Wednesday 17 December 2014

Aakhir Ko Ishq Kufar Se Eman Ho Gia Main But Parastion Se Musalman Ho Gia

 

Poet Dagh Dehlvi

Type By 

 

*.___HIJAR___.*

Aakhir Ko Ishq Kufar Se Eman Ho Gia

Main But Parastion Se Musalman Ho Gia

Kion Sarfa Nigah Meri Jan Ho Gia,

Ek Teer Aur Main Tere Qurban Ho Gia,

Kia Jane Chup Hai Kion Teri Sorton Ko Dekh Kar,

Aaina Main Nahi Hon K Hairan Ho Gia,

Qatil Na Rok Hath K Rukti Hai Meri Jan,

Khanjar To Aur Dam Nighban Ho Gia,

Maye To Halaal Hai Jo Paye Dhab Se Bada Nosh,

Main Toba Kar K Aur Pasheman Ho Gia,

Ridan Be Riya Ki Hai Suhbat Kise Naseeb,

Zahid Bhi Hum Mein Beth K Insan Ho Gia,

Us Ghunche Mein Samai Hai Wo Wehshat Barang Boo,

Dil Kitni Tangion Pe Bayan Ho Gia,

Gar Dil Phata Hai Mujh Se Tera Sehl Hai Ilaj,

Ya Ye Bhi Chaak Jaib Meri Jan Ho Gia,

Hasrat Kisi Taraf Hai Tamana Kisi Taraf,

Majmooa Apne Dil Ko Pareshan Ho Gia,

Hasil Howay Maze Teri Khanjar K Ghair Ko,

Sar Par Humari Muft Ka Ahsan Ho Gia,

Kia Haal-E-Dil Kahein K Dam Arz-E-Mudda,

Tera Aatab-E-Halq Ka Darban Ho Gia,

Umeed Hai K Behr-E-Ayadat Wo Aain Gay,

Azaar Meri Jan Ko Arman Ho Gia,

Lo Ay Buto Suno K Wo Dagh Sanam Parsat,

Masjid Mein Ja K Aaj Musalman Ho Gia...........!

Page 33

No comments:

Post a Comment