Monday 16 February 2015

Mil Gai Jab Rukhsat Hazoor Se Kalkata Jane Ki kahani

Poet Dagh Dehlvi

=======
Type By
=======
HIJJAR
=======
Khan61
=======
UJRA_DIL
=======
KALKATTA KO JANA
=========

Mil Gai Jab Hazoor Se Rukhsat,

Main Howa Raam Pur Se Rukhsat,

Keh K Utha Akheer Ya Qismat,

Rah Ro Mein To Rahnuma Qismat,

Ja Kar Apne Watan Mein Jee Na Laga,

Is Bina-E-Kohan Mein Jee Na Laga,

Chal K Dehli Se Lakhnao Pohnch,

Hama Tan Shoq-O-Aarzo Pohncha,

Bahut Ujre Howay Makan Dekhe,

Mitne Walon K Kuch Nishaan Dekhe,

Kuch Arman Tha Nikaal Lia,

Shehr Ko Khoob Dekh Bhaal Lia,

Khoob Anjum Ne Mehmani Ki,

Aur Bhi Sab Ne Mehrbani Ki,

Rah Mein Kaan Pur Aala Abad,

Main Ne Dekhe Magar Na Hasab-E-Murad,

Itne Mein Aa Gia Azeem Abad,

Tha Mujhe Is Ka Shoq Had Se Ziada,

Paishwai K Waste Ahbab,

Aaye Thay Shoq-E-Deed Mein Betab,

Bahut Ashkhas Yak Ba Yak Aye,

Apni Apni Sawarian Laye,

Koi Mujh Ko Liye Hi Jata Tha,

Koi Na Haq Ka Haq Jatata Tha,

Koi Kehta Tha Mere Ghar Chaliye,

Aaiye Is Taraf Idhar Chaliye,

Hoi Logon Ki Chap Qalash Kia Kia,

Rahi Aapas Mein Kashmash Kia Kia,

Mujh Ko Ye Fikar Thi K Bheerr Chutte,

Meerza Shaghil Aaye Jab Wo Hatte,

Ye Wo Hain Naam Khalq Hai Jin Se,

Aadmiat Murad Hai In Se,

Mutaqi Parsa Bahut Dekhe,

Khush Bayan Khush Ada Bahut Dekhiye,

Khush Gulo Bhi Kai Sune Main Ne,

Khoo Baro Bhi Kai Chune Main Ne,

Mujh Ko Fursat Mili Na Yaron Se,

Roz Milta Tha Main Hazaron Se,

Aisi Khalqat Kahein Nahi Dekhi,

Kis Qadar Jan Nawazian Dekhein,

Kaisi Mehmaan Nawazian Dekhein,

Kis Qadar Jaan Nawazian Dekhein,

Dein Wo Mehmaan Ko Jis Qadar Chahein,

Bakhsh Dein Ghar Ka Ghar Agar Chein,

Sar-E-Bazar Wo Makan Buland,

Jis Ko Kahiye Ek Aasman Buland,

Chargh Ko Rutba Is Makaan Se Kahan,

Door Bhaga Hai Ye Kahan Se Kahan,

Sham-O-Ghairat Se Chup Gai Janat,

Warna Ye Qasar Dekhti Janat,

Hum Jo Bala-E-Baam Rehte Thay,

Log Aali Maqam Kehte Thay,

Samne Na Khuda Ki Masjid Thi,

Na Khuda Kia? Khuda Ki Masjid Thi,

Mazhar Noor Hai Yehi Masjid,

Beet Mamwar Hai Yehi Masjid,

Asar Surma Us Khak Kare,

Jalwa Us Ka Nazar Ko Pak Kare,

Us Ka Jalwa Saroor Aankhon Ka,

Us Ka Deedar Noor Aankhon Ka,

