Monday 3 February 2014

Mazaron Par Mohabbat Ja Widani Sun Rahe Thay Kabootar Keh Rahe Thay Hum Kahani Sun Rahe Thay

Poetess Noshi Gilani

Type By
*.___HIJAR___.*

Mazaron Par Mohabbat Ja Widani Sun Rahe Thay,

Kabootar Keh Rahe Thay Hum Kahani Sun Rahe Thay,

Meri Guria Tere Jugno Humari Maaon K Gham,

Hum Ek Dooje Se Bachpan Ki Kahani Sun Rahe Thay,

Kabhi Sehra K Seene Par Bikharta Hai To Kaise,

Sunehre Geet Gata Hai Ye Pani Sun Rahe Thay,

Guzarti Umar K Har Aik Lamhe Ki Zabani,

Mohabbat Raigani..! Raigani Sun Rahe Thay,

Mijaz-E-Yar Se Itni Shanasai Ghazab Thi,

Hum Us Ki Guftago Mein Be Dhehani Sun Rahe Thay,

Wafa K Shehr Mein Ek Sham Thi Khamosh Bethi,

Hum Us Mein Bhi Kamal-E-Khus Bayani Sun Rahe Thay,

Dua-E-Aakhir Shab Aasman Ko Choo Rahi Thi,

Naveed-E-Roshni Us Ki Zabani Sun Rahe Thay,

Wo Bache Sham Ki Chopal Mein Bethe Howay,

Hatheli Par Rakhe Pholon Pe Jo Aanso Gire Thay,

Unhi Se Koi Izn-E-Hukmarani Sun Rahe Thay....!

Page 33 To 34

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002

No comments:

Post a Comment