Monday 1 December 2014

Jo Sar Bhi Kashidah Ho Usay Daar Kare Hai

Poet Ahamad Faraz

Typ By

*.__Ayaz Khan__.*

Jo Sar Bhi Kashidah Ho Usay Daar Kare Hai.

Aghyar To Karte Thay So Ab Yar Kare Hai.

Wo Kon Sitamgar Thay K Yaad Aane Lage Hain.

Too Kaisa Masiha Hai K Bimaar Karay Hai.

Ab Roshni Hoti Hai K Ghar Jalta Hai Dekhen.

Shola Sa Tawaf-E-Dar-O-Diwaar Karay Hai.

Kia Dil Ka Bharosa Hai Ye Sambhle K Na Sambhle.

Kion Khud Ko Parishan Mera gham-Khwaar Karay Hai.

Hai Tark-E-Taluq Hi Madawa-E-Gham-E-Jaan.

Par Tark-E-Taluq To Bahut Khawar Karay Hai.

Us Shehr Mein Jumbash-E-Lab Ka Kaise Yara.

Yahan Jumbash-E-Muzzgaan Bhi Gunagaar Karay Hai.

Too Lakh FARAZ Apni Shikaston Ko Chopaye.

Ye Chop To Tere Karab Ka Izhaar Karay Hai......!

Book: Jana Jana

No comments:

Post a Comment