Bkhat Bedar-O-Yar Hai Damsaz,

Aye Shab-E-Wasal Teri Umar Daraz,

Shola Zan Ho Tanoor Toofan Bhi,

Kanpta Hai Yahan Zamstan Bhi,

Rang Aakhir Tapash Se Zard Hoi,

Garmai Taba DAGH Sard Hoi,

Soye Kalkata Mein Rawana Howa,

Door Tak Sath Ek Zamana Howa,

Shoq Be Akhtiar Le Hi Gia,

Ye Dil Beqarar Le Hi Gia,

Reil Par Dostan Neik Khasal,

Aaye Aksar Baraye Istaqbal,

Shehr Mein Dhoom Thi K DAGH Aaya,

DAGH Aaya To Bagh Bagh Aaya,

Dekh Kar Shehr Khul Gain Aankhain,

Maah Rawion Pe Dhal Gain Aankhain,

Shola Zan Ho Tanoor Toofan Bhi,

Kanpta Hai Yahan Zamstan Bhi,

Rang Aakhir Tapash Se Zard Hoi,

Garmai Taba DAGH Sard Hoi,

Soye Kalkata Mein Rawana Howa,

Door Tak Sath Ek Zamana Howa,

Shoq Be Akhtiar Le Hi Gia,

Ye Dil Beqarar Le Hi Gia,

Reil Par Dostan Neik Khasal,

Aaye Aksar Baraye Istaqbal,

Shehr Mein Dhoom Thi K DAGH Aaya,

DAGH Aaya To Bagh Bagh Aaya,

Dekh Kar Shehr Khul Gain Aankhain,

Maah Rawion Pe Dhal Gain Aankhain,

Meer Baqar K Ghar Qayam Howa,

Khoob Dawat Ka Ehtamam Howa,

Aath Din Dekhi Seer Patne Ki,

Ye Hoi Wajha Jee Uchatne Ki,

Kia Qayamat Thi Shehr Ki Garmi,

Kash Ganga Mein Doobti Garmi,

Aag Ki Tarha Aab Mein Garmi,

Misal Akhgar Habab Mein Garmi,

Taba Garmi Se Kion Na Aari Ho,

Jaye Noori Wahan Wahan To Naari Ho,

Be Chale Koi Istahawan Na Rahe,

Ansar Aab Ka Nishaan Na Rahe,

Rang Jal Jal K Ho Gaye Kajal,

Jal Gaye Le Chale Jo Ganga Jal,

Subha Se Sham Tak Jamal K Lutf,

Sham Se Subha Tak Wisal K Lutf,

Gham Ki Ratein Na Thay Malaal K Din,

Kia Phire Thay Shab-O-Wisal K Din,

Wasal Ki Shab Mein Jalwe Thay Din K,

Surma Thay Halq Mein Moazan K,

Aish-O-Ishrat Ki Bat Bat Achi,

Rat Se Din To Din Se Rat Achi,

Mehfil Aish Ka Bandha Wo Samaan,

Dekhe Phir Phir K Jis Ko Umar-E-Rawaan,

Doston Se Bhari Bhari Mehfil,

Chashm-E-Bad Door Wo Pari Mehfil,

Bazm Aara Thay Sab Adov K Siwa,

Koi Nikla Na Aarzo K Siwa,

Meri Mehfil Mein Dakhal Ghair Kahan,

Ghair Ho Jis Jaga To Khair Kahan,

Aisha Sa Aish Tha Naseebon Mein,

Khalbali Parr Gai Raqeebon Mein,

Sari Dunia Mein Kia Kisi Se Gharz,

Apne Mashooq Ki Khushi Se Gharz,

Rat Bhar Tha Khushi Se Wo Aalam,

Ashk Shadi Tha Qatra-E-Shabnam!

