Monday 1 December 2014

Youn To Mehroom-E-Nava Kab Se Dahan Mera Tha

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.*

Youn To Mehroom-E-Nava Kab Se Dahan Mera Tha.

Phir Bhi Charcha Howa Jis Ko Wo Sukhan Mera Tha.

Mein Ne Kis Nasha Nakhoot Mein Kamaan Khinchi Thi.

Teer Jais Jaisam Mein Utra Wo Badan Mera Tha.

Too Kabhi Ghoor Se Dekh Apni Quba-E-Rishm.

Tere Khalt Mein Koi Taar-E-Kafan Mere Tha.

Ab To Mujh Ko Bhi Nadamat Hai Wafa Par Apni.

Muktalif Kitna Zamane Se Chalan Mera Tha.

Takhri Shaam-E-Khizaan Toot K Yaad Aati Hai.

Pher Nashiman Hi Mra Tha Na Chaman MeraTha.

Meri Aankhon Ne Jo Dekha Mere Lab Par Aaya.

Meri Taqseer Hi Be Sakhta Pan Mera Tha.

Thi Ufaq Ta Ba Ufaq Yuon To Meri Khaak FARAZ.

Kais Qadar Tang Magar Mujh Pe Watan Mera Tha........!

Book: Jana Jana

2 comments:

  1. yar tm nay q mara jeena haram kr k raka ha ..mara num dlt kr do plzzz 03149916270

    ReplyDelete
  2. Hassan Rasheed
    RASHEED Khan

    ReplyDelete