Sunday, 8 December 2013

Kia Kia Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye

Poetess Parveen Shakir

Type By
*.___HIJAR___.*

Kia Kia Na Khawab Hijar K Mosam Mein
Kho Gaye,

Hum Jagte Rahe Thay Magar Bakht So
Gaye,

Us Ne Payam Bheje To Raste Mein Reh
Gaye,

Hum Ne Jo Khat Likhe Wo Hawa Burd Ho
Gaye,

Main Shehr-E-Gul Mein Zakham Ka
Chehra Kise Dekhaon,

Shabnam Badast Log To Kante Chibo
Gaye,

Aanchal Mein Phool Le K Kahan Ja Rahi
Hon Main,

Jo Aane Wale Log Thay Wo Log To Gaye,

Kia Janiye Ufaq K Udhar Kia Talsam Hai,

Loute Nahi Zameen Pe Ek Bar Jo Gaye,

Jaise Badan Se Qos-E-Qazah Phootne
Lagi,

Barish K Hath Phool K Sab Zakham Dho
Gaye,

Aankhon Mein Dheere Dheere Utar K
Purane Gham,

Palkon Mein Nanhe Nanhe Satare Paro
Gaye,

Wo Bachpane K Neend To Ab Khawab Ho
Gai,

Kia Umar Thi K Rat Hoi Aur So Gaye!
Kia Dukh Thay Kon Jan Sake Ga Nigar-E-
Shab,

Jo Mere Aur Tere Dopatte Bigo
Gaye............!

No comments:

Post a Comment