Muskarate Thay Lab Jo Dilbar K,

Khule Jate Thay Phool Bistar K,

Phool Bhi Nagawar Thay Us Ko,

Haar Phoolon K Baar Thay Us Ko,

Har Gharri Nok Jhok Hoti Thi,

Dam Ba Dam Rok Tok Hoti Thi,

Garche Dekhe Hazar Soorat Daar,

Magar Aisa Kahan Tabiat Daar,

Qabil-E-Deed Har Kisi Ki Khushi,

Aur Is Par Humare Jee Ki Khushi,

Khud Ba Khud Khila Hi Jata Tha,

Qeqha Lab Ye Aahi Jata Tha,

Kali Kali Ghatain Aati Thein,

Thandi Thandi Hawain Aati Thein,

Aatish-E-Husn-E-Yar Ki Garmi,

Bazm Mein Ek Bahar Ki Garmi,

Gar Che Aksar Howa Janoobi Thi,

Par Wo Attar-E-Hina Mein Doobi Thi,

Chandni K Tamam Shab Jalse,

Dilkusha Saqaf Par Ajab Jalway,

Yad Hai Aik Rashk-E-Gul Ki Seir,

Chodhvein Rat Ko Wo Pul Ki Seir,

Aisi Sohbat Mein Kion Na Dil Parche,

Dil Lagi K Thay Saikron Charche,

Rat Aish-O-Nishat Mein Guzri,

Subha Tak Akhtalat Mein Guzri,

Mudai Lakh Dar Dekhate Hain,

Wo Jo Kehte Hain Kar Dekhate Hain,

Dagh Se Rasm Altafat Na Jaye,

Sar Bhi Jaye To Jaye Bat Na Jaye,

Log Sab Khush Qamash Khush Tarkeeb,

Ehl-E-Tameez-O-Sahib Tehzeeb,

Hum Se Sar Garam Itahad Rahe,

Abad Razaq Shad Shad Rahe,

Dost Ba Waza Hai Kahan Paida,

Dagh Is Waza Daar Ka Sheeda,

Dost Ba Waza Hai Kahan Paida,

Dagh Is Waza Daar Ka Sheeda,

Meri Rukhsat K Din Tamam Howay,

Aish-O-Ishrat K Din Tamam Howay,

Jald Hazir Ho Ye Payam Aya,

Aur Sar Par Mah-O-Sayam Aaya,

Phir To Main Aik Dam Tehr Na Saka,

Dil Ki Soorat Qadam Tehr Na Saka,

Is Tarha Kis Tarha Se Rah Jate,

Howay Bawan Baras Namak Khate,

Dil Khuda Ne Dia Khayoor Bahut,

Tha Ye Pas Namak Se Door Bahut,

Gar Namak Khawar Hulia Gar Nikle,

To Namak Phoot Phoot Kar Nikle,

Ye Sharafat Ka Manqaza Hi Nahi,

Kar Shareefon Se Ye Howa Hi Nahi,

Kab Moyasar Ho Rozgar Aisa,

Aur Aaqa-E-Naamdar Aisa,

Kuch Tamana Nahi Rahi Mujh Ko,

Kon Si Shaye Ki Hai Kami Mujh Ko,

Meri Rukhsat Se Un Ko Hairat Thi,

K Ye Rukhsat Na Thi Qayamat Thi,

Fikar Tashveesh Ranj Tha Gham Tha,

Evaz Naghma Shor Matam Tha,

Ashk Aankhon Mein Dabaye Howay,

Pas Bethe To Moonh Banaye Howay,

Wo Ghabraye Meri Uff Uff Se,

To Ye Kehne Lage Tasaf Se,

Chand Wabasta Hain Humare Sath,

Warna Ho Lete Hum Tumhare Sath,

Hum Azizon Ko Chorr Dein Kion Kar,

Silsila Un Se Torr Dein Kion Kar?

