Wednesday, 18 December 2013

A Dialogue from shab e khoon

Poet Ahmad Faraz

Typed HIJAR & AYAZ KHAN

Sipahi
Kahan Hon,
Mere Jisam Par Bojh Kaisa Hai,
Kia Main Paharon K Neeche Daba Hon,
Meri Sans Kion Ruk Rahi Hai,
Ye Thandak Rag-O-Pay Mein Kion Hai,
Mere Bazoo'n Mein Sakat Hai,
Na Honton Mein Janbish Ka Yara,
Na Aankhon Mein Hi Roshni Hai
Chatano,
Ki Sorat Gar Anbaar Palkain Uthane Se
Aari,
To Kia Meri Beenai Bhi Ja Chuki Hai,?
Na Chere Na Manzar,
Na Koi Sada Hai,
Ye Kia Hai,
Mujhe Apni Awaz Bhi Ajnabi Lag Rahi
Hai,
Faqt Dhund Hi Dhund,
Aur Barf K Bekaraan Saibaan Chaar Soo
Hain,
Ye Sakraat Ka Pal Hai,
Ya Mujh Pe Kaboos Saya Kanaan Hai,
Ye Kia ......?
Mere Bazo Mein Kion Dard Ki Lehr Uthi,
Main Zinda Hon Lekin,
Badan Barf Mein Dafan Hai,
Aur Chehra Mera Ze Mehreeri,
Hawaon Se Sun Ho Chuka Hai,
Kisi Ko Khabar Tak Na Ho Gi,
K Main Is Pahari Ki Choti Pe Zakhmon
Se,
Chalni Para Hon Koi Mehrbaan Hath,
Humdard Bazo Nahi Hai,
Jo Us Kura-E-Marg Se Mujh Ko Bahir
Nikaale,
Na Jane Badur Rafeeqon K Daste Kahan
Hain,
To Kia Main Yahan,
Kis Maparsi K Aalam Mein Dam Tor Don
Ga
To Kia Is Pahari Ki Choti Pe Mere,
Tajasus Mein Koi Na Aaye Ga,
Koi Na Aaye Ga,?
Koi.....
Mout: Magar Main Sipahi,
Faqt Main
Ajjal
Mout
Azal Se Abad Tak,
Teri Ghamgusari Aur Sathi,
Akele Dukhi Benawaon Ki Wahid
Maseeha,
K Jo Zindagi Ki Jafaon Se Tang Aa Chuke
Hon,
K Jo Zindagi Ki Kari Aur Lambi,
Musafat Se Okta Chuke Hon K,
Jo Zindagi K Sarabon Se,
Phaile Kharabon Se Gharba Chuke Hon,
Sabhi Na Muradon Ko Main Ne,
Hi Aakhir Sahara Dia Hai Jinhain,
Zindagi Tajj Gai Ho Unhain Sirf Main Ne,
Gawara Kia Hai Idhar Aa........ Mujhe
Hath De,
Main Teri Aakhri Chara Gar Hon,
Teri Humsafar Hon,
Teri Rahbar Hon,
(Mout Hath Barhati Hai)
Idhar Aa Sipahi...!
Mere Sath Chal Yehi Waqt Hai,
Jab K Too Ek Charagh-E-Sehr Ki Tarha,
Rahguzar-E-Adam Ka Musafir Hai,
Aa Tujh Ko Apni Hifazat Mein,
Is Barf K Tand Toofan Se Le Chalon,
Tujhe Kia Khabar Kaisi Qatil Hawaon K
Jhar,
Humare Ta'aqub Mein Hain,
Aaye Sipahi Mere Sath Chal,
Sipahi:
Kon Hai Too...?
Ajjal
Fahshah...!
Tujh Ko Kis Ne Pukara K,
Too Bin Bulaye Yahan Aa Gai Hai,
Main Zinda Hon,
Meri Naqahat Se Too Ne Ye Samjha,
K Main Zindagi Se Mafar Chahta Hon,
Meri Ghair Humwar Sanso Se Too Ne Ye
Jana,
K Main Nazaa Mein Hon,
Pare Hatt Mere Jisam Se Apni Parchain
Door Le Ja,
Mout:
Tera Jisam Behis Hai,
Aur Teri Aankhon Pe Kehra Jama Hai,
Tujhe Is Ka Ahsas Bhi To Nahi Hai,
K Too Sirf Kehne Zinda Hai,
Warn Agar Too Ye Dekhe,
K Tera Laho Kis Qadar Beh Chuka Hai,
Agar Too Ye Dekhe,
K Ye Laal-O-Yaqoot,
Tere Hi Laho K Wo Boodain Hain,
Jo Barf Par Jam Gai Hain,
To Jane
K Ab Zinda Rehne Ki Khawahish Abass
Hai,
Chalo Main Ne Mana K,
Tujh Mein Abhi Zindagi Ki Ramaq Hai,
Magar Kis Qadar,
Sirf Do Chaar Sanson Ki Mohlat,
Teri Bebasi Aur Naqahat Ka Ye Haal Hai
K,
Tere Zard Rukhsar Par Barf Ki Teh Jami
Hai,
Magar Tujh Mein Itni Bhi Himat Nahi
Hai,
K Chehre Se Is Ko Kharch De,
Tere Samne Jo Andhere Hain Un Se Na
Dar,
Be Khabar Rat Bhi Din Se Kuch Mukhtalif
To Nahi,
Sipahi:
Chalo Main Ne Mana,
Magar Too Bata Mujh Se Kia Chahti Hai,
Mout:
Ziada Nahi,
Sirf Itna K Too Maan Le,
Zindagi Ek Musalsal Aziat Hai,
Too Jis Se Tang Aa Chuka Hai,
Sipahi:
To..............
To Youn Keh K Main Tere Aage Super
Daal Don,
Mout:
Kion Nahi,
Aur Ye Ilzam Bhi Khud Pe Lene Ko Razi
Hon Main,
Sipahi:
Door Hatt Fahsha...!
Zindagi Se Mujhe Pyar Hai,
Mout:
Baole.....!
Itna Pagal Na Ban,
To Jo Mane To Kia,
Aur Na Mane To Kia,
Ab Tere Samne Doosra Rasta Hi Nahi,
Apne Hathon Ki Pilahatain Dek Le,
Apne Honton Ki Neelahatain Dekh Le,
Apni Aankhon Ki Dhundla Hatain Dekh
Le,
Too Jo Mane To Kia,
Aur Na Mane To Kia,
Sipahi:
Dushman-E-Jaan...!
Mout:
Zid Na Kar Dekh Ab Teri Manzil,
Teri Rat Har Lamha Nazdeek Tar Aa Rahi
Hai,
Teri Zid Teri Bechargi,
Karb Wandwa Ko Tool De Gi,
Jankani Zindagi To Nahi,
Chal Mere Sath Chal,
Zindagi K Karre Marhale Bhool Kar Chal,
Sipahi:
Nahi Main Nahi Jaon Ga,
Main Tere Sath Hargiz Nahi Jaon Ga,
Mout:
Apna Dushman Na Ban,
Tere Paikar Mein Tera Lahoo,
Munjamid Ho Raha Hai,
Terayakh Zada Jism Toofan,
Ki Yourashon Se Nahi Bach Sake Ga,
Idhar Aa Tujhe Apna Aanchal Orha Don,
Jo Tujh Ko Qayamat Tak Garam Rakhe
Ga,
O Nasamjh Nojawaan,
Mere Seene Ki Hidat,
Tere Yakh Zada Jism Ko,
Sarmadi Aman Bakhse Gi,
Aa Tujh Ko Apne Gale Se Laga Lon,
Yaqeen Kar...!
K Too Kar Banaki Shiddat Se Naala Kana
Hai,
Teri Bekasi Aur Farmaan Pazeeri,
Mujhe Hosla De Rahi Hai,
Sipahi:
Farebi...!
Mujhe Apni Hulia Gari Aur Makarion Se,
Teh-E-Daam Lane Ki Koshish Na Kar,
Kazab Go Main To Sardi Ki Shiddat Se
Bekal Hon,
Tujh Se To Khaif Nahi,
Mout:
Khawa Aanso Khushi K Hon Ya Karb K,
Aik Hi Bat Hai,
Bekhabar...!
Sham Dhalne Ko Hai,
Aur Maidan Mein,
Shab Ki Parchaian,
Khaima Zan Ho Rahi Hain,
Kise Kia Khabar Hai K Too,
Pahari Pe Ghaail Para Hai,
Teri Khoj Pehle To Mushkil Hai,
Aur Itafaqan Agar Tere Sathi,
Tujhe Dhoond Bhi Lein To Hasil?
Tujhe Kia Sakoon Mil Sake Ga?
Aur Too Koi Roz Tak Zinda Raha Bhi To
Kia,
Phir Se Dunia K Dukh,
Zindagani K Janjaal Tera Ta'aqub Karein
Gay,
Teri Behtri Hai Esi Mein,
K Be Heel-O-Hujat,
Yahan Pur Sakoon Mout Mar Ja,
Sipahi:
Riya Kaar...!
Too Apni Aiyarion Se Mujhe Daam Mein,
Phansana Chahti Hai Main Zinda Raha
Hon,
Main Zinda Hon,
Zinda Rahon Ga,
Mujhe Too Harasaan Nahi Kar Sake Gi,
Abhi Mujh Ko Jeena Hai,
Mout:
Gar Too Jia Bhi To Phir Kia?
Tujhe Zindagani K Bare Mein Khush
Fehmian Hain,
Agar Too Jia Bhi To Kia Too Samjhta Hai,
Is Zindagi Se Mohabbat Kare Ga,
Jo Thatharn Hai Lazat Hai Bechargi Hai,
Zara Soch Aaye Bekhabar,
Zindagi Bistar-E-Gul Nahi,
Phir Zara Soch,
Sipahi:
Kia Sochna,
Main To Hasti K Har Zeir-O-Bam Se Hon
Waqif,
Magar Too Bhulaye Howe Hai K Ye Jang
Hai,
Mout:
Baolay
Main Ne Mana K Too Jang Mein Sur
Khuroo Ho Chuka Hai,
Watan Ki Hifazat Ka Haq Jan Par,
Khail Kar Too Ada Kar Chuka Hai,
Magar Tujh Ko Ek Martaba Apne Ghar
Aur,
Azeezon K Dukh Phir Se Tarpain Gay,
Sab Zamane K Gham Tujh Ko Kha Jain
Gay,
Sipahi:
Jabhi To Mujhe Is Qadar Bekali Hai,
K Main Hamla Aawar Ghaneemon Ko,
Ko Jaldi Thikane Laga Lon To Phir Ghar
Ko Jaon,
Mere Ghar Ki Dehleez Har Dam Meri
Muntazir Hai,
Mout:
Baja Hai Agar Ghar Tera Muntazir Ho,
Agar Tere Ghar K Dar-O-Baam Baqi Rahe
Hon?
Agar Sirf Enton K Ambaar Aur Raakh K
Dhair,
Ghar Hain To Phir Wo Tere Muntazir
Hain,
Khandar Charo Janib Khandar Hain,
Sipahi:
To Phir Kia?
