Sunday 8 December 2013

Teri Khushbo Ka Pata Karti Hai

Poetess Parveen Shakir

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Teri Khushbo Ka Pata Karti Hai.

Mujh Pe Ehsaan Hawaa Karti Hai.

Choop Kar Phol Ko Aahesta Se.

Moojza Bad-E-Saba Karti Hai.

Khol Kar Band Qaba Gul K.

Aaj Khushbo Ko Riha Karti Hai.

Abar Barse To inayat Us Ki

Shakh To Sirf Dua Karti Hai.

Zindagi Pher Se Faza Mein Roshan.

Mashal-E-Barg Hina Karti Hai.

Hum Ne Dekhi Hai Wo Ujli Sa-at.

Raat Ja Shaair Kaha Karti Hai.

Shab Ki Tanhai Mein Ab To Aksar.

Guftago Tujh Se Raha Karti Hai.

Dil Ko Us Rah Pe Chalna Hi Nahi.

Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai.

Zindagi Meri Thi Lekin Ab To.

Tere Kehne Mein Raha Karti Hai.

Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh.

Dil Ka Ehwaal Kaha Karti Hai,

Masaf Dil Pe Ajab Rangon Mein.

Aik Tasveer Bana Karti Hai.

Be Niyaaz Kafa-E-Daria Angshat.

Rait Par Naam Lekha Karti Hai.

Dekh To Aan K Chehra Mera.

Eik Nazar Bhi teri Kia Karti Hai.

Zindagi Bhar Ki Ye Takhir Apni.

Ranjh Milne Ka Sawa Karti Hai.

Shaam Parrte Hi Kaisi Shakhs Ki Yaad.

Kucha Jaan Mein Sada Karti Hai

Masla Jab Bhi Charghon Ka Utha.

Fesla Sirf Hawa Karti Hai.

Mujh Se Bhi Us Ka Hai Wesa Hi Salook.

Haal Jo Tere Anna Karti Hai.

Dukh Hawa Karta Hai Kuch Aur Bayaan.

Baat Kuch Aur Hawa Karti Hai.......!

                   Book : INKAAR

No comments:

Post a Comment