Poetess Parveen Shakir
Type By
*.___HIJAR___.*
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha
Tera Khayal Bhi,
Dil Ko Khushi K Sath Sath Hota Raha
Malaal Bhi,
Bat Wo Aadhi Rat Ki Rat Wo Poore
Chand Ki,
Chand Bhi Ain Cheet Ka Us Pe Tera Jamal
Bhi,
Sab Se Nazar Bacha K Wo Mujh Ko Kuch
Aise Dekhta,
Aik Dafa To Ruk Gai Gardis-E-Maah-O-
Saal Bhi,
Dil To Chamak Sake Ga Kia Phir Bhi
Tarsh K Dekh Lein,
Sheesha Giran-E-Shehr K Hath Ka Ye
Kamal Bhi,
Us Ko Na Pa Sake Thay Jab Dil Ka Ajeeb
Haal Tha,
Ab Jo Palat K Dekhiye Bat Thi Kuch
Mahaal Bhi,
Meri Talab Tha Aik Shakhs Wo Jo Nahi
Mila To Phir,
Hath Dua Se Youn Gira Bhool Gia Sawal
Bhi,
Us Ki Sukhan Tarzian Mere Liye Bhi Dhal
Thein,
Us Ki Hansi Mein Chup Gia Apne Ghamon
Ka Haal Bhi,
Gaah Qareeb-E-Shah Rag Gaah Baeed-E-
Weham-E-Khawab,
Us Ki Rafaqaton Mein Rat Hijar Bhi Tha
Wisaal Bhi,
Us K Hi Bazo'on Mein Aur Us Ko Hi
Sochte Rahe,
Sham Ki Na Samjh Hawa Pooch Rahi Ek
Pata,
Moj-E-Hawa-E-Koo-E-Yar Kuch To Mera
Khayal Bhi..................!
No comments:
Post a Comment