Poet Habib Jalib
Type By
*.___HIJAR___.*
Na Wo Ada-E-Takalum Na Ehtiat-E-Zabaan,
Magar Ye Zid K Humain Ehl-E-Lakhnao Kahiye,
Na Dil Mein Raqs-E-Ghazal Hai Na Dharkano K Geet,
Ujar Gia Hai Jise Shehr-E-Aarzo Kahiye,
Kahan Ab Un Ko Pukarein Kahan Gaye Wo Log,
Jinhain Fasoon-E-Tarab Moj-E-Rang-O-Boo Kahiye,
Ghazal Ki Bat Jo Karta Hai Kam Nazar-O-Naqaad,
Usay Bhi Shaik Ka Andaz-E-Guftagoo Kahiye,
Adab Ka Aap Hi Tanha Na Sath Dein JALIB,
Kahe Jo Aap Ko TUM Aap Us Ko Too Kahiye...............!
Page 95
Mazeed Poetry K Liye
Follow HIJJAR
send 8002
No comments:
Post a Comment