Monday, 1 December 2014

Badan Mein Aag Hai Chehra Gulab Jaisa Hai

 

Poet Ahmad Faraz

Type By

*.___HIJAR___.*

Badan Mein Aag Hai Chehra Gulab Jaisa Hai,

K Zehr-E-Gham Ka Nasha Bhi Sharab Jaisa Hai,

Wo Samne Hai Magar Tishnagi Nahi Jati,

Ye Kia Sitam Hai K Daria Sarab Jaisa Hai,

Kahan Wo Qurb K Ab To Ye Haal Hai Jaise,

Tere Firaq Ka Aalam Bhi Khawab Jaisa Hai,

Magar Kabhi Koi Dekhe Koi Parhe To Sahi,

Dil Aaina Hai To Chehra Gulab Jaisa Hai,

Bahar-E-Khoon Se Chaman Zaar Ban Gaye Maqtal,

Jo Nakhal Daar Hai Shakh-E-Gulab Jaisa Hai,

FARAZ

Sang-E-Mulamat Se Zakham Zakham Sahi,

Humain Aziz Hai Khana Kharab Jaisa Hai................!

No comments:

Post a Comment