Mere Bazo'on Mein Tawanai Hai,
Mere Kandhon Se Bandooq Utre,
To Phir Mere Bazo Kadalon Aur,
Balchon K Rafeeq-E-Safar Hain,
Sipahi Kharabon Ko Tameer Karta Raha
Hai,
Mout:-
Zameen Jal Chuki Hai,
Sipahi:
Main Pehle Bhi Weeran Khiton Ko,
Zarkhaizian De Chuka Hon,
Mout:
Magar Ab Ye Mumkin Nahi Hai,
K Pani K Chashme Koonwain Aur
Nehrain,
Bamon Ki Laga Taar Barish Se Ab
Khushk,
Aur Benishan Ho Chuke Hain,
Dranti, Hathore, Salakhain Kadalon K
Phal,
Aur Hall Koya Sab Tere Aaozaar,
Hatiar Turr Murr Chuke Hain,
Sipahi:
Magar Ta Bake,
Main Sipahi Hon,
Gar Bakhat Ne Yavri Ki,
Aur Ek Bar Mere Qadam
Apne Shehron Mein Pohnche,
To Phir Se Ye Masmaar Ghar,
Manhedam Kaar Khane,
Jali Khaitian Aur Khamosh,
Bazar Youn Jee Uthain Gay,
K Jaise Kabhi Kuch Howa Hi Nahi Tha,
Mout:
Baja Par Ye Us Waqt Mumkin Hai,
Sipahi:
Lekin,
Mout:
Tehr Too Meri Bat Sun,
Ye To Us Waqt Mumkin Hai,
Jab Tere Bazo Salamat Hon,
Aur Jism Ka Koi Hisa Na Bekaar Ho,
Magar Aise Aalam Mein Bhi,
Teri Khush Fehmian Tujh Ko,
Behka Rahi Hain Halakat Ki,
Aandhi Tere Jism Ka Reza Reza,
Urane Ko Partolti Hai Abhi Waqt Hai
Soch Le,
Sipahi:
Thandi Aah Bharte Howe Apne Ap Se,
To Kia Koi Qowat Aisi Nahi Hai,
K Jo Mout K Za'am-O-Pandaar Kar De,
Koi Aisi Sorat Nahi Jis Se Main,
Qala-E-Marg Ko Manehdam Kar Sakon,
Nahi Aaj Tak Mout Par Kis Ko Qudrat
Mili,
Agar Youn Hi Hota Raha Hai,
To Phir Kion Na Main Khud Ko Us K,
Hawale Hi Kar Don,
Kusha Kash Ka Hasil?
Faqt Nazaa Ka Tool Aur Phir,
Hazeemat Shikast-E-Nafs
(Mout Ki Taraf Dekhte Howe)
Mout:
Main Sirf Ek Shart Par Zindagi Ki,
Mata-E-Garaan Tere Qabze Mein,
Dene Ko Tiyar Hon,
Mout:
Shart....!
(Qehqa Lagati Hai)
Bhala Mout Se Bhi Kisi Ne Koi Shart
Manwai Hai?
Sipahi:
Janta Hon K Main Dosron Se Behtar Nahi
Hon,
Agar Aaj Tak Koi Tujh Se Na Jeeta,
To Mujh Ko Bhi Marne Mein Phir Uzar
Kion Ho,
Magar Dushman-E-Zindagi Sirf Ek Shart
Par,
Mout:
Kon Si Shart,?
Sipahi:
Bas Ye K Jab Jang Ka Khatma Ho To,
Ek Roz K Waste Too Mujhe Chor De Gi,
Bas Ek Roz K Waste,
Ta K Main Apne Ghazi Rafeeqon Ki,
Saf Mein Khara Fatha K Geet Gaon,
Zafar Mand Parcham Khile To,
Salami Ki Taqreeb Mein Dosre Janisaron
K,
Humrah Main Bhi Khara Hon,
Mere Kaan Bhi Youm-E-Nusram Ki,
Topon Ki Goonjar Se Goonj Uthein Gay,
Aur Us Waqt,
Jab Fatha-O-Nusrat K Naghmat Se,
Sar Zameen-E-Watan Ki Fiza Raqs Mein
Ho,
Main Ujlat Se Ghar Ja K Dekhon,
Wo Mehboob Chehre,
Jo Mere Liye Apni Aankhon Mein,
Khushion K Aanso To Hathon Mein,
Phoolon K Kanthe Liye Raston Par,
Mere Muntazir Hon Mere Gaon Wale,
Mere Yar Ahbab Mujh Ko,
Zafar Mand Parcham Ki Manid Utha Lein,
Aur Main Un K Is Khair Maqdam Ko,
Maghroor Aankhon Ki Chup Muskrahat,
Se Dekhon Faqt Is Qadar,
Aaye Meri Muskrahat Ki Dushman...!
Mout:
Nahi Teri Ye Shart Na Qabil-E-Aitna Hai,
Sipahi:
To Phir Baiswa...!
Door Ho Main Sipahi Hon,
Aur Zindagi Ki Chamakti Damakti Hoi,
Aag Mere Badan Mein Abhi Hai,
Main Zinda Hon,
Zinda Rahon Ga,
Mout:
Magar Kab Talak,
Sipahi:
Jab Talak Meri Awaz Mei
Mera Dil Dharkta Rahe Ga,
Mout:
Magar Tabke,
Sipahi:
Taabke...?
jab Talak Ye Mera Yakh Zada Jism,
In Aasmano Ki Manid Neela Na Ho Jaye,
Main Is Pahari Ki Choti Pe Dam Toor
Don Ga,
Magar Tere Aage Na Har Giz Jhukon Ga,
Ye Mumkin Nahi Hai,
K Main Tere Aage Super Daal Don,
Mout:
Hosla....!
Hosla....!
Aaye Sipahi Ye Jazbatiat Be Asar Aur
Abas Hai,
Agar Mujh Too Haar Tasleem Kar Le,
To Ye Zindagi K Usi Zabte Hi Ki Taa'eed
Ho Gi,
Jo Azal Se Abad Tak Raha Hai,
Rahe Ga,
Na Is Se Ziada Na Kamtar,
Na Is Se Ziada Na Kamtar,
(Qadmon Ki Chaap Sunai Dene Lagti Hai
Kuch Door Sipahion K Chehre Jin Mein Se
Aik Kandhe Par Barf Hatane Wala Kadaal
Aur Dosre K Kandhe Par Teh Kia
Astrechar Dhara Hai.)
Sipahi:
Tehr.....!
Mere Rafeeqon K Qadmon Ki Manoos
Awaz,
Meri Taraf Barh Rahi Hai Ajab Kia K,
Ye Zakhmion K Tajasus Mein Hi Aa Rahe
Hon,
Mout:
Kahan Bewaqoof,
Sipahi:
Us Taraf,
Mout:
(Deewana Waar Hansti Hai Qadmon Ki
Chaap Qareeb Tar Aa Jati Hai)
Baole Ye Jamat To Wo Hai Jo Lashain
Thikane Lagati Hai,
Sun To...!
(Kadaalon Aur Belchon K Kharakne Ki
Awaz)
Ye Tere Darmaan Nahi Gorkan Hain,
Sipahi:
Wo Kuch Bhi Hon Zinda To Hain,
Aur Zindon K Dushman Nahi,
Ye Mere Sheir Dil Hum Watan Hain,
(Camra Bulandi Se Ghati Par Markooz
Hota Hai)
Pehla Sipahi:
Bahut Thak Gaye,
Is Pahari Pe Charhna Ghazab Tha,
Dosra Sipahi:
Yahan Chand Sanson Ko Sastane K Bad
Aage,
Barhain Gay K Ab Aur Chalne Ki Taqat
Nahi Hai,
Pehla Sipahi:
Thakan Se Meri Hadian Reza Reza Hoi Ja
Rahi Hain,
Pehla:
Tere Pas Khane Ko Hai Kuch?
Dosra:
Kahan... Chand Cigrate Bache Hain....
Agar Tum......
Pehla:
Ghanimat Hai Ye Bhi....
Qayamat Ki Sardi Hai....
Dosra:
Chaye (Tea) Pio Gay?
Obalti Hoi Chaye Pe Balai Ki Teh,
Jami Ho To Kaisi Rahe Gi,
Pehla:
Chalo Ek Piyala.
Nahi Do Sahi,
Dosra:
Yahan Kon Zakhmi Mile Ga?
(Dono Hanste Hain)
Pehla:
Taswor Ki Jado Gari Khoob Hai,
Doosra:
Haan Khayali Pulao Ki Khushbo Se Bhi,
Kuch Tassali Ho Hai,
(Sipahi K Karahne Ki Awaz Aati Hai)
Sipahi:
Main Zinda Hon.
Zinda Hon,
Is Bad Nafs Ko Mere Samne Se Hatao,
Ye Zalim Churail Apne Bazo Pasare,
Na Maloom Kab Se Meri Ghaat Mein Hai,
Main Zinda Hon,
Zinda Hon Mujh Ko Bacha Lo,
Pehla Sipahi:
Suno Jaise Koi Yehein Pas Hi Ho,
Dosra Sipahi:
Tera Wahma Hai Yahan K0n Ho Ga,
Sipahi:
Mere Pas Aao Rafeeqo,
Mere Sar Pe Be Haya Gidh Ki Manid
Manla Rahi Hai,
Pehla Sipahi:
Suni Tum Ne Awaz...?
Dosra Sipahi:
Han Wo......
Udhar ....
Barf Mein Dafan Laash,
Pehla Sipahi:
Chalo,
Belcha Lo Wo Zinda Hai,
Dosra Sipahi:
Hairat Agar Is Jaga Laash Hoti To Main,
Itna Hairan Na Hota Magar Aik Zinda
Sipahi,
Yahan Mojza Hai,
Pehla Sipahi:
To Jaldi Karo Rat Hone Ko Hai,
(Dono Sipahi Zakhmi Sipahi K Qareeb Aa
Jate Hain)
Dosra Sipahi:
(Choote Howe)
Waqi Is Mein Jaan Hai Abhi,
Suno Tum Mein Itni Sakkat Hai,
K Is Ko Utha Kar Hum Apne Thikane,
Talak Ja Sakein,
Pehla Sipahi:
Agar Chay Thakan Se Meri Hadian
Karkarane Lagi Hain,
Magar Is Sipahi Ko Dast-E-Ajal Se,
Bachana Muqadam Hai,
Aao Isay Hath Dein,
Doosra Sipahi:
Acha Howa Hum Idhar Aa Gaye,
Warna Is Badoo Baraan K Toofan Mein,
Zakhmon Se Ghail Mujahid Bach Na
Sakta,
Shaheedon Ki Fehrist Mein Ye Bhi Hota,
Pehla Sipahi:
Bas Ab Waqt Zaya Na Karo,
Belche Se Tehain Barf Ki Tum Hatao,
Main Itne Mein Koi Dawa Dekhta Hon,
Doosra Sipahi:
Khudaya.............!
Zara Is K Yakh Jism Ko Choo K Dekho,
Pehla Sipahi:
Namaloom Ye Ab Talak Zinda Kaise
Bacha Hai,
Mout:
(Apne Aap Se)
Ye Kuch Bhi Karain Mere Chungal Se,
Is Ko Nahi Cheen Sakte,
Ye Nakhcheer Mera Hai,
Main Is Ko Jane Na Don Gi,
Ye Hamdard Do Chaar Sanso K Sathi,
Isay Raah Mein Phank Jain Gay Ya,
Khud Bhi Bhook Aur Thakan Hi Se,
Dam Torr Dein Gay,
Main In Ka Ta'aqub Karon Gi,
Ye Nakhcheer Mera Hai,
Mera Hai,
Mera Hai,
(Donon Sipahi Idhar Udhar Se Barf
Hatate Hain Aur Zakhmi Sipahi Ko Utha
Kar Kandhe Par Dalne Ki Koshish Karte
Hain Hawa Ka Shor Aur Barf Bari Ki
Shiddat Barh Jati Hai)
Pehla Sipahi:
Zara Hath Do Ta K Main Is Kandhe Pe
Aaram Se Daal Lon,
Sipahi Ka Humdard Sathi Sipahi Hi Hota
Hai,
Aao Zara Tum Idhar Se,
(Zakhmi Sipahi Karahta Hai)
Zakhmi Sipahi:
Mere Sathio Tum Ko Takleef Ho Gi,
Ye Rasta Andhera Hai Aur Pur Khatar
Hai,
Zara Dekh Kar........
Mera Kia Hai K Main To,
Faqat Chand Sanson Ka Mehman Hon....
Par Tumhare Liye Zindagi Ki Mah-O-Saal,
Bekaraan Wadian Hain,
Pehla Sipahi:
Nahi Tum Salamat Raho Gay,
Humare Watan K Sipahi K Ab Zindagi Se,
Aur Mahfooz Raste Pe Tum Gamzan Ho
Chuke Ho,
(Chalne Lagte Hain)
Zakhmi Sipahi:
Magar Zulmaton Se Sabhi Raste Dhak
Chuke Hain,
Ye Ghati Khatar Naak Hai,
Apni Janain Meri Zindagi K Liye Mat
Ganwao,
Dosra Sipahi:
Yehi Zindagi Hai,
Sipahi Hamaisha Sipahi Hi Rehta Hai,
Is K Liye Hi Khatar Naak Hi Raste Bane
Hain,
Humari Musarat Yehi Hai K Hum Tum Ko,
Zinda Salamat Gajar Dam Wahan Le
Chalein,
Jis Jaga Is Muqadas Zameen-E-Watan
K Zan-O-Mard Peero Jawaan,
Youm-E-Nusrat K Moqa Pe Ghazi
Sapoton Ko,
Fakhar-O-Aqeedat Se Dekhain Gay,
Topon Ki Goojar Mein Un Bahadur
Jawano Pe,
Takreem K Phool Barsain Gay,
Jo Jang Se Surkhuro Ho K Aaye,
Zakhmi Sipahi:
Mere Waste Is Se Barh Kar Koi Bhi,
Tamna Nahi Hai K Main Wahan Hon,
Magar Dosto Chand Lamhe Sasta Bhi Lo,
Tum Bahut Thak Chuke Ho,
Pehla Sipahi:
Thakan....?
Tum Humari Na Parwa Karo,
Aik Be Jan Lashe Ko Dogaam Bhi,
Khanchna Sakhat Aziat Hai,
Par Aik Zinda Sipahi Ko Kandhon Pe
Dale,
Agar Saikron Meel Ka Bhi Safar Ho To,
Kuch Bhi Nahi,
Doosra Sipahi:
Aur Sipahi Agar Youn Thake To Sipahi To
Nahi,
Pehla Sipahi:
Hawain Bahut Sard Hain Tumhare
Thatarte,
Howay Hath Uff Kis Qadar Yakh Zada
Hain,
Ye Dastane Lo,
Mere Hathon Mein Kafi Hararat Hai,
Zakhmi Sipahi:
Lekin....
Doosra Sipahi:
Suno....!
Ye Takaluf Ka Moqa Nahi,
Pehla Sipahi:
Bas Ye Dhalwan Ab Khatam Hone Ko Hai,
Aur Hum Apni Manzal K Nazdeek Aa
Chuke Hain,
Mout:
Ye Makhlooq Kaisi Hai,
Ek Doosre Se Inhain Kis Qadar Unas Hai,
Ye Mujhe Maat De Kar,
"USAY"
Mere Nakhcheer Ko Mujh Se Cheene Liye
Ja Rahe Hain,
Ye Kaise Sipahi Hain Kitne Nadar Hain,
K Main Thak Gai,
Aur Ye Ja Rahe Hain,
Mujhe Maat De Kar,
Mujhe Maat De Kar,
Mujhe Maat De Kar..........!
(Mout Moonh K Bal Gir Parti Hai)
END
                          Book
                    Shab Khoon

No comments:

Post a Comment