Tum Bhi Tanha Nahi Sitam Ye Hai,

Chootta Hai Ye Sath Gham Ye Hai,

Jo Mere Pas Hai Tumhara Hai,

Tum Ko Lekin Ye Kab Gawara Hai,

Main Ne Ki Akhtiar Khamoshi,

Mujh Se Kab Ho Namak Faramoshi,

Dil Se Apne Ye Guftagoo Baham,

Kia Rahe Aaye Kia Chale Kia Hum,

Main Kahan Guria Shabana Kahan,

Sar Kahan Sang Aastana Kahan,

Aabro Ka Khayal Aata Hai,

Araq Anfa'al Aata Hai,

Apne Dilbar Ko Chorr Kar Jain,

Aise Jane Se Kash Mar Jain,

Wo Wafadar Barmala Tehre,

Humain Qismat Se Bewafa Tehre,

Muztarab Ho K Hum Tehr Na Sake,

Aise Majboor Thay K Mar Na Sake,

Ehl-E-Suhbat Ko Dagh De K Chale,

Apne Dil Ka Janaza Le K Chale,

Kia Kahein Jis Tarha Se Hum Aaye,

Huma Tan Hasrat-O-Alam Aaye,

Kia Kahein Jis Tarha Se Hum Aaye,

Huma Tan Hasrat-O-Alam Aaye,

Mere Humrah Meer Qutab-O-Deen,

Ashk Rezaan Bahalat Ghamgeen,

Meri Gham Kawarion Se Kaam Unhain,

Meri Dildarion Se Kaam Unhain,

Wo Mere Dil Ko Is Tarha Laye,

Koi Ghail Ko Jis Tarha Laye,

Kuch Na Thi Mujh Ko Jism-O-Jaan Ki Khabar,

Na Zameen Ki Na Aasmaan Ki Khabar,

Rail Ne Do Hi Din Mein Pohchaya,

Ramzaan Aik Din K Baad Aaya,

Dast Basta Hazoor Mein Pohncha,

Bazm Aish-O-Sarwar Mein Pohncha,

Mujh Se Dilshad Ek Zamana Howa,

Mord Lutf Khasarwana Howa,

Marz Gham Se Kab Afaqa Tha,

Din Ko Roza To Shab Ko Faqa Tha,

Sehri Aik Zamana Khata Tha,

Ramzaan Mujh Ko Khaye Jata Tha,

Sadma HIJAR-O-Kahish-E-Gham Se,

EID Badtar Hoi Moharam Se,

Shadiana Ka Shor Peham Hai,

Main Samjhta Hon Mera Matam Hai,

Yaas Ho To Umeed Phir Kaisi,

Dil Na Khush Ho To EID Phir Kaisi,

Ho K Khush Main Kabhi Gale Na Mila,

Kaff Afsos Be Mile Na Mila,

Ishq Mein Aik Fikar Nadari,

Lakh Beemarion Ki Beemari,

Dagh Kion Jabar Se Gale Milta,

Ka Shish Ye Qabar Se Gale Milta,

Aisi Sohbat Ho Dil Ko Kia Marghoob,

HIJJAR Mehboob-O-Wasal Na Marghoob,

Saro Samaan Kahan Muqadar Mein,

Khak Urane Ko Bhi Nahi Ghar Mein,

Khane Peene Se Mujh Ko Nafrat Hai,

EID Ko Roza Kia Museebat Hai?

