Poetess Parveen Shakir
Type By
*. ___HIJAR___.*
Teri Khushbo Ka Pata Karti Hai,
Mujh Pe Ahsan Hawa Karti Hai,
Choom Kar Phool Ko Ahista Se,
Mojza Bad-E-Saba Karti Hai,
Aaj Khushbo Ko Reha Karti Hai,
Abar Abar Se To Anayat Us Ki,
Shakh To Sirf Dua Karti Hai,
Zindagi Phir Se Fiza Mein Roshan,
Mashal-E-Barg-E-Hina Karti Hai,
Hum Ne Dekhi Hai Wo Ujli Sa'at,
Rat Jab Sheir Kaha Karti Hai,
Shab Ki Tanhai Mein Ab To Aksar,
Guftago Tujh Se Raha Karti Hai,
Dil Ko Us Rah Pe Chalna Hi Nahi,
Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai,
Zindagi Meri Thi Lekin Ab To,
Tere Kehne Mein Raha Karti Hai,
Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh,
Dil Ka Ahwal Kaha Karti Hai,
Mashaf-E-Dil Pe Ajab Rangon Mein,
Aik Tasweer Bana Karti Hai,
Beniaz-E-Kaf-E-Daria Angasht,
Reit Par Naam Likha Karti Hai,
Dekh To Aan K Chehra Mera,
Ek Nazar Bhi Teri Kia Karti Hai,
Zindagi Bhar Ki Ye Takheer Apni,
Ranj Milne Ka Sawa Karti Hai,
Sham Parte Hi Kisi Shakhs Ki Yad,
Koocha-E-Jaaan Mein Sadaa Karti Hai,
Masla Jab Bhi Charaghon Ka Utha,
Faisla Sirf Hawaa Karti Hai,
Mujh Se Bhi Us Ka Hai Waisa Hi Salook,
Haal Jo Tera Anaa Karti Hai,
Dukh Howa Karta Hai Kuch Aur Bayaan,
Bat Kuch Aur Howa Karti
Hai....................!
Book
Mera Shehr Sukhan
No comments:
Post a Comment