Tarab Uthon Bhi To Zalim Teri Duhai Na Don
Poet Ahmad Faraz
Type By
*.___HIJAR___.*
Tarab Uthon Bhi To Zalim Teri Duhai Na Don,
Main Zakhm Zakham Hon Phir Bhi Tujhe Dekhai Na Don,
Tere Badan Mein Dharkne Laga Hon Dil Ki Tarha,
Ye Aur Bat K Ab Bhi Tujhe Sunai Na Don,
Khud Apne Aap Ko Parkha To Ye Nadamat Hai,
K Ab Kabhi Usay Ilzam-E-Bewafai Na Don,
Meri Baqa Hi Meri Khawahish-E-Gunah Mein Hai,
Main Zindagi Ko Kabhi Zehr-E-Paarsai Na Don,
Jo Thann Gai Hai To Yari Pe Harf Kion Aaye,
Hareef-E-Jaan Ko Kabhi Taan-E-Aashnai Na Don,
Mujhe Bhi Dhoond Kabhi Mehv-E-Aaina Daari,
Main Tera Aks Hon Lekin Tujhe Dekhai Na Don,
Ye Hosla Bhi Bar Bat Hai Shikast K Baad,
K Dosron Ko To Ilzam-E-Narsai Na Don,
FARAZ Dolat-E-Dil Hai Mata-E-Mehroomi,
Main Jaam-E-Jam K Evaz Kasa-E-Gadaai Na Don................!
No comments:
Post a Comment