Wednesday 17 December 2014

Ab Bhi Sambhlo Buri Hai Be Baki,

Poet Dagh Dehlvi

Type By 

 

*.___HIJAR___.*

Ab Bhi Sambhlo Buri Hai Be Baki,

Gai Guzri Haya Nahi Aati,

Ghamze Aate Hain Naz Aate Hain,

Aik Tum Ko Wafa Nahi Aati,

Shikwa Be Ja Hai Khair Youn Hi Sahi,

Tum Ko Har Giz Jafa Nahi Aati,

Wo Jhuke Hain Sambhalne K Liye,

Hath Zulf Rasa Nahi Aati,

Wo Ye Kehte Hain Tum Sikhao Humain,

Hum Ko Tarz-E-Wafa Nahi Aati,

Koi Mar Jaye Hijar Mein Kion Kar,

Zindagi Bhar Qaza Nahi Aati,

Us Gali Mein Saba Ko Bheja Hai,

Ya Too Aati Hai Ya Nahi Aati?

Un Se Karna Para Sawal Jinhain,

Bat Naam Khuda Nahi Aati,

Hoor Par Ye Tabiat Aye Wa'az,

Tujh Se Keh Dia Nahi Aati,

Hai Adam Mein Bhi Dil Lagi Kaisi,

Phir Khalq-E-Khuda Nahi Aati,

Sadgi Ne Kia Hai Kaam Tamam,

Abhi Un Ko Ada Nahi Aati,

Hum Nahi Soonghte Kabhi Wo Phool,

Jis Mein Boo-E-Wafa Nahi Aati,

Nahi Aasan Jan Se Jana,

Marte Marte Qaza Nahi Aati,

Dil Se Aati Thi Aahh Ki Awaz,

Ab To Wo Bhi Sadaa Nahi Aati,

Kab Samjhte Hain Un Ko Wo Mashooq,

Jis Ko Tarz-E-Jafa Nahi Aati,

Kis Ne Taskheer Ki Dam Aakhir,

Mere Lab Par Dua Nahi Aati,

Tere Aashiq Ka Haaye Ehd-E-Shabaab,

Mout Bewaqt Kia Nahi Aati,

Harf Matlab Kaha To Kion Bigre,

Bat Kehne Mein Kia Nahi Aati,

Tum Wafadar Kis Ko Samjhe Ho,

Har Kisi Ko Wafa Nahi Aati,

Qasd But Khana Kion Kia Aye Dagh,

Sharm Mard-E-Khuda Nahi Aati......!

No comments:

Post a Comment