Poetess Noshi Gilani
Type By
*.___HIJAR___.*
Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain,
Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain,
Humain Bhi Rukhsat Ki Rasam Kuch To Banana Thi,
Tumhari Aankhon Mein Aaye Pani Se Dar Gaye Hain,
Ye Tere Jitne Fiza Mein Aa Kar Tehr Gaye Hain,
Kisi Parinde Ki Be Zabani Se Dar Gaye Hain,
Unhein Bhi Daria Mein Apni Kashti Utarna Thi,
Jo Log Lehron Ki Sar Garani Se Dar Gaye Hain,
Ye Hum Jo Shehr-E-Wafa Mein Gum Sum Khare Howay Hain,
Phir Aik Taza Ghalat Biyani Se Dar Gaye Hain,
Abhi To Dil Ko Udas Karti Nahi Hain Shaamein,
Humain Bhi Sahil Pe Geet Likhna Thay Sipion Se,
Magar Hawaon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain...........!
Page 17 To 18
Mazeed Poetry K Liye
Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002
No comments:
Post a Comment