Poetess Parveen Shakir
Type By
*.___HIJAR___.*
Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab
Na Ho,
Sawal Karne Dia Jaye Aur Jawab Na Ho,
Agar Khaloos Ki Dolat K Goshware
Banein,
To Sheir Bhar Mein Koi Shab-E-Nasaab
Na Ho,
Zameen Apni Mohabbat Mein Begharz To
Nahi,
Ye Aur Bat K Har Hath Ka Hisab Na Ho,
Charagh Taaq-e-Tamana Main Rakh K
Bhool Gai,
Dua Wo Mang Rahe Thay Jo Mustajab Na
Ho,
Kabhi Na Tang Ho Us Par Zameen Ka
Daman,
Ameer-E-Sheir Agar Aasman Janab Na
Ho,
Humare Qeht Bhi Aur Barshain Bhi Poori
Hoi,
Hamare Naam Ka Ab To Koi Azab Na Ho,
Ye Chashm-E-Nam Hai Isay Khushk Dekh
Bhal K Kar,
Hari Bhari Koi Basti Hi Zair Aab Na Ho,
Bas Ek Naam Ka Tara Sada Chamakta
Rahe,
Gila Nahi Jo Muqdar Mein Mahtab Na
Ho....................!
No comments:
Post a Comment