Thursday 19 February 2015

Main Dulhan Aik Rat Ki Hon Makeen Aanson Ki Barsat Ki Hon

Poet Ayaz Khan

  Aik Rat Ki Dulhan

Type By
  *.__Ayaz_Khan__.*

Mein Dulhan Aik Raat Ki Hon....*

Makeen Aanson Ki Barsaat Ki Hon....*

Mein Udasi Ki Chadar Mein Lipti Hoi....*

Tanha Gungi Wihshtaon Mein Simti Hoi....*

Apni Qismat Par Aanso Bhati Hon....*

Ghar Ki Diwaron Ko Siskiyaan Sunati Hon....*

Mein Andhere Se Atte Kone Mein Pari....*

Aati Hai Yaad Us Ke Hanste Howe Labon Ki Lari....*

Kabhi Mein Ne Bhi Dekhe The Sapne Dulhan Ke....*

Laal Jora Choriyaan Pehne Howe Shadi Ke Din Ke....*

Mehndi Se Saje Howe Hathon Ke....*

Wisal Mein Dobi Hoi Anmool Raaton Ke....*

Mujhe Par Muhabbat Ki Thandi Barsat Ho....*

Mera Piya Har Dam Har Waqat Mere Saat Ho....*

Mein Jo Rothon To Wo Manaye Kare Mujhe....*

Phir Wo Apne Hathon Se Sataye Kare Mujhe,

Khush Libasi Ho Qarina Mera....*

Mera Piyaa Ho Aaina Mera....*

Meri Har Ada Par Woh Fida Ho....*

Mujh Se Kabhi Na Woh Juda Ho....*

Mere Labon Par Sirf Us Ka Hi Naam Ho....*

Us Ki Bahon Mein Hi Subh Ho Shaam Ho....*

Woh Jab Bhi Kaam Par Jaye....*

Bar Bar Mere Liye Us Ka Phon Aaye....*

Woh Mere Bina Ek Pal Bhi Jee Na Sake....*

Mein Pas Na Hon To Meri Tasveer Ko Take....*

Jab Kabhi Meri Aankh Mein Aanso Aaye....*

Jaldi Se Wo Apne Dono Hath Aage Laye....*

Phir Wo Mujhe Apni Bahon Mein Le Le....*

Har Waqt Wo Meri Zulfon Se Khele,

Ye Mere Sapne The Mere Khawaab The....*

Meri Hasraton Ke Surkh Gulaab The....*

Meri Aarzo Mere Armano Ki Tasveer Hai Ye....*

Mere Khawabon Ki Kitaab Ki Thereer Hai Ye....*

Par Ye Sab Mera Muqadar Mera Naseeb Na Tha....*

Khushiyon Ka Ye Hawa Ka Jhunka Qareeb Na Tha....*

Mein Ne Jo Sapne Jo Khawaab Dekhe Jhote The....*

Meri Rah Guzar Se Khushiyon Ke Qafle Rothe The....*

Mein Dulhan To Bani Par Aik Raat Ki....*

Aanson Mein Dubi Kashti Meri Zaat Ki....*

Wo Meri Zindagi Mere Khawabon Ka Shezada....*

Shadi Ke Dosre Din Hi Mujhe Chor Gaya Ghamzada,

Wo Ghar Se Gia Tha Mere Liye Lene Phool....*

Zindagi Dagha Deti Hai Gia Tha Bhool....*

Halaat Ki Be Reham Aur Safaak Mujon Ne....*

Dehshat Ki Dunia Ki  Is Manfi Sochon Ne....*

Safaak Qatilon Ne Us Ko Bhi Maar Dala....*

Barood Ki Aag Mein Us Ke Badan Ko Jala Dala....*

Phir Meri Zindagi Mein Andhera Chaya....*

Khushiyon Se Phele Mere Ghar Gham Aaya....*

Meri Udasi Ka Ye Zard Musam....*

Na Jane Kab Ho Ga Ab Ye Kam....*

Meri Bujhi Hoi Aankhon Ke Diye....*

Us Ki Suhani Dil Kash Yaadon Ko Liye....*

Apne Ujre Lute Pute Howe Ghar Mein....*

Mehromi Bewgi Ki Safid Chadar Mein,

Ab Mere Hunton Par Saji Hain  Siskiyaan....*

Band Kamre Mein Gunjti Hain Hichkiyaan....*

Apne Dil Mein Ghop Andhere Liye....*

Sochti Hon Kab Aaye Gi Mout Mere Liye....*

Jam Gaye Hain Mere Khawaab Chehre Par....*

Jhulas Gia Hasraton Ke Gulaab Chehre Par....*

Ye Saniha Meri Zindagi Ke Dariche Muqfal Kar Gia....*

Ye Hadsa Mujhe Aik Raat Ki Dulhan Kar Gia........!

        ...THE AND...

Mazeed Poetry K Liye,

Follow khan61 send 8001

No comments:

Post a Comment