe Bharosa Kia Kiya.

Hum Hi Nadaan Thay K Logo Ki Na Mani Logo,

Hum To Us Ke Liye Ghar Baar Bhi Tijh Bithe,

Us Sitamgar Ne Magar Qadar Na Jani Logo,

Kis Tarah Bhool Gia Qaol-O-Qasam Wo Apne,

Kitni Be Sarfa Gai Yad Dehani Logo,

Jis Tarha Titlian Baghon Se Safar Kar Jain,

Jise Alfaz Mein Mar Jain Mafi Logo,

Ab Ghazal Koi Utarti Hai To Nohai Ki Tarah,

Shairy Ho Gai Hai Marsia Khawani Logo,

Shama Royon Ki Mohabbat Mein Ye Hi Hota Hai,

Reh Gia Daag Faqat Dil Ki Nishani Logo.........!

...THE END...

Book: Khawab e Gul Parishaan Hai

Har Koi Dil Ki Hatheli Pe hai Sehra Rakhe

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*

Har Koi Dil Ki Hatheli Pe hai Sehra Rakhe..

Kis Ko Seraab Kare Wo Kise Piyasa Rakhe..

Umer Bhar Koon Nibhata Hai Taluq Itna..

Ay Meri Jaan K Dushman Tujhe Allah Rakhe..

Hum Ko Acha Nahi lagta Koi Hum Naam Tera..

Koi Tujh Sa Ho To Phir Naam Bhi Tera Rukhe..

Dil Bhi Pagal Hai K Us Shaks Se Wabsta Hai..

Kisi Aur Ka Hone De Na Apna Rakhe..

Kam Nahi Tumaa ibadat Bi To Hars-E-Zar Se..

Fuqar Tu Wo Hai K Jo Deen Na Dunia Rakhe..

Huns Na Itna Bhi Faqeeron K Akele Pan Par..

Ja KHUDA Meri Trah Tujh Ko Bhi Tanha Rakhe..

Ye Qinna-at Hai Ata-at hai K Chahat Hai FARAZ..

Hum To Razi Hain Wo Jis Haal Main Jaisa Rakhe......!

Book:

Khawab e Gul Parishaan Hai

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.__Ayaz Khan__.*

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain.

Jis Tarah Aaine Chehron Ko Taras Jate Hain.

Ehtiyat Ehl-E-Muhabbat K Isi Shehr Mein Log.

Gul Badast Aate Hain Paba Rasan Jate Hain.

Jaise Tajdeed-E-Taluq Ki Bhi Rut Ho Koi.

Zakham Bharte Hain To Ehbaab Bhi Aa Jate Hain.

Saqia Too Ne Mekhane Ka Ye Haal Kia.

Badah-Kash Mutasib-E-Shehr K Gun Gate Hain.

Tanaa Nasha Na Do Sub Ko K Kuch Sukhta Jaan.

Shidat-E-Tishna-Labi Se Bhi Behak Jate Hain.

Har Kari Raat K Bad Aisi Qayamat Guzri.

Subh Ka Zikar Bhi Aaye To Larz Jate Hain.........!

Book:

Nabina Shehr Mein Aaina

Tarab Uthon Bhi To Zalim Teri Duhai Na Don

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.*

Tarab Uthon Bhi To Zalim Teri Duhai Na Don,

Main Zakhm Zakham Hon Phir Bhi Tujhe Dekhai Na Don,

Tere Badan Mein Dharkne Laga Hon Dil Ki Tarha,

Ye Aur Bat K Ab Bhi Tujhe Sunai Na Don,

Khud Apne Aap Ko Parkha To Ye Nadamat Hai,

K Ab Kabhi Usay Ilzam-E-Bewafai Na Don,

Meri Baqa Hi Meri Khawahish-E-Gunah Mein Hai,

Main Zindagi Ko Kabhi Zehr-E-Paarsai Na Don,

Jo Thann Gai Hai To Yari Pe Harf Kion Aaye,

Hareef-E-Jaan Ko Kabhi Taan-E-Aashnai Na Don,

Mujhe Bhi Dhoond Kabhi Mehv-E-Aaina Daari,

Main Tera Aks Hon Lekin Tujhe Dekhai Na Don,

Ye Hosla Bhi Bar Bat Hai Shikast K Baad,

K Dosron Ko To Ilzam-E-Narsai Na Don,

FARAZ Dolat-E-Dil Hai Mata-E-Mehroomi,

Main Jaam-E-Jam K Evaz Kasa-E-Gadaai Na Don................!