Thursday 17 July 2014

Mujh Se Door Ho Kar Ek Gaon Ki Larki Is Bar Eid Par Apne Hont Laho Se Lal Kare Gi


Poet Kashif Nadeem

Type By
*.___HIJAR___.*

Bikhri Bikhri Zulfon K Sath,

Wo Albeli Kia Eid Kare Gi,

Roti Aankhain Liye Wo Haseena,

Kia Khushi Manaye Gi,

Piyase Sehra Se Hain Jis K Rukhsar,

Wo Kia Hans K Eid Mubark Kahe Gi?

Mujh Se Door Ho Kar Ek Gaon Ki Larki,


Is Bar Eid Par Apne Hont Laho Se Lal Kare Gi,

Kaan K Bunde Naak Ki Nathli,

Kaise Wo Seengar Kare Gi?

Sooni Kalai Rang-E-Hina Ko KASHIF,

Tarste Hath Liye Wo Gori Bhala Kia Eid Kare Gi............!

Mazeed Poetry K Liye

Follow HIJJAR
Send 8002

No comments:

Post a Comment