Sunday, 8 December 2013

December Ka Koi Yakh Basta Din Tha

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.__HIJJAR__.*

December Ka Koi Yakh Basta Din Tha,
Main Eourap K Nihayat Door Afada Ilaqe Ki,
Kisi Weeran Tairaan Gaa Mein,
Bilkul Akeli Bench Par Bethi Thi,
Ilan-E-Safar Ki Muntazir Thi,
Jahan Tak Aankh Sheeshe K Udhar Jati,
Udasi Se Gale Milti,
Musalsal Barf Baari Ho Rahi Thi,
Achanak Main Ne Apne Se Mukhatib,
Bahut Manoos Ek Awaz Dekhi,
Aap Kaisi Hain...?
Akeli Hain....?
Ghane Baalon Chamakti Bhoori Aankhon,
Dilnasheen Baton Se Pur,
Wo Pur Kashish Larka Kahan Hai...?
Aap Dono Sath Kitne Ache Lagte Thay,
Mere Chehre Pe Ek Saya Sa Lehraya Tha
Shayad,
Wo Aage Kuch Nahi Bola,
Mera Dil Dukh Se Kaisa Bhar Gia Tha,
Magar Teh Mein Khushi Ki Lehar Bhi Thi,
Purane Log Abhi Bhoole Nahi Hum Ko,
Humain Bichre Agar Chay,
Aaj Sola(16) Saal To Hone Ko Aaye........!

No comments:

Post a Comment