HaayE Jab Zehr Bhi Na Paain Hum,

Kia Kaleja Baroon Ka Khain Hum,

Khoon-E-Dil Bhi Kami Si Karta Hai,

Deeda-E-Tar Hansi Si Karta Hai,

Log Saman Aish Karte Hain,

Dagh Arman Aish Karte Hain,

Shab-E-Furqat Jo Aah Karta Hon,

To Khuda Ko Gawah Karta Hon,

Aah Faryad Kon Sunta Hai,

Daad Bedad Kon Sunta Hai,

Dard Dil Humnasheen Nahi Sunta,

Koi Sunta Nahi, Nahi Sunta,

Kon Ye Haal Zaar Dekh Sake,

Kon Ye Intazar Dekh Sake,

Doston K Kaleeje Phatte Hain,

Dushmano K Bhi Dil Ulatte Hain,

Gar Kare Asar Fughaan Meri,

Khak Hon Jal K Hadian Meri,

Main Ye Mazhda Sunon Wo Aai Mout,

Kash Aaye Mujhe Par Aai Mout,

Bad Dua Dete Hain Bashar Mujh Ko,

Kha Gaye Kos Kos Kar Mujh Ko,

Thay Parwana Soz Ulfat Se,

Ab Wo Jalte Hain Meri Soorat Se,

Pandgo Apni Apni Bakte Hain,

Zakham Dil Par Namak Chirkate Hain,

Taane De De K Log Hanste Hain,

Roz Teeron K Meenh Barste Hain,

Ho Rahi Hain Mulamtein Kia Kia,

Tootti Hain Qayamatein Kia Kia,

Tanz Karte Hain Ye Lateef-O-ZareeF,

Kahiye Kia Hai Ab Mizaj Shareef,

Lo! Zara Sa Howa Jo Dil Maila,

Paishtar Marg Se Hai Wa Wela,

Hum To Dekhein Wo Khoob Ro Hai Kahan,

Hum Sunein To Wo Khush Guloo Hai Kahan,

Tum Ne Dekha Hai Tum Ne Barta Hai,

Wo To Mehr-O-Wafa Ka Patla Hai,

Aisi Hoti Hai Chah Kia Kehna,

Hazrat Dagh Waah Kia Kehna,

Mahr-O-Ulfat Esi Ko Kehte Hain,

Kia Murawat Esi Ko Kehte Hain,

Hai Wohi Aan Baan Mein Poora,

Utre Jo Imtihan Mein Poora,

Jan Jati Hai Jin K Aane Se,

Khainch Gaye Aur Bhi Bulane Se,

Dilruba Wo Jo Apne Pas Rahe,

Na K Milne Ki Is Se Yaas Rahe,

Tarfa Ye Rasm-O-Ulfat Nibhti Hai,

Aap Ki Be Panah Nibhti Hai,

Bewafa Se Yaqeen Ulfat Hai,

Aap Ka Dam Bahut Ghaneemat Hai,

Dil Mein Kuch Sharmageen Howa K Nahi,

Ab Bhi Tujh Ko Yaqeen Howa K Nahi,

Kuch Khaton Ki Abaratein Dekhein,

Shokh Fiqre Shararatein Dekhein,

Khoob Inam Tum Ko Milte Hain,

Ulte Ilzam Tum Ko Milte Hain,

Ghair Ka Jab Waseela Hota Hai,

Uzar Inkar Hulia Hota Hai,

Ghairat Mehr-O-Maah Wo Hi To Hain,

Aap K Khair Khawah Wo Hi To Hain,

Hum Jo Bolen Humari Kia Taqat,

Bhaid Kholein Humari Kia Taqat,

Suhbat-E-Anjuman Chutte Kion Kar,

Un Se Apna Watan Chutte Kion Kar,

Youn Hi Tarpain Gay Rulain Gay,

Mar Bhi Jao Gay To Na Aain Gay,

Wada Kaisa Agar Kalam Karein,

Hum To Jhuk Kar Tumhain Salam Karen,

Ye To Maana Wo Waza Daar Bhi Hain,

Ye To Maana Wafa Shuar Bhi Hain,

Ye Baja Hai Sitam Nahi Karte,

Jhoote Qol-O-Qasam Nahi Karte,

Tum Barre Chain Se Rahe Such Hai,

Tum Sa Hoshiar Jo Kahe Such Hai,

Dhoom Hai Ja Baja Zamane Mein,

Naam Roshan Kia Zamane Mein,

