Poet Qabil Ajmeri
Type By
*.___HIJAR___.*
Tazad-E-Jazbat Mein Ye Nazuk,
Maqam Aaya To Kia Karo Gay,
Main Ro Raha Hnn Tum Hans Rahe Ho,
Main Muskaraya To Kia Karo Gay,
Mujhe To Is Darja Waqt-E-Rukhsat,
Sakoon Ki Talqeen Kar Rahe Ho,
Magar Kuch Apne Liye Bhi Socha,
Main Yad Aaya To Kia Karo Gay,
Abhi To Tanqeed Ho Rahi Hai,
Mere Mazaq-E-Janoon Pe Lekin,
Tumhari Zulfon Ki Barhami Ka,
Sawal Aaya To Kia Karo Gay,
Tumhare Jalwon Ki Roshni Mein,
Nazar Ki Hairania Musalam,
Magar Kisi Ne Nazar K Badle,
Jo Dil Aazmaya To Kia Karo Gay,
Utar To Sakte Ho Paar Lekin,
Ma Aal Par Bhi Nigah Dalo,
Khuda Na Karda Sakoon-E-Sahil,
Na Raas Aaya To Kia Karo Gay,
Kuch Apne Dil Pe Bhi Zakham,
Khao Mere Lahoo Ki Bahar Kab Tak,
Mujhe Sahara Banane Walo,
Main Larr Kharaya To Kia Karo Gay
Abhi To Daman Chura Rahe Ho
Bigar K QABIL Se Ja Rahe Ho
Magar Kabhi Jo Dharkano Mein
Shareek Paya To Kia Karo Gay.
Thursday 14 November 2013
Tazad e Jazbay Mein Ye Nazuk Maqam Aaya To Kia kro Gay
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment