Monday, 1 December 2014

Dard Ki Rahein Nahi Aasan Zara Ahista Chal

Poet Ahmad Faraz

Type By

*.___HIJAR___.*

Dard Ki Rahein Nahi Aasan Zara Ahista Chal,

Aye Sabak Rawa-E-Hareef-E-Jaan Zara Ahista Chal,

Manzalon Par Qurb Ka Nasha Hawa Ho Jaye Ga,

Humsafar Wo Hai To Aye Nadaan Zara Ahista Chal,

Na Muradi Ki Thakan Se Jism Pathar Ho Gia,

Ab Sakat Kaisi Dil-E-Weeran Zara Ahista Chal,

Jam Se Lab Tak Hazaron Laghzashein Hain Khush Na Ho,

Ab Bhi Mehroomi Ka Hai Imkaan Zara Ahista Chal,

Aaye Hawa-E-Manzal-E-Jana Zara Ahista Chal,

Is Nagar Mein Zulf Ka Saya Na Daman Ki Hawa,

Aye Ghareeb-E-Shehr-E-Naparsaan Zara Ahista Chal,

Aabla Pa Tujh Ko Kis Hasrat Se Takte Hain,

FARAZ

Kuch To Zalim Pas-E-Humrahaan Zara Ahista Chal................!

7 comments:

  1. thanks a lot
    i was searching lyrics of this song for so long
    meaning of tough words will be appreciated.
    Ahmad faraz most beautiful gazal

    ReplyDelete
  2. Dard Ki Rahein Nahi Aasan Zara Ahista Chal,
    Aye Sabak Rawa-E-Hareef-E-Jaan Zara Ahista Chal,

    Hasraton Par Qurb Ka Nasha Hawa Ho Jaye Ga,
    Humsafar Wo Hai To Aye Nadaan Zara Ahista Chal,

    Jam Se Lab Tak Hazaron Laghzashein Hain Khush Lahu,
    Ab Bhi Mehroomi Ka Hai Imkaan Zara Ahista Chal,

    Is Nagar Me Julf Ka Saya Na Daman ki Hawa
    Ae Gareeb-E-Shahar Ta Pursa Jara Ahista Chal,

    Aablapa Tujhko Kis Hasrat Se Takate jai Faraz
    Kuch To Zalim Pas-E-Humrahaan Ya Zara Ahista Chal

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ustad Mehdi Hassan sung wrong but performance meets the standards , the meaning is clear in the original ghazal posted above. thanks to share the original ghazal, its very rare ghazal

      Delete