Sunday 8 December 2013

Pocha jo hall to muskra k ro pari

Poetess Parveen Shakir

Pocha Jo Hall To Muskura K Ro Pari

Apna Hath Mere Hath Main Thama K Ro
Pari

Wo Nadan Bholi Si Larki Nahi Janti Kia
Hai

Us Ka Roop Saroop Kundan Nahi To Kia
Hai

Us Ko Nahi Khabr K Us Ki Nahi Misal
Deshat Ka Husn Bhi Us K Aagay Kia Hai

Wo Apna Paak Daman Nechor De To
Hoorain

Hasool-E-Aab Ki Khatir Na Lar Parin To
Aur Kia Hai

Wo Ghar K Kisi Kone Mein Gum Sum
Simti Bethi Hai

Us Ko Nahi Khabr K Haqeeqat Aur Kia
Hai

Us Ki Ada Aisi Hai K Mosam Badal K Rakh
De

Wo Hanste Hanste Ro De Koi Poche
Akhir Kia Hai

Sharmeeli To Aisi K Khud Se Bhi Sharma
Jaye

Pallo Daba K Munh Mein Ghabra K Bole
Kia Haia

Us Ko Kahein Pari To Uski Toheen Ho Gi

Par Pariyan Chehek Uthain Gi Wah Un Ka
Naseeb Kia Hai,

Sera To Aisi Hai ke Qurban ho Jay Har
Shakhs,

Ya Mere Khuda Us Par Inaam Nahi To
Kia Hai,

Ye Haqeeqat Hai K Tarq-E-Deeda-E-Zan
Se Horain Mile Gi,

Wo Samne Aaye To Horon Ki Talab Hai
Kia.............!

===============
Typed Arosa Eman
===============

No comments:

Post a Comment