Wednesday, 12 February 2014

Zahir Mein Gar Cheh Jism Mera Be Kharash Hai

Poet Wasif Ali Wasif

Type By
*.___HIJAR___.*

Zahir Mein Gar Cheh Jism Mera Be Kharash Hai,

Ahsas Ka Wajood Magar Qaash Qaash Hai,

Teri Nazar Hai Matla-E-Anwaar-E-Subha Par,

Meri Nazar Mein Doobte Soraj Ki Lash Hai,

Aawaz De K Aap To Khamosh Ho Gaye,

Mere Laho Mein Ab Bhi Wohi Irta'ash Hai,

Tehre Samandron Ki Tarha Tum Ho Be Talab,

Aab-E-Rawaan Hon Mujh Ko Tumhari Talash Hai,

Sang-E-Khizan Se Dast-E-Saba Ne Lia Hai Kaam,

Aaina-E-Jamal-E-Paash Paash Hai,

Insaniat Ki Mout Hai Wo Dor-E-Iqtadar,

Jis Dor Mein Saheefa-E-Fitrat Narash Hai,

WASIF Ye Kis Maqam Pe LaYa Hai Mujhe Janoon,

Ab Un Ki Justajoo Hai Na Apni Talash Hai.................!

Page 128

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.__HIJJAR__.*
send 8002

No comments:

Post a Comment