Monday, 1 December 2014

Mere Qalam Pe Rahi Nok Jis K Khanjar Ki

Poet Ahmad Faraz

Type By

*.___HIJAR___.*

Mere Qalam Pe Rahi Nok Jis K Khanjar Ki,

Suna Hai Us Ki Zaban Bhi Hoi Hai Pathar Ki,

Rawaan Hai Qulzam-E-Khoon Androon-E-Shehr Bhi Dekh,

K Khushnuma To Bahut Hai Faseel Bahir Ki,

Ujar Pairr Gaye Mosamo Ko Rote Hain,

Har Aab Joo Ko Hawas Pee Gai Samandar Ki,

Faqeeha-E-Shehr Jabeen Par Galaah-E-Zar Rakhe,

Suna Raha Hai Humain Aayatein Muqaddar Ki,

Khud Apne Khoon Mein Nahaye HowaY Magar Chup Hain,

Ye Log Hain Chatanein Hain Surkh Pathar Ki,

Wo Aik Shakhs K Sooraj K Roop Mein Aaya,

Chura K Le Gia Shammein FARAZ Har Ghar Ki...............!

No comments:

Post a Comment