Sunday, 8 December 2013

Agar Sehra Se Guzro To Mere Sahir Se Keh Dena

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Agar Sehra Se Guzro To Mere Sahir Se Keh Dena,

Tumhari Besabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai,

Mere Sahir Se Keh Dena Musafir Aaj Tak Chup Hai,

K Us K Hath Mein Tum Ne Jo Apna Hath Rakha Tha,

Wo Ab Tak Yad Karta Hai,

Mere Sahir Se Keh Dena K Sadion Ki Musafat Ne,

Mere Pairon Se Bandhi Hai

Thakan Ab K Baras Itni,

K Apni Doobti Nabzon Se

Main Khaif Sa Rehta Hon,

Na Jane Kab Kahan Pe

Umar Ki Ye Dor Kat Jaye,

Main Apne Aur Tumhare Beech K In
Fasloon Ko,

Chand Sanson Ki Kami Se Haar Na Jaon,

Bisat-E-Jan Par Phaili Doorion K,

Bojh Ko Le Kar Yonhi Mar Jaon,

Mere Sahir Se Keh Dena K Us K Ishq K Tilsam Se,

Ab Tak Vo Nahi Nikle K Jin Ko Us Ki
Aankhon Ne,

Faqat Ek Bar Dekha Tha Mere Sahir Se Keh Dena,

K Sare Shehar Ko Mere Youn Hi Pathar Na Rehne De,

Mere Tilsam Kadon Mein Lout Kar Aaye,

K Wo Pathar Taraste Hain

Tumhari Chashm Ki Jumbish,

Unhain Ek Bar Phir Kar De

Kisi Zee Rooh Ki Manind,

Mere Sahir Se Keh Dena Bichar Kar Tum Jo Milte Thay,

To Youn Mehsoos Hota Tha K Jaise Marg K,

Dhundle Kinaron Tak Pahunchate Hi,

Adhoora Kaam Koi Zindagi Ko Yad Aa Jaye,

Mere Sahir Se Kaho Phir Se Chala Aaye,

K Us K Lout Aane Se Humari Doobti
Nabzoo Ko,

Phir Se Sans Aa Jaye,

Agar Sehra Se Guzro To

Mere Sahir Se Keh Dena,

Agar Jangle Se Guzro To

Mery Jugno Se Keh Dena,

Tumhari Be Sabab Doori

Mujhe Aksar Rulati Hai,

Meri Shamain Andheri Hain,

Meri Ratain Bhi Teri Hain,

Mere Sab Taaq Khali Hain,

Meri Aankhain Sawali Hain,

Mere Jugno Se Keh Dena

Mohabbat Aaj Tak Chup Hai,

K Is K Hath Mein Us Ne Jo Dehka Dagh Rakha Tha,

Wo Ab Tak Bat Karta Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Mere Jazbon Ne Rahon Mein,

Mohrain Rook Rakhi Hain,

Inhain Izn-E-Safar De Do,

Inhain Dil Se Guzarne Do,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Meri Aankhon Ko Qum Keh Do,

Ye Umron Se Youn Hi Bejan Hain,

Khawabon K Madfan Mein,

Inhain Phir Se Jila De Do,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Ghamon Ne Raag Charha Hai,

Aziyat Raqs Karti Hai,

Meri Tanhai Ka Charcha

Daron-E-Zaat Phaila Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena

Faqat Us Ki Kami Ne,

Zindagi Mein Sog Rakha Hai,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Kion Jungle Mein Bhatakta Hai,

Kion Khud Ko Rok Rakha Hai,

Tumhari Be Sabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai,

Agar Jungle Se Guzro To,

Mere Jugno Se Keh Dena,

Agar Sehra Se Guzro To,

Mere Sahir Se Keh Dena,
Mere Sahir Se Keh Dena...........!'

No comments:

Post a Comment