Monday 29 September 2014

Is Qadar Musalsal Thein Shiddatain Judai Ki,

Is Qadar Musalsal Thein Shiddatain Judai Ki

Poet Ahmad Faraz

Type By

*.___HIJAR___.*

Is Qadar Musalsal Thein Shiddatain Judai Ki,

Aaj Pheli Bar Us Se Main Ne Bewafai Ki,

Warna Ab Talak Youn Tha Khawahishon Ki Barish Mein,

Ya To Toot Kar Roya Ya Ghazal Sarai Ki,

Taj Dia Tha Kal Jin Ko Hum Ne Teri Chahat Mein,

Aaj Un Se Majbooran Taza Aashnai Ki,

Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaf Apne Aap Se,

Too Ne Kis Ghari Zalim Meri Hum Nawai Ki?

Tark Kar Chuke Qasid Koo-E-Na Muradaan Ko,

Kon Ab Khabar Laye Shehr-E-Aashnai Ki ?

Tanz-o-Tana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha K,

Aap Se Koi Pooche Hum Ne Kia Burai Ki ?

Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidion Ka Aur Saiyad,

Dekhna Ura De Ga Phir Khabar Rihai Ki,

Dukh Howa Jab Us Dar Pe Kal Faraz Ko Dekha,

Laakh Aib Thay Us Mein Khoo Na Thi Gadai Ki................!

Mazeed Poetry K Liye

Follow *.___HIJAR___.*

send 8001

No comments:

Post a Comment