Monday, 1 December 2014

Har Aashna Main Kahan Khoo-E-Mehrmana Wo

Poet Ahmad Faraz

Type By 

 

*.___HIJAR___.* 

 

Har Aashna Main Kahan Khoo-E-Mehrmana Wo,

K Bewafa Magar Dost Tha Purana Wo,

Kahan Se Lain Ab Aankhain Usay K Rakhta Tha,

Adawaton Mein Bhi Andaz Maukhlisana Wo,

Jo Abar Tha To Usay Toot K Barasna Tha,

Ye Kia K Aag Laga Kar Howa Rawana Wo,

Pukarte Hain Mah-O-Saal Manzlon Ki Tarha,

Laga Hai To San-E-Hasti Ko TazYana Wo,

Humain Bhi Zulm Talbi Ka Nahi Raha Yara,

Tere Bhi Rang Nahi Gardish-E-Zamana Wo,

Ab Apni Khawahishein Kia Kia Usay Rulati Hain,

Ye Bat Hum Ne Kahi Thi Magar Na Mana Wo,

Yehi Kahein Gay K Bas Soorat Aashnai Thi,

Jo Ehad Toot Gia Yad Kia Dilana Wo,

Us Aik Shakal Mein Kia Kia Na Sortein Dekhein,

Nigar Tha Nazar Aaya Nigar Khana Wo,

FARAZ Khawab Si Dunia Dekhai Deti Hai,

Jo Log Jan-E-Jahan Thay Howay Fasana Wo...........!

No comments:

Post a Comment