Thursday 30 January 2014

Sara Shehr Balakta Hai Phir Bhi Kaisa Sakta Hai

Poet: Ahmad Faraz

Type By
*._Ayaz Khan_.*

Sara Shehr Balakta Hai.

Phir Bhi Kaisa Sakta Hai.

Har Koi Tasveer Numa.

Door Khala Mein Takta Hai.

Galion Mein Barood Ki Boo.

Ya Phir Khoon Mehekta Hai.

Sab K Bazo Yakh Basta.

Sab Ka Jisam Dehakta Hai.

Aik Safar Wo Hai Jis Mein.

Paon Nahi Dil Thakta Hai.

Tera Bichrna Jaan-E-Ghazal.

Shehr-E-Ghazal Ka Mqta Hai...........!

                          Book:
     Be Aawaaz Galli Koochon Mein

No comments:

Post a Comment