Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Kal Hum Ne Bazam-E-Yaar Mein Kia Kia Sharab Pee.
Sehera Ki Tashnagi Thi So Daria Sharab Pi.
Apno Ne Tej Dia Hai To Gheron Mein Ja K Betha.
Aye Khanmaan Kharab Na Tanha Sharab Pi.
Too Hum Safr Nahi Hai To Kia Seer-E-Gulistaan.
Too Hum Saboo Nahi Hai To Pher Kia Sharab Pi.
Aye Dil Garfta Gham-E-Jaana Saboo Utha.
Aye Kashta Jafaye Zamana Sharab Pi.
Do Suraten Hain Chara Dard-E-Faraq Ki.
Ya Us K Gham Mein Toot K Roya Sharab Pi.
Eik Mehrbaan Buzarag Ne Ye Mashwara Dia.
Dukh Ka Koi illaj Nahi Ja Sharab Pi.
Badal Garaj Raha Tha Udhar, Muhtasab idhar.
Pher Jab Talak Ye Aqadh Na Suljha
Sharab Pee,
Aye Too K Tere Dar Pe Hain Rindon K Jhmghate.
Eik Rooz is Faqeer K Ghar Aa Sharab Pi.
Do Jaam in K Naam Bhi Aye Peer-E-
Mekada.
Jin Raftagaan K Sath Humesha Sharab Pi.
Kal Hum Se Apna Yaar Khafa Ho Gia
FARAZ.
Shayad K Hum Ne Had Se Zada Sharab Pi..........!
Book:
Ghazal Baha Na Karo
No comments:
Post a Comment