Poet Ahmad Faraz
Type By
*.___HIJAR___.*
Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqadar Sakht Tar Nikla,
Para Hai Wasta Jis Se Wohi Zair-O-Zabar Nikla,
Sabaq Deta Raha Mujh ko Sada Roshan Khayali Ka,
Usay Jab Paas Se Dekha To Khud Bhi Tang Nazar Nikla,
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahe Thay Hum,
Usay Jab Choo K Dekha To Faqat Khaki Bashar Nikla,
Mohabbat Ka Nasha Utra To Tab Sabit Howa Mujh Ko,
FARAZ
Jise Manzal Samajhte Thay Wo Be Maqsad Safar Nikla................!
No comments:
Post a Comment