Sunday, 8 December 2013

Dushman Hai Aur Sath Rahe Jan Ki Tarha

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Dushman Hai Aur Sath Rahe Jan Ki
Tarha,

Mujh Mein Utar Gia Hai Wo Sartaan Ki
Tarha,

Jakre Howe Hai Tan Ko Mere Us Ki Aarzo,

Phaila Howa Hai Jaal Sa Sharyan Ki
Tarha,

Deewar-O-Dar Ne Jis K Liye HIJAR Kaate
Thay,

Aaya Tha Chand Roz Ko Mehman Ki
Tarha,

Dukh Ki Rutton Mein Pair Ne Tanha
Safar Kia,

Patton Ko Pehle Bhaj K Saman Ki Tarha,

Gehre Khunak Andhaire Mein Ujle
Takalufaat,

Ghar Ki Fiza Bhi Ho Gai Sheezan Ki
Tarha,

Dooba Howa Hai Husn-E-Sukhan Mein
Sakoot-E-Shab,

Taar-E-Rubab-E-Rooh Mein Kalian Ki
Tarha,

Aahang K Jamal Mein Anjeel Ki Dua,

Narmi Mein Apni Sora-E-Rahman Ki
Tarha................!

                          Book
             Mera Shehr-E-Sukhan

No comments:

Post a Comment