Tuesday, 18 February 2014

Tor Lein Gay Har Ek Shaye Se Rishta Tor Dene Ki Nobat To Aaye

Poet Sahar Ludhianvi

Type By
*.___HIJAR___.*

Tor Lein Gay Har Ek Shaye Se Rishta,

Tor Dene Ki Nobat To Aaye,

Hum QaYamat K Khud Muntazir Hai,

Par Kisi Din QaYamat To Aaye,

Hum Bhi Saqrat Hain Ehd-E-Nao K,

Tishna Lab Hi Na Mar Jain Yaro,

Zehr Ho Ya Maye Aatishein Ho,

Koi Jaam-E-Shahadat To Aaye,

Aik Tehzeeb Hai Dosti Ki,

Aik MaYar Hai Dushmani Ka,

Doston Ne Murawat Na Seekhi,

Dushmano Ko Adawat To Aaye,

Rimz Raste Mein Aankhain Bichain,

Jo Kahe Bin Sune Maan Jain,

Na Seh Neik Tuniat Kisi Shab,

Soo-E-Koo-E-Mulamat To Aaye,

Ilm-O-Tehzeeb Tareekh-O-Mantaq,

Log Sochein Gay In Maslon Par,

Zindagi K Mushaqat Kadde Mein,

Koi Ehd-E-Faraghat To Aaye,

Kanp Uthein Qasar-E-Shahi K Gunbad,

Thar Tharaye Zameen Ma'abdon Ki,

Koocha-E-Gardon Ki Wehshat,

To Jage Ghamzadon Ko Baghawat To Aaye.........!

Page 245,46

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002

No comments:

Post a Comment