Wednesday 22 October 2014

Mohabbat Hath Mein Pehni Chori Ki Tarha Hai

Khanakti Hai Sanwarti Hai Aur Aakhir Toot Jati Hai Complete Poem

Poet Kashif Nadeem

Type By
*.__Ayaz_Khan__.*

Mohabbat Hath Mein Pehni Chori Ki Tarha Hai

Khanakti Hai Sanwarti Hai Aur Aakhir Toot Jati Hai

Mohabbat Nadan Na Samjh Masoom Bache Ki Tarha Hai,

Hansati Hai Rulati Hai Aur Aakhir Rooth Jati Hai,

Mohabbat Lazawal Anmol Khazane Ki Tarha Hai,

Mil Jaye To Ameer Na Mile To Faqeer Bana Jati Hai,

Mohabbat Pal Pal Rang Badalte Mosam Ki Tarha Hai,

Khizan Ho Ya Ho Bahar Apna Aseer Bana Jati Hai,

Mohabbat Nazuk Khush Rang Phool Ki Tarha Hai,

Mehkati Hai Aur Aakhir Bikhar Jati Hai,

Mohabbat Tand-O-Teiz Aandhi Ki Tarah Hai,

Aabad Karti Hai Barbad Karti Hai Aur Aakhir Guzar Jati Hai........!

Mazeed Poetry K Liye,

Follow khan61 send 8001

No comments:

Post a Comment