Youn Hi Hote Hain Chaar So Ruswa,

Dar Badar Aur Koo Ba Koo Ruswa,

Peshtar Jo Nahi Kia Wo Kia,

Umar Bhar Jo Nahi Kia Wo Kia,

Na Sahi Wasal Ghair Youn Hi Sahi,

Kion Bigarte Ho Khair Youn Hi Sahi,

Sare Mashooq Dekhe Bhale Hain,

Wohi Dunia Se Ek Nirale Hain,

Bewafa Jhoot Bawafa Kehiye,

Pak Daman Hain Parsa Kehiye,

Bewafai Unhain Nahi Aati,

Kunj Adai Unhain Nahi Aati,

Bhoole Bhale Hain Gaat Kia Janein,

Abhi Wo Aur Bat Kia Janen,

Aap Ka Ranj-O-Gham Unhain Hi To Hai,

Pas Qol-O-Qasam Unhein Hi To Hai,

Khoobsorat Nahi Koi Un Sa,

Pak Tuniat Nahi Koi Un Sa,

Aap Dhooni Lagaye Bethe Hain,

Un Par Eman Laye Bethe Hain,

Apne Mehboob Ka Khayal Rahe,

Saal Do Saal To Ye Haal Rahe,

Nahi Jachta Koi Haseen Tum Ko,

Aafreen Hai Sad Aafreen Tum Ko,

Kion Kisi But Pe Hath Saf Karo,

Tum To Masjid Mein Itakaf Karo,

Tarak Karna Na Mehr-O-Ulfat Ko,

Bakhshwain Gay Wo Qayamat Ko,

Dil Pe Har Har Waqt Jabar Karte Hain,

Mard Aisa Hi Sabar Karte Hain,

Chupke Chupke Har Ek Ki Sunta Hon,

Apne Matlab Ki Bat Chunta Hon,

Koi Tadbeer Ban Nahi Aati,

Koi Taqreer Ban Nahi Aati,

Kaan Har Shaks K Bayan Ki Taraf,

Negah Yaas Aasmaan Ki Taraf,

Aye Falak Kis Bala Mein Daal Dia,

Mujh Ko Janat Se Kion Nikal Dia,

Dil Ko Aazar Ho Gia Kaisa,

Bakht Bedar Ho Gia Kaisa,

Kahish Gham Se Rooh Ghutti Hai,

Aankhon Aankhon Mein Rat Katti Hi,

Dil Mein Har Waqt Yaas Rehti Hai,

Kia Tabiat Udas Rehti Hai,

Hum Jiain Gay Ye Aas Hai Kis Ko,

HIJJAR Mein Bhook Pyas Hai Kis Ko?

Ye Sazain Zaroor Bhi To Nahi,

Be Khata Hon Qasoor Bhi To Nahi,

HaaayE Jeete Hain Hum Na Marte Hain,

Kis Qayamat K Din Guzarte Hain,

Khana Aish Lutt Gia Kaisa,

Mujh Se Mashooq Chutt Gia Kaisa,

Rat Din Jee Rahe Hain Mar Kar Hum,

Sohbat Yar Ho Gai Barham,

Hum Pareshan Ghar Mein Phirte Hain,

K Wo Jalse Nazar Mein Phirte Hain,

Koi Din Rat Ka Maza Na Raha,

Rat Kia? Bat Ka Maza Na Raha,

Kon Hai Iltafat Kis Se Karein,

Hum Kanaya Ki Bat Kis Se Karein,

Deeda-E-Muntazir Hai Chaar Taraf,

Dil Rashk Aashna Hazar Taraf,

Soz Pehnaan Se Garam Garam Aahein,

Na Tawani Se Naram Naram Aahein,

Wo Tabiat Sambhalne Wale,

Meri Hasrat Nikalne Wale,

Dilruba Hai Too Bawafa Bhi Hai,

Shokh Hai Sahib HaYa Bhi Hai,

Garche Mil Jaye Mehrbaan Aisa,

Na Mile Ga Mizaj Daan Aisa,

Ya ILAHI Nijat-E-Gham Se TayE,

Wo Sarapa Hijab Hum Se Mile,

Warna Us Ka Khayal Bhi Na Rahe,

Ab Hai Jaisa Ye Haal Bhi Na Rahe..............!

Page 373 to 381

Mazeed Long Poetry K Liye

Follow HIJJAR

Follow Khan61

Follow UJRA_DIL
Send 8002

No comments:

Post a Comment