Poetess Parveen Shakir
Type By
*.___HIJAR___.*
Chehra Mera Tha Nigahain Us Ki,
Khamshi Mein Bhi Wo Batain Us Ki,
Mere Chehre Pe Ghazal Likhti Gain,
Sheir Kehti Hoi Aankhain Us Ki,
Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagain
Taiz Hoti Hoi Saansain Us Ki,
Aise Mosam Bhi Guzare Hum Ne,
Subhain Jab Apni Thein Shamain Us Ki,
Dehan Mein Us K Ye Aalam Tha Kabhi,
Aankhain Mehtab K Yadain Us Ki,
Rang Joinda Wo Aaye To Sahi!
Phool To Phool Hain Shakhain Us Ki,
Faisla Moj-E-Hawa Ne Likha!
Aandhian Meri, Baharain Us Ki
Khud Pe Bhi Khulti Na Ho Jis Ki Nazar,
Janta Kon Zabanain Us Ki,
Neend Is Soch Se Tooti Aksar,
Kis Tarha Kat'ti Hain Ratain Us Ki,
Door Rah Kar Bhi Sada Rehti Hain
Mujh Ko Thamay Howe Bahein Us
Ki.................!
No comments:
Post a Comment