Shab-E-Nishat Thi Ya Subh-E-Pur-Malaal Thi Wo
Poet Ahmad Faraz
Type By
*.__Ayaz Khan__.*
Shab-E-Nishat Thi Ya Subh-E-Pur-Malaal Thi Wo.
Thakan Se Choor Tha Mein Neend Se Nadhaal Thi Wo.
Mein Us Ki Humsafri Mein Bhi Dil Garfta Raha.
K Har Qadam Par Judai Ka Ehtamaal Thi Wo.
Idhar Udhar K Bhi Kirdaar Aate Jate Rahe.
Mere Sukhan Ka Magar Markazi Khayaal Thi Wo.
Wo Pairahan Thi Magar Jisam-O-Jaan Rahi Meri.
K Jo Bhi Jaisa Bhi Musam Tha Hasb-E-Haal Thi Wo.
Tamam Umer Agar Zindagi Ne Zakham Diye.
Tamam Umer K Zakhmo Ka Andmaal Thi Wo.
Ye Umer Bhar Ka Asasa Usi K Naam To Hai.
Agar Chay Meri Rafaqat Mein Chand Saal Thi Wo.
FARAZ Yaad Hai Ab Tak Supardagi Us Ki.
Ze Farq Ta Ba-Qadam-E-Khawish-E-Wasaal Thi Wo............!
Book:
Khawab e Gul Parishaan Hai
No comments:
Post a Comment