Friday, 28 February 2014

Main Pal Do Pal Ka Shair Hon

Pal Do Pal Meri Kahani Hai

Poet Sahir Ludhianvi

Type By
*.___HIJAR___.*

Main Pal Do Pal Ka Shair Hon

Pal Do Pal Meri Kahani Hai,

Pal Do Pal Meri Hasti Hai Pal Do Pal Meri Jawani Hai,

Mujh Se Pehle Kitne Shair Aaye Aur Aa Kar Chale Gaye,

Kuch Aahein Bhar Kar Lout Gaye,

Kuch Naghme Ga Kar Chale Gaye,

Wo Bhi Ek Pal Ka Qisa Thay,

Main Bhi Ek Pal Ka Qissa Hon,

Kal Tum Se Juda Ho Jaon Ga,

Go Aaj Tumhara Hissa Hon,

Pal Do Pal Mein Kuch Paya Itni Hi Sa'adat Kafi Hai,

Pal Do Pal Tum Ne Mujh Suna Itni Hi Anayat Kafi Hai,

Kal Aur Aain Gay Naghmon Ki,

Khilti Kalian Chunne Wale,

Mujh Se Behtar Kehne Wale,

Tum Se Behtar Sunne Wale,

Har Nasal Ek Fasal Hai Dharti Ki,

Aaj Ugti Hai Kal Katti Hai,

Jeewan Wo Mehngi Madar Hai,

Jo Qatra Qatra Batti Hai,

Sagar Se Ubhri Lehar Hon Main,

Sagar Mein Phir Kho Jaon Ga,

Matti Ki Rooh Ka Sapna Hon,

Matti Mein Phir So Jaon Ga,

Kal Koi Mujh Ko Yad Kare Kion Mujh Ko Yad Kare,

Masroof Zamana Mere Liye,

Kion Waqt Apna Barbad Kare..................!

Page 246 To 247

Mazeed Poetry Rcv Karne K Type Kijiye

Follow *.___HIJAR___.*
Send to 8002